***** MERI ZINDGI K NAAM ******

by fakharenaveed on December 28, 2004, 11:45:55 PM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 40
ReplyPrint
Author  (Read 41318 times)
fakharenaveed
Guest
«Reply #150 on: March 13, 2005, 07:54:04 PM »
Reply with quote
Anger in hasty Words or Blows
It self discharges on our Foes:
And Sorrow too finds some Relief
In Tears that wait upon our Grief;
Thus every Passion, but fond Love,
Unto its own Redress does move,
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jaana tera zindgi dusra naam hai by vikas2210 in Shayri-E-Dard
Zindgi tere naam likh dete hain by mistufer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zindgi Hum Apni unke Naam by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Zindgi maine jis k naam ki hai. by er.pushpendra1 in Shayri-E-Dard
TUMHEN ZINDGI NAAM SE PUKAARAA by surindarn in Shayeri for Dard -e- Bewafai
fakharenaveed
Guest
«Reply #151 on: March 14, 2005, 12:56:00 AM »
Reply with quote
baharon main ghataon main tujhay mehsos kiya,

jevan ki rahoon main tujhay mehsos kiya,

mairi sanson main rahay teray khayal se halchal,

dil ki panahon main tumhay mehsos kiya,

khushbo hi khushbo bikhar gai har sooo,

main nay in hawaon main tujhay mehsos kiya,

din kay ujalon main tujhay mehsos kiya,

raat ki bahon main tujhay mehsos kiya,

neend roth gai us raat mujh se,

jis raat main nay tujhay mehsos kiya,

chand bhi mujh par rashk karta hai,

main nay jis main tujhay mehsos kiya,

har lamha pas bulaya hai tujhay,

tujh main kho kar tujhay mehsos kiya.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #152 on: March 14, 2005, 02:10:34 AM »
Reply with quote
Hath mein meray ager hota to sham say pehlay rat kerdeta
mein sham honay say pehlay hi apnay dil k diyeh bujhadeta

Aik dil hi kafee hai teri yaad mein jalnay kay liyeh
koi to hota jo meray is jaltay dil ko bujhadeta

Jala ker aag chala gaya duniya kay kissi konay mein
wo kither gaya koi to is dill ko batadeta

Janay wo kiss hal mein ho janay kiss khayal mein
us ki kheriat ka pegam koi to mujhay suna deta

Ik dil ko hi dosray dil say rah hoti hai
koi to yeh baat usay bata deta

Meri in ankhon mein dukh kay badal bangaey
koi to hota jo enhein barsa deta

Kal shab ujlay chehron ki mehfil mein wo yaad bohat aee
koi to hota jo usay us mehfil mein bolaleta

Har raat kati us kay intezar mein,mein nay
k phir naya din intezar ki ghariyan berha deta

Sochta hon nikal paron teri talash-e-safer mein
per koi to hota jo meri rehnomaee ker deta

Mein shakal-o-soorat per nahi ,teray kirdar per gaya tha
ger tera kirdar sahee na hota to tujhay salam kerdeta

Mujh mein etna jazba hota k koi cheez teray naam kerta
to teri khushi k liyeh apni khushi qurban kerdeta

Ger hoti tujh mein meray liyeh zar-ra bhar mohabat
to phir tu mujhay apnay pass bulaleta

Ae REHMAT us k dil mein teray liyeh mohabat bohat hai
ger duniya ka gham na hota to tujhay sharik-e-gham banaleta
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #153 on: March 14, 2005, 02:21:22 AM »
Reply with quote
Tab Yaad Tumhari Aatee Hay ...

Jab Yunhi Kabhi Baithay Baithay, Kuch Yaad Achanak Aah jahe
Her Baat Say Dil Bayzar Sa Ho, Her Cheez Say Dil Ghabra Jahe

Karna Bhi Mujhe Kuch Aur He Ho, Kuch Aur He Mujh Say Ho Jahe
Kuch Aur He Sochoon Main Dil Men, Kuch Aur He Hontoon Par aaHe

Aisay He Kisee Aik Lamhay Men, Chupke Say Kabhi Khamoshi Men
Kuch Phool Achanak Khil Jahen, Kuch Betay Lamhe Yaad aaHen



Tab Yaad Tumhari Aatee Hay ..


Jab Chandni Dil Kay Aangan Men, Kuch Kahene Mujh Say Aa jahe
Ik Khwabedaa Se Chote Koi, Ehsaas Pay Mere Chaa jahe

Jab Zulf Parishaan Chehray Per, Kuch Aur Parishaan Ho Jahe
Kuch Dard Bhi Dil Mein Hone Lage, Aur Saans Bhi Bojhal Ho jahe

Aisay He Kisee Aik Lamhay Men, Chupkay Say Kabhi Khamoshi Men
Kuch Phool Achanak Khil Jahen, Kuch Betay Lamhe Yaad aaHen



Tab Yaad Tumhari Aatee Hay ..


Jab Shaam Dhalay Chaltay Chaltay, Manzil Ka Na Koi Naam Mile
Ik Hansta Hua Aaghaz Mile, Ik Rota Hua Anjaam Mile

Palkoon Kay Laraztay Ashkoon Say, Is Dil Ko Koi Paygham Mile
Aur Sari Wafaoon Kay Badlay, Mujh Ko He Koi Ilzaam Mile

Aisay He Kisee Aik Lamhay Men, Chupkay Say Kabhi Khamoshi Men
Kuch Phool Achanak Khil Jahen, Kuch Betay Lamhe Yaad aaHen



Tab Yaad Tumhari Aatee Hay ...
[/color]
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #154 on: March 14, 2005, 07:40:03 PM »
Reply with quote
aaj kiya zikr kisi ney jo tumhara
halkey halkey sey phir tum yaad aney lagey

main purani baatoon kay samander main doobney lagi
dil main ek baar phir tum utarney lagey

palkoon kay darwaazey ko band kiya main ney
aur ansoo ban kay tum aankhoon sey behney lagey

bebasi itni kay merey haath uth gaye
dobara khuda sey tumhey mangeney lagey

zikr tumhara sun ker ek baar phir
merey jazbaat tumhari tamana kerney lagey

bana kay tasveer teri merey zehn main
merey tootey armaan rooney lagey

paa kay tumhey khwaaboon main hum
jaag ker phir tumhey khooney lagey

waada chahti hoon takdeer sey yeh
kay badal dey woh jo honey lagey
_________________
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #155 on: March 15, 2005, 01:36:39 AM »
Reply with quote
Meri mohabbat aasi hai kay tum bhi na samaj paho gi shayad
Kitni bhi kerlo tum mujhse pyar per utna na ker paho gi shayad
Hum tho mohabbat kay naam per ibbadat kertein hain aap ki
Mere marney kay baad bhi tum yeh na samaj paho gi shayad
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #156 on: March 15, 2005, 02:27:03 AM »
Reply with quote
Aaj tumko aana tha,per aaj tum na aayeh ho
Aur ab tum humse Pochtey ho, Kay ku muu latkahey ho




Tumko bhi pata tha hum reh na pahey gay
Duur aaker tumse Sah na pahey gay
Phir bhi tumne Socha na rokne ka eik bar
Jahney diya duur aur kerdiya humhein beqaar





Teri nishaniya seene sey lagahey hoon
Apni kahani sub sey chupahey hoon
Jitna bhi samajna chaho samaj na paho gay
Yeh woh mohabbat hai jisko tum samaj na paho gay



Namaz pardne bheta hoon per sajda nahi hota
Teri tasveer jo lagi hai samne aur parda nahi hota
Kaise hattahoon nazarein teri tasveer say sanam
Teri tasveer kay samne ab sajda nahi hota
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #157 on: March 26, 2005, 02:36:53 AM »
Reply with quote
meri baqi posts ka kia bna hai?
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #158 on: March 26, 2005, 07:26:16 PM »
Reply with quote
CHILAMN K PEECHEY S WOH YUNH DEKHTE HAIN
JAISE HUMARAY ANSOO AAB THAM TU NAHIN GAYE
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #159 on: March 30, 2005, 09:47:03 PM »
Reply with quote
SIRF TERI ZAAT K BHROSE PE HUM
YEH SAFR  KRNE CHALAY HAIN SUNAM
Logged
Princess21
Guest
«Reply #160 on: March 31, 2005, 02:46:11 AM »
Reply with quote
NICe WorK...NAveed!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #161 on: April 02, 2005, 05:54:54 AM »
Reply with quote
thanx


AUR ULJHTI JATI HAI ZINDGI ULJHNE S
YEH ZULAAF KI TRAH SANWARTI NAHIN
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #162 on: April 02, 2005, 08:30:03 PM »
Reply with quote
RAAT KO TAROON BHRI SHAB MEIN  CHAND NIKLA
US CHAND NEY MERE MAN MEIN SWERA KR DIYA
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #163 on: April 03, 2005, 12:53:25 AM »
Reply with quote
Ik baar sada dee hai dubara nahien doonga
Aana hai to aao ishaara nahein doonga

Hisson main batee zindagi maangay jo koee bhi
Tere naam se mansoob sipaara nahein doonga

Yeh dil ka jazeera kia tere liay hi waqf
Bhatki huwi kashti ko kinaara nahein doonga
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #164 on: April 03, 2005, 03:19:44 AM »
Reply with quote
ajab apanaa haal hotaa jo visaal-e-yaar hotaa
kabhii jaan sadaqe hotii kabhii dil nisaar hotaa

na mazaa hai dushmanii main na hai lutf dostii main
koii Gheer Gheer hotaa, koii yaar yaar hotaa

ye mazaa thaa dillagii kaa ke baraabar aag lagatii
na tumhe.n qaraar hotaa na hame.n qaraar hotaa

tere waade par sitamagar abhii aur sabr karate
agar apanii zindagii kaa hamein aitabaar hotaa
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 40
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 01, 2024, 02:32:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]

[October 29, 2024, 06:05:52 AM]

[October 27, 2024, 11:20:13 AM]

[October 27, 2024, 11:11:07 AM]

[October 27, 2024, 10:00:45 AM]

[October 27, 2024, 09:34:15 AM]

[October 19, 2024, 08:53:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8504 Real Poets and poetry admirer