Meri Tanhahiyo Ko Samaj Sako To Saath Apna Dijiye

by FAREE on December 15, 2006, 03:30:37 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 968 times)
FAREE
Guest
Reply with quote


Roja ji aap buht Acha likhti ho yeh kuch ilfaaz aap ki Nazar krta hoon

Pasand ayein Tu Reply Kijiye ga

Meri tanhahiyo ko samaj sako to saath apna dijiye
Mere gum ko apna sako to payar mujse kijiye

Raahe nahi ye aasa, kanto se bhara safar hai
Agar chal sako inpe to haath apna dijiye
Mere payar ko samaj sako to payar mujse kijiye

Chand tare tord sakoon ye meri bas kee baat nahi
Tere siway kuch bhee to mere pass nahi
Apna mujko bana sako to dil main mujko basa lijiye
Mere payar ko samaj sako to payar mujse kijiye


Iss duniya se hoon bekhabar, na kohi manjil na dagar
Apni dunia main le ja sako to awaz mujko dijiye
Mere payar ko samaj sako to payar mujse kijiye

Gumnaam hoon main, na meri kohi pachaan
Iss dunia se bekhbar, khud se anjaan
Meri pachaan ban sako to pata apna dijiye
Mere payar ko samaj sako to payar mujse kijiye

zindagi bhar ke safar main saath gar de sako to
Hamsafar hum ko bana lijiye
Mere payar ko samaj sako to payar mujse kijiye
Logged
Roja
Guest
«Reply #1 on: December 17, 2006, 03:18:44 AM »
Reply with quote
Bahut khub Faree ji.. Daad Kabul Kijiye...


Jab Tum Judaa Huye They Wo Pal Nazar Main Hai
Apni Nazar Ka Aalme-Hasrat Nazar Main Hai

Jee Ber Ke Dekhne Ki Tamanna Ke Bawajood
Ruk-Ruk Ke Dekhna Dhame-Rukhsat Nazar Main Hai

Shaamo-Virah Jo Mere Lab Taq Na Aa Sakhi
Ab Taq Wo An-Kahee-Si Hikayat Nazar Main Hai

Ye Dilkashi, Kahan Mere Shyamo-Saher Main Thi
Dunia Tere Nazar Ki Badaulat  Nazar Main Hai

Jalwo Se Kam Nahee Tere Jalwo Ki Yaad Bi
Hairat Main Hai Nazar, Kabi Hairat Nazar Main Hai

Pabandhi-Makano-Jama Ut Gayee "Roja"
Jo Chup Gayee Nazar Se Woh Surat Nazar Main Hai

 :lol:
[/color]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #2 on: December 17, 2006, 03:26:59 AM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Bahut khub Faree ji.. Daad Kabul Kijiye...


Jab Tum Judaa Huye They Wo Pal Nazar Main Hai
Apni Nazar Ka Aalme-Hasrat Nazar Main Hai

Jee Ber Ke Dekhne Ki Tamanna Ke Bawajood
Ruk-Ruk Ke Dekhna Dhame-Rukhsat Nazar Main Hai

Shaamo-Virah Jo Mere Lab Taq Na Aa Sakhi
Ab Taq Wo An-Kahee-Si Hikayat Nazar Main Hai

Ye Dilkashi, Kahan Mere Shyamo-Saher Main Thi
Dunia Tere Nazar Ki Badaulat  Nazar Main Hai

Jalwo Se Kam Nahee Tere Jalwo Ki Yaad Bi
Hairat Main Hai Nazar, Kabi Hairat Nazar Main Hai

Pabandhi-Makano-Jama Ut Gayee "Roja"
Jo Chup Gayee Nazar Se Woh Surat Nazar Main Hai

 :lol:
[/color]
Roja Well Done  


Nice Poetry

Tere Dil Ko Chuke Hawa Jo Gujre Kabhi
Samaj Lena Humko Yaad Teri Aayi Abhi

Humne Socha Kaise Tumko Pata Chale
Boli Hawa Main Dilake Ehsaas Aai ABhi

Saath Tere CHalti Rahegi Yun Ye Fiza
Jaise Meri Dhadkan Dil Main Samai ABhi

Dekhke Diwaane TUmko HUm Ho Gaye
Nazaron Pe Meri Aawargi Hai Chai Abhi

Lag Raha Hun Khush Main Aaj Kyun Itna
Lagta Hai Usne Ksimat Meri Banai ABhi
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:43:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer