meri saanso ke nishaan... Intezar !

by Intezar on October 14, 2011, 03:04:06 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1425 times)
Intezar
Guest
Reply with quote


Mit gaye faasle baahon me simatne ke baad
nam si hai aankhe raat bhar sisakne ke baad
 
saari raat jala hai ye jism teri aagosh mein,
ab sard ho aaya hai tujhse bichadne ke baad
 
raat bhar barsi hain khwaahishe hontho se
rang badla hai hontho ka, rang utarne ke baad
 
aaj tujhe paaya hai humne apni baahon mein
kayi raaton tak tanha karwat badalne ke baad
 
tere badan pe reh gaye hai, meri saanso k nishaan
mita na dena inhe meri aagosh se nikalne ke baad
 
dhuaan sa utha hai aaj mere ashiyane se yaha
raat bhar tere armaano mein pighalne ke baad
 
lamba tha safar teri dhadkano tak ka ‘Intezar’
khatam hua safar, aakhri saans nikalne ke baad…!


Shukriya
Intezar !

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
saanso ki kasak(GUNEHGAAR) by gunehgaar in Shayari -e- Husn
***Saanso Ki Dor*** by AVTAR RAYAT in Share:Love Poetry
Uske hontho par ruk ruk kar meri saanse... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
aakar meri yaad mein wo ek shamma to jalaaye... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Mera dil Ne Meri Saanso Ko Gulam Kiya by pawan16 in Miscellaneous Shayri
sarfira
Guest
«Reply #1 on: October 14, 2011, 03:33:47 PM »
Reply with quote
lajawaab lajawaab aur sirf lajawaab !!!

nishabd kardene waka post hai janaab--

behtareen post ko beintehaa daad

uff kamaal ke ehsaas aur alfaaz --
adaygi to janaab behad umdaa
--
muskurate rahie
khus rahie
aate rahie janaab
aapka #Intezaar# rahega hamesha

Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: October 14, 2011, 04:12:21 PM »
Reply with quote
Intezaar Sahaab Aadaab!

Janab kia baat hai badi khumar bhari kalaam pesh ki
Sar ta paaN kalaaM meiN khumari hi khumari wale ahsaas
O khayaal nazar aaye... Usual Smile

MubarakaaN janab MubarakaaN, Vadiyaa likhiyaa janab..

Likhate rahiye.. Khush O aabaad rahiye..
Is khub kalaam par dili daad kabul kijiye..

Aate rahiye, Khuda Hafez.. Usual Smile   






raat bhar barsi hain khwaahishe hontho se
rang badla hai hontho ka, rang utarne ke baad
 
Khub Kaha janab.. Winking   


aaj tujhe paaya hai humne apni baahon mein
kayi raaton tak tanha karwat badalne ke baad
 
Kia baat hai bahut khoob ... Usual Smile   

tere badan pe reh gaye hai, meri saanso k nishaan
mita na dena inhe meri aagosh se nikalne ke baad
 
Waah waah waah janab is kahte hai shayrana
andaaz bahut khoob..     


dhuaan sa utha hai aaj mere ashiyane se yaha
raat bhar tere armaano mein pighalne ke baad
 
Hota hai janab aksar yehi hota hai
aapke aashiyaane se to dhuaaN utha humara to aashiyaana
hi jal gaya... sad5   


lamba tha safar teri dhadkano tak ka ‘Intezar’
khatam hua safar, aakhri saans nikalne ke baad…!

Bahut khoob janab bahut sahiN farmaya ..
daad daad daad...     


Shukriya
Intezar !

Logged
sbechain
Guest
«Reply #3 on: November 13, 2011, 01:20:40 PM »
Reply with quote


Mit gaye faasle baahon me simatne ke baad
nam si hai aankhe raat bhar sisakne ke baad
 
saari raat jala hai ye jism teri aagosh mein,
ab sard ho aaya hai tujhse bichadne ke baad
 
raat bhar barsi hain khwaahishe hontho se
rang badla hai hontho ka, rang utarne ke baad
 
aaj tujhe paaya hai humne apni baahon mein
kayi raaton tak tanha karwat badalne ke baad
 
tere badan pe reh gaye hai, meri saanso k nishaan
mita na dena inhe meri aagosh se nikalne ke baad
 
dhuaan sa utha hai aaj mere ashiyane se yaha
raat bhar tere armaano mein pighalne ke baad
 
lamba tha safar teri dhadkano tak ka ‘Intezar’
khatam hua safar, aakhri saans nikalne ke baad…!


Shukriya
Intezar !


bahut khoob. bahut khoob intezar ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 03:21:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 21 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer