CoolGirl
Guest
|
«Reply #90 on: September 03, 2007, 07:22:04 AM » |
|
Ae khuda aaj nazron ko kuch aisi beenai de jidhar dekhu udhar vo hi dikhai de
kash aisi meharbaniya ho aaj hawa me ki usko pukaru aur usi ko sunai de
na mitt paaye kabhi pyaar ke afsaane aisi meri qalaam ko tu siyai de
chaya ho pyaar ka noor her taraf aaj tou woh shama jalai de
inn aankhon mein basa ho bas tera chera apni aankhon ki mujhe tu surmayi de
aaj milan ki raat aayi hai bari suhani ab tou RANI ko bana meri lugayi de
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Fawad
Guest
|
|
«Reply #91 on: September 03, 2007, 08:03:52 AM » |
|
un ke zulphein un ka chahra hata sakta nahin dil ke betabi kisee sorat chupa sakta nahin kitnee dilkash hein mohabbat ke jawan majboorian samnay manzil hay aor paaon barha sakta nahin !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #92 on: September 03, 2007, 09:47:23 AM » |
|
hmmm jhakas mamu kya khub kaha hai aapne
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #93 on: September 03, 2007, 09:47:48 AM » |
|
Aaj Unko Maine KHAFA Kar Diya Aisa Laga Jaise Khudse Daga Kar Diya
Unhe Kaise Manau Sochte Rahe Din Bhar Aaj Aansuone Bhi Aane Se Mana Kar Diya
sath sath jis raah pe hum chal rahe the aaj meine khudhi alag rasta kar diya
bina soche hi unpe galat ilzam lagae apne hi rishte se meine dhoka kar diya
her pal jahan baharon ka saama rehta tha kyun udaas meine yeh saama kar diya
ab kis tarah RANI yeh qalaam chale gi tune tou khud her lafz ko jhoota kar diya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Fawad
Guest
|
|
«Reply #94 on: September 03, 2007, 10:39:10 AM » |
|
wo nazar se to dour hai magar ye ajeeb sorat e haal hai her waqt paish e nazar bhi hain, na firaq hai na wisaal hai
na wo hum se gum na hum un se gum, wo idher khafa hum udher khafa na unhien humara khayal hai na humhien damagh e sawal hai
yehi qurbatien yehi faslay to khaloos ki jaan hain kabhi gard e ranj o malaal hai kabhi fikr ye paish e haal hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #95 on: September 04, 2007, 10:08:03 AM » |
|
Kismat Humpe Itna Ehsaan Kar Jaye Ye Sare Haseen Khwaab Haqeeqat Ban Jaye
Na Karenge Dua Koi Aur Khuda Se Agar Zindagi Ke Safar Mein Aapka Saath Mil Jaye
roshni se jagmagata rahe ga humara aashiya jo aapke kadam iss dil ki mehfil mein aajaye
door rehke bhi aati rahegi aapki mehak aapki saanson ki khusboo jo inn hawaon mein gul jaye
kaise kare beyaan hai kitna deewana dil inn dhadkano ko sunlo ager kabhi fursat mil jaye
mehjabeen naazneen dilnaseen kya kahen tumhe RANI jo teri aada ko beyaan kare woh lafz hume mil jaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajbir
Guest
|
|
«Reply #96 on: September 04, 2007, 11:03:14 AM » |
|
Rani and Fawad
Bahut khoob !
Aap dono he jhakas likh rahe hain =D>
Lage raho :D
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #97 on: September 04, 2007, 11:26:05 AM » |
|
thnx rajbir
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #98 on: September 04, 2007, 11:26:35 AM » |
|
jo ho tumhe kabhi kisiki chahat to aawaaz de dena na mile tumhe kabhi muhabbat to aawaaz de dena
kho jaye kisi behid mein jab teri haasi na de sake koi tumhe muskurahat to aawaaz de dena
aane lage ager tumhe tanhayi nazar her jaga jab apne bhi kerne lage bhagawat to aawaaz de dena
jab tum saverne aaine ke paas khari ho chahe dil ke kahe tumhe koi khubsorat to aawaaz de dena
koi bas janle sab tumhare aankhon se kerni ho aankhon se baat to aawaaz de dena
hamari yaadon mein khoye din raat jo raho tum koi samjhe na tumhare jazbaat to aawaaz de dena
mere her lafz sunke jo khushi hoti thi tumhe RANI fir ho tumhe khwaahish-e-masarrat to aawaaz de dena
(khwahish-e-masarrat : khushi ki chahat)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #99 on: September 06, 2007, 06:25:23 AM » |
|
maan ke qalaam se dil ke kagaz per likh di hai meine apni kahani
sun sako tou tum sun lena inn dhadkon ki zubani
ek tere pyaar ke deep se hi bani hai yeh dilki mehfil suhani
ab yeh qalaam bhi likhna chahe tera hi naam yeh bhi ab teri bangayi hai deewani
hawaon ke haath ek armaan bheja hai kabhi mehsoos kerke dekho innki rawani
aik pyaar ke nagma hi hai RANI teri meri yeh haseen zindagani
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #100 on: September 06, 2007, 09:40:23 PM » |
|
Bohat khoob CoolGirl...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
rahat_yogi
Guest
|
|
«Reply #101 on: September 07, 2007, 03:37:01 AM » |
|
Cool Girl It is awesome thoughts
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #102 on: September 09, 2007, 08:21:27 AM » |
|
thnx aryan n yogi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #103 on: September 10, 2007, 09:41:47 AM » |
|
Dilke Darwaze Pe Khada Kabse Shayad Dastak De Raha Hai Koi
Hazaron Sapne The Jo Toot Ke Bikhre Samet Kar Ek Ek De Raha Hai Koi
gardison ne jo ghera tha takdeer ko mere ab usmei khushiyon ka pal de raha hai koi
jis jeevan mei na jaga bachi thi roshni keliye aaj ussi roshni ko rasta de raha hai koi
na ajnabi sa lage na apno sa lage insan ke roop mein Khuda farishta de raha hai koi
jin lafzon ki zuban kahin kho gayi thi aaj RANI ke lafzon ko aawaaz de raha hai koi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #104 on: September 12, 2007, 10:23:31 AM » |
|
Apne Hothon Par Kuch Nagme Chupa Kar Hum Baithe Hai Dilke Arman Dilme Kahin Dabakar Hum Baithe Hai
kahin khul na jaaye raaz ki baatein humari isliye inn nazron ko jukakar hum baithe hai
tumhe paane ki ummid to nahi hai hume per tumse dil laga kar hum baithe hai
apne dilki baatein kisi tarha hum beyaan kare inn labon pe baat sajakar hum baithe hai
bas ek nazar unki yahan bhi aajaaye RANI apne haathon ko kabse uthakar hum baithe hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|