Meri Tanhai Mere Saath Hansti Hai

by javedarshad on March 31, 2008, 07:33:01 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1799 times)
javedarshad
Guest
Reply with quote
Meri Tanhai Mere Saath Hansti Hai
----------------------------------------

Meri tanhai mere saath hansti hai
Aur khamooshi chupke chupke batain kerti hai
Jab se tumne in sakhiyoon se milwaya hai
Yeh zindagee badi aasani se guzra kerti hai

Tumhara woh zoom , woh anaa parasti
Aaj bhi mere humsafer hain
Tumhare woh albele andaaz
Woh paich-o-kham , woh ithlaate qadam
Aaj bhi zindagee ka saaz hain

Tumhari berukhi mein chupi khamoosh muhabbat
Tumhari be aaitnaee mein jhalakti woh bekali (Nazer andaaz kerne ka andaaz)
Mujhe khud se door nahin jane deti
Tumhari jafaun mein chalakti chahat
Tumhain bhulaane bhi nahin deti

Kal tumhari neemwa aankhon ne (Adh Kuli Aankh)
Apni is dastaaN ko fazaaun mein
Baazgasht kerne ko aam ker diya tha
Keh tum hi nahin main bhi tanha hun
Main bhi khamooshi mein
Chupke chupke kisi se batain kerti hun

Kash tum
Meri majboori aur dard ko samajh sakte
Meri jafaun mein wafaaun ko dhood sakte

Aai jane jaan
Tumne sach hi kaha hai
Isi liye aaj tak
Meri tanhayee mere sath hansti hai
Aur khamooshi chpuke chupke batain kerti hai

Javed
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mere is dil mein tanhai ke siwa by sarafz in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Rehtey Hain Saath Saath Mai Aur Meri Tanhai by waheed_rose2004 in Shayri for Dard -e- Judai
“”””””********AAPNI TANHAI MERE NAAM KROO ********””””””” by fakharenaveed in Shayri-E-Dard
sab ho mere saath!!! by redwhitegang in Shayri for Khumar -e- Ishq
mai akela,,meri tanhai mai.. by sagar_voski22@gmail.com in Shayri for Dard -e- Judai
AZAM SHAIK
Guest
«Reply #1 on: March 31, 2008, 08:09:39 PM »
Reply with quote
DIL KE CHALOON KO SHAIRI KAHO TOH TAKLEEF NAHI HOTI:
TKLEEF TOH JAB HOTI HAI JAB KOI WAH WAH KARTA HAI.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #2 on: March 31, 2008, 09:40:04 PM »
Reply with quote
Javed Mian, aap ne nazam to kamaal ki likhi hai.
Aisa hi kuchh likhte rehye.
Shukriya.


LIFE....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: March 31, 2008, 09:46:52 PM »
Reply with quote
good one javed
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #4 on: April 01, 2008, 12:39:46 AM »
Reply with quote
Muhtram Azam Sb.
Shukria kia shair likha hai
Aap ka kahna bilkul baja hai,
Sooz-o-saaz ka kuch gumaan chahiye
Werna her kis-o-nakis phir shayer hoota

shukria

javed
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #5 on: April 01, 2008, 12:41:31 AM »
Reply with quote
Syed Sb.

Nawazish hai aap ki


shukria

Javed
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #6 on: April 01, 2008, 12:42:09 AM »
Reply with quote
Thanks pooja



Javed
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #7 on: April 01, 2008, 03:08:34 AM »
Reply with quote
Adaab javed saheb...badi khushi hui aapko yahaaN dekhker....iss yaraan-e-bazm maiN aapka tah-e-dil se swagat kerte haiN....kaafi arse baad apke deedaar hue hain..our hue bhi aise ke itni khoobsoorat nazm ke saath..hamari janib se dheroN daad kabool keejiye janaab........

Quote
Meri tanhai mere saath hansti hai
Aur khamooshi chupke chupke batain kerti hai
Jab se tumne in sakhiyoon se milwaya hai
Yeh zindagee badi aasani se guzra kerti hai
...waah

chhupaye haiN be-intiha ashq Iss tanhaii ne
Chaah ker bhi teri yaad ko bhulaya na gaya
Woh aalam-e-hizra sunate sunate rahe mujhko
Magar hamse chashm-e-nam chhupaya na gaya.


Harash
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #8 on: April 01, 2008, 05:21:43 AM »
Reply with quote
Muhtram Harsh Sb.
Adaab


Aap ki zarra nawazi hai

main aap ka tahedil se mashkoor hun

aap ki is nawazish ke behad shukria


Aap ne apne chaar misron mein HIJR ko kia khoob bayan kiya hai



javed
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #9 on: April 01, 2008, 05:56:26 AM »
Reply with quote
Shukriyaa^h javed sahab....
Logged
Mirza2728
Guest
«Reply #10 on: April 01, 2008, 06:52:51 AM »
Reply with quote
nice poetry bhai
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #11 on: April 01, 2008, 07:19:57 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob likha hai Javed Ji aur Harsh Ji.. Applause
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #12 on: April 02, 2008, 07:51:20 AM »
Reply with quote
Shukria

Mirza JI aap ki is nawazish ka



javed
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #13 on: April 02, 2008, 07:54:28 AM »
Reply with quote
Mahiya ji

bahut bahut shukria


javed
Logged
gurop
Guest
«Reply #14 on: June 08, 2013, 04:09:48 AM »
Reply with quote
DIL KE CHALOON KO SHAIRI KAHO TOH TAKLEEF NAHI HOTI:
TKLEEF TOH JAB HOTI HAI JAB KOI WAH WAH KARTA HAI.
sad10 Applause angel11 icon_geek DOH tearyeyed Thumbs UP read2 icon_flower sunny hello crybaby2 icon_flower
tearyeyed
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 03:08:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer