Meri Kahani...

by CoolGirl on March 22, 2007, 11:34:19 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 11
ReplyPrint
Author  (Read 10509 times)
CoolGirl
Guest
«Reply #60 on: July 04, 2007, 11:51:22 AM »
Reply with quote
thnx paani
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
meri kismat ki kahani by gum in Shayri-E-Dard
Meri Kahani.. Meri Zubani by Aashique in Shayri-E-Dard
'kahani teri' ( meri kyu lagti hai) by samnoj in Miscellaneous Shayri
meri kahani by Singh is king in Shayri for Khumar -e- Ishq
MERI KAHANI MERI JUBAANI by amarhellboy in Shayeri for Dard -e- Bewafai
CoolGirl
Guest
«Reply #61 on: July 05, 2007, 12:42:47 PM »
Reply with quote
YAAD AAYE MERI TOH PALKHON KO DO PAL JHUKAA LENA
KUCCH IS KADAR MUJHKO, NAZROO ME BASAA LENA

AGAR PUCCHE KOI MERE BARAH MEIN
TOH USE APNI AANKHEIN DIKHA DENA

NEEND JAB AANKHON SE JANE LAAGE
TOH MERI YAAD KO APNE SEENE SE LAGA LENA

BECHAIN KAARE YE DIL JAB TUMHE
MUJHKO APNI DHADKAN BANA LENA

NA KABHI TUMHE YE TANHA REHENE DEGI
YAADON KO MERI APNA SHAAHARA BANA LENA

HONE LAAGE JAB AANKHEIN TUMARI NAAM
TOH RANI DO LAFZ TUM MUJHE LIKH DENA
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #62 on: July 05, 2007, 01:18:31 PM »
Reply with quote
yun na khola karo dil ki khidkiyan
koi hawa ka jhonka tumhara chain udaa le jayega

band rakho apni palkon se aankhen
koi musafir tumhari nind udaa le jaayega

palkon pe yun sapne na bunaa karo
warna koi tumare sapne udaa le jaayega

rakho apne dil ko zara sambhal ke
koi ajnabhi tumara dil udaa le jaayega

na raho itne kareeb tum inn phoolon ke
koi bawra tumari khusboo udaa le jaayega

hogi bhi na khabar aur banjaayega wo apna
koi paaraya RANI tumhe tumse udaa le jaayega
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #63 on: July 05, 2007, 03:46:59 PM »
Reply with quote
U isharo isharo me apna bananewale
Kya sabak ye hume tu sikha gaya

Jeena to hum kab ka chod chuke the
Par saans lene ki kasam tu dila gaya

Khwahishe to kuch bhi na thi is Dil me
Par na jaane kaisi ummid dila gaya

sapne saare mere kahin kho chuke the
phirse mujhe sapne dekhna sikha gaya

khushiyan to jaise ruth chuki thi mujhse
par aaj mujhpe khushiyon ko tu barsa gaya

Ab soch k bhi hairaan hu RANI
Ki koi mujhe Jeena shikha gaya
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #64 on: July 08, 2007, 08:04:01 AM »
Reply with quote
khamosh hai zuban per dilse dil ki baat hoti hai
door hi sahi per khuwabon mein mulakat hoti hai

nahi lagta hume aisa ke kareeb nahi ho hamare
raat ke bawajud yahan kab raat hoti hai

aaj tak roshan hai wo pyaar ka diya
uski to rozz hawaa se baat hoti hai

aata jaate kitne mausam ko humne dekha
per mere jahan mein to pyaar ki barsaat hoti hai

pather ke raston pe phoolon ki chaddar mile
aisi kahan sabki kismaat hoti hai

ab bhi unke khaton se aati hai khushboo
RANI yehi hi sachi chahat hoti hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #65 on: July 09, 2007, 09:53:35 AM »
Reply with quote
lafz lafz likh ke gazal ban gayi
jaane kab kahan koi mujhe pagal kergayi

ab ye qalaam bhi uski deewani hogayi
jo mujhe bhi deewana bana gayi

na uske siwa kuch likhne ko dil chahe
ab wohi meri shayari ban gayi

zehn-o-dil pe aisa qehar dala usne
ke her soo bas wohi sama gayi

raat mein bhi ajeeb si roshni jaale
jaane wo kaisa jaadu chala gayi

ab iss dil pe chale uski hukumat
woh mere dilki RANI ban gayi
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #66 on: July 11, 2007, 09:03:46 AM »
Reply with quote
jahan hum mile the
wahan hi tum aana
sang apne saare
khoye sapne lana
tinka tinka jo chuna tha
adhora hai wo aashiyana
poora kerne usko tum
ek baar lut aana
ek baar lut aana


sang mere ker rahi hai
intezar hawaon ki rawani
aasman bhi ker raha
hai duaaon ki roshni
milke jo likha hai
adhora hai wo afsaana
poora kerne usko tum
ek baar lut aana
ek baar lut aana


hum mile to phool khile
titliyon ne rang bhare
kho gaye phatjhar ke mausam
kante bhi muskura paare
ab chaayi hai her soo udaasi
tum bin adhora hai her lamha sunhana
poora kerne usko tum
ek baar lut aana
ek baar lut aana
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #67 on: July 14, 2007, 06:06:32 AM »
Reply with quote
zindagi ke her lamhe yunhi guzar lenge
do kadam tum chalo do kadam hum chalenge
dukh sukh ki barsaat ka mazaa lenge
do kadam tum chalo do kadam hum chalenge


kaath jaayega safar yunhi haste haste
manzil aayegi nazar saath chalte chalte
na dekhege hum peeche kabhi modke
saajege apne liye phoolon ke raste
thodi khushiyan thode aansoo mein jee lenge
do kadam tum chalo do kadam hum chalenge


pyaar hi pyaar jahan barse ga
udaasi ka saama wahan tarse ga
na chaligi koi ghaam ki fizaa
aisa apna aashiyan baane ga
her pal ko gaale laga lenge
do kadam tum chalo do kadam hum chalenge
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #68 on: July 19, 2007, 08:19:01 AM »
Reply with quote
aye lafzon tum mera saath nibha jaao
kuch is tarah tum her soo bikar jaao


hai jo baat mere dil mein baasi
usey tum meri zuban tak le aayo


suna saako her dard ko jo hai chuppa
kuch iss tarah aashq banke tum beh jaao


fizaa mein phir se woh khushboo bikar jaaye
tum her khushi ko jhoom ke keh jaaon


taqat hoti bahut hai tum lafzon mein
hai zindagi kya mujhe tum samjha jaao


kuch meri tum suna kuch apni tum kaho
bas ek rooh ki tarah RANI mein tum samaa jaao
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #69 on: July 19, 2007, 05:37:13 PM »
Reply with quote
fantastic job Coolgirl......!!

Kuch Khamosh palon me......
Tumne woh Dil ki baat Jubaan par Sajaayi hai......

Kahaani kehti ho jise tum.....
Asal me wahi Zindagi ki Sachaai hai.....

Na jaane kal mile na mile yeh Mausam......
Na raho kisi gumaan me.....kabhi Zindagi kisi ke liye kahan laut ke aayi hai........!!!!!!!!
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #70 on: July 19, 2007, 07:16:13 PM »
Reply with quote
wow kya likh diya aapne
just mind blowing

thnx alot
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #71 on: July 20, 2007, 11:51:18 AM »
Reply with quote
Chand Taaron Se saji Raat Bhala Kya Maange
Jisko Mil Jaaye Tera Sath Bhala Kya Maange


Lab Pe Aayi Dua Or Kabul Ho Gayi
Ab Dua Main Uthe Hath Bhala Kya Maange


iss tarha saama gaye ho tum mujh mein
door rehke bhi hojaye mulakat bhala kya maange


chahat ki roshni bhikri hai her soo
nahi pata ab kya din hai aur kya raat bhala kya maange


aawaaz hai teri iss khadar pyaari
hoti hai sapno mein bhi tujhse baat bhala kya maange


bas tujhe paake humain sab mil gaya
ab hoti rahe RANI ye chahat ki barsaat bhala kya maange
Logged
Roja
Guest
«Reply #72 on: July 20, 2007, 02:32:03 PM »
Reply with quote
Hey cool girl all are too good to read dear. Keep flowing...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #73 on: July 20, 2007, 03:11:22 PM »
Reply with quote
thnx roja ji
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #74 on: July 27, 2007, 08:37:58 AM »
Reply with quote
tere ishq mein jaane kabse hon mein deewani
ab toh hai bin tere adhori meri kahani


na katte hain mere ye din raat ve
ab toh aaja ve sajna ke beet na jaye zindagani


aankhon ke jharoke mein tera hi aaks basa
aansoon mein beh na jaye kahin tere pyaar ki nishani


dil rone mein mujhko kerta hai majboor
kahin khul na jaye woh baat jo tujhko hai batani


aake bhela ja tu nadaan iss dil ko
ke ab bhi hon mein tere dil ki RANI
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:22:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer