***** MERI ZINDGI K NAAM ******

by fakharenaveed on December 28, 2004, 11:45:55 PM
Pages: 1 ... 20 21 22 23 [24] 25 26 27 28 ... 40
ReplyPrint
Author  (Read 41507 times)
FAREE
Guest
«Reply #345 on: February 12, 2006, 05:06:19 AM »
Reply with quote
It`s Ourely For you Saba Begum



Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai
woh mera teri aankhon ke samandar main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana
teri awaaz ke saher se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana
bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh ke tere saath ka sochoon
bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
ke jin se tais utth ti hai ke jin se dard hota hai
magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
tere hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jaana tera zindgi dusra naam hai by vikas2210 in Shayri-E-Dard
Zindgi tere naam likh dete hain by mistufer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zindgi Hum Apni unke Naam by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Zindgi maine jis k naam ki hai. by er.pushpendra1 in Shayri-E-Dard
TUMHEN ZINDGI NAAM SE PUKAARAA by surindarn in Shayeri for Dard -e- Bewafai
FAREE
Guest
«Reply #346 on: February 12, 2006, 08:25:11 PM »
Reply with quote
Kis Tarhaan Sajaatay Ho
Maslehat Ki Shaamon Main
Mehfilain Muhabat Ki
Aur Mohabatain Bhi Wo
Saal Bhar Mehak JinKi
Dil Ki Saari Galiyoon Main
Raqs Karti Phirti Hain

Kis Tarhaan Sajaatay Ho
Andhion Kay Mausam Main
Tum Deeyay Rafaqat Kay
TumJo Payaar Ki Dolat
Apnay Dil Kay Haatoon Say
KhushBoowon Ki Baaton Say
IsTarhaan Lutaatay Ho
JisTarhaan Koi Jugnoo
Shab Kay RaigZaaroon Par
Roshni Lutaata Hai
TumJo Habs Mausam Main
Ik Hawaa Ka Jhonka Ho
Kis Taraah Sajaatay Ho
Maslehat Ki Shaamoon Main
Mehfilain Muhabat Ki

Kuchh Humain Bhi Batlaao
Kuchh Humain Bhi Sikhlao
Hum To Apnay Sehraa Kay
Be-Nawaa Musaafir Hain
Hum Tumhaaray Jazboon Ki
Naik Si Fizaaoon Main
Phool Jaisay Geetoon Ki
Raqs Karti Khushboo Kay
Be-Qaraar Shaayar Hain
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #347 on: February 12, 2006, 09:13:16 PM »
Reply with quote
Quote from: "FAREE"
It`s Purely For you Saba Begum



Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai
woh mera teri aankhon ke samandar main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana
teri awaaz ke saher se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana
bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh ke tere saath ka sochoon
bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
ke jin se tais utth ti hai ke jin se dard hota hai
magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
tere hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai


Thanxxxxxxx Faree

Mere dil ke taaro ko na chher jaao
Bohat waqt beeta na mujh ko rulao

Sitam hum ne har tera gawara kiya hai
Dabi huyi chingari ko na shola banao

Chale they kabhi hum tujh se duur
Bohat hai faasla darmiyan na wapas bulao
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #348 on: February 12, 2006, 10:15:20 PM »
Reply with quote
saba,abeera,waheed,and faree....wowww beautiful!!!!

aah kar humhe phir sapna dikha gaya
meri ankhoin mein phir ansuu agaya
meri barsoon ki mohabbat phir jhaga gaya
mujhe phir beh raam kar gaya!!!
Logged
FAREE
Guest
«Reply #349 on: February 13, 2006, 10:09:53 PM »
Reply with quote
Thanks Anjani



Begum sahiba aap tu har baar bazi mar jati hain


kahani ko hamesha aik naya
woh moor deta ha
magar meray fasanay ko adhora choor deta ha
kabhi chanchaal sa saat rung sa
kabhi bargad sa, pepal sa
kabhi harjai, saudai
kabhi deta ha tanhai
kabhi qaus o qaza jesa
kabhi rung e hina jesa
kabhi woh pehli barish sa
kabhi anjan khwahish sa
kabhi rasta ,kabhi manzil
shanasa hai ,kabhi ghafil
kabhi shola ,kabhi shabnum
kabhi hai ma ,kabhi hai hum
hazaroon rung hain usskay sabhi rangoon ma aik rung hai
Muhabat rung ha usska
Logged
FAREE
Guest
«Reply #350 on: February 15, 2006, 08:07:08 AM »
Reply with quote
Tum kya jaano main khuda se kya maangti hoon
Tumhari salamati ki hamesha dua maangti hoon

agar anjaane mein ho jaaye koi tumse kheta
to do mujhe uski saza yeh maangti hoon

agar lag jaaye koi chot tumko ya ho jaao tum pareshaan
to mere haq mein wo saari takleefein maangti hoon

ya khuda meray mehboob ko ghum se door rakhna
din raat tumhaare saare ghum maangti hoon

tum ho hameshaa kaamyaab tumhaari har khwaahish puri ho
bus ye chaahti hoon aur tumhari khushi maangti hoon

Main jaanti hoon ke tum mere nahin ho lekin
main hameshaa khuda se tumhaara saath maangti hoon
Logged
FAREE
Guest
«Reply #351 on: February 17, 2006, 09:23:56 PM »
Reply with quote
koi dil mein liye armaan chala jata hai
koi khoye huey auosaan chala jata hai
husn walo se yeh kehdo ke na niklien bahir
dekhne walon ka eimaan chala jata hai
Logged
mehek
Guest
«Reply #352 on: February 17, 2006, 09:31:02 PM »
Reply with quote
very nice naveed Usual Smile
Logged
FAREE
Guest
«Reply #353 on: February 17, 2006, 09:51:09 PM »
Reply with quote
Thank You Mehak aap Buht din baad nzar ayi hain

ya shayd hum hi late aye hain





Khush Rahoo Jahan rahoo
Logged
roshni246
Guest
«Reply #354 on: February 17, 2006, 09:54:17 PM »
Reply with quote
Tanhai ke lamho me kabi yad kar ke dekh,
ankhon se tere ansu na chalak ae to kehna,
chahat se bhi bar kar chaha he tuje,
pyar itna zindagi me mil jae to kehna,
karte hain marte waqt sabhi yade-ilahi,
mere labo pe tera nam na ae to kehna,
keyamat ke din bhi mere dil ko chier kar dekh lena,
har tukre me teri taswir nazar na ae to kehna!!!
Logged
FAREE
Guest
«Reply #355 on: February 17, 2006, 09:58:14 PM »
Reply with quote
Roshni jI aap ney tu dil ki baat keh kr saray taar baja diye hain


Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh
Unki hasi ko apne hoton se muskurakar dekh

Unke ashkon ko apni ankhon se girakar dekh
Unki bechainiyon ke apne dil main basa ker dekh

Ye mohabbat ek hasin tohfa hai ae dost

Kabhi mohabbat ko is tarah bhi nibhakar dekh

Bohat ho chuki mohabbat mein meri ruswai
Ae Khud main wafa kar ke bhi bewafa kehlayi

Ya tu anjam dede meri mohabbat ko tu
Ya hata de hum diwanoo par se apni khudai

Dard kitne hain bata nahin sakti
Zakhm kitne hain dikha nahin sakta

Ankhon se samjh sako tu samjh lo
Ansoon gire hain kitne gina nahin sakta
Logged
roshni246
Guest
«Reply #356 on: February 17, 2006, 10:02:56 PM »
Reply with quote
thx naveed ji.......awesome reply .........

ranjish hi sahii dil hi dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhor ke jaane ke liye aa
pehle se maraasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniyaa hi niibhaane ke liye aa
kis kis ko bataain gaye judaai kaa sabab hum

tu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa
ab tak dil-e-Khush-faham ko tujh se hain ummiiden
ye aaKhiri shammen bhi bujhaane ke liye aa
maanaa ki muhabbat kaa chhipaanaa hai muhabbat
chupke se kisi roz jataane ke liye aa
jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane
aise hi kisi roz na jaane ke liye aa


~roshni~
Logged
FAREE
Guest
«Reply #357 on: February 17, 2006, 10:13:10 PM »
Reply with quote
You always welcome



aap ki Poetry main kuch khaas hai


AB KE TAJDEED E WAFA KA IMKAN NAHI JANAN
YAAD TUJH KO DILAIN TERE PAIMAN JANAN.....
YON HI MAUSAM KI ADA DEKH KER YAAD ATA HAI
KIS QADAR JALD BADAL JATAY HAIN INSAN JANAN
Logged
roshni246
Guest
«Reply #358 on: February 18, 2006, 02:57:31 PM »
Reply with quote
awesome reply naveed ji .....


Kabhi tum bhi hamse bat kar liya karo
milne ki faryad kar liya karo,
ek hum hai jo har bar shuruat karte hai,
kabhi tum bhi hame humse pehle yad kar liya kar
Logged
FAREE
Guest
«Reply #359 on: February 18, 2006, 10:29:51 PM »
Reply with quote

Thank You Roshni Ji

Jaan ik buut pe fida kertay ho, kia kertay ho
phir bhi umeed-e-wafa kertay ho, kia kertay ho

hum se paiman-e-wafa kertay ho, kia kertay ho
tark-e-dastoor-e-wafa kertay ho, kia kertay ho

wada kertay ho wafa kertay ho, kia kertay ho
jurm-e-qanoon-e-jafa kertay ho, kia kertay ho

khak main hum ko milaya too khoob kia
ab pasheman hoa kertay ho, kia kertay ho

khoon-e-dil ashkoon se bola ye umeed ker kal raat
aap hi aap baha kertay ho, kia kertay hoo

gher jo zindaan hain, too werana bana dena tha
dar-o-dewaar taka kertay ho, kia kertay ho
Logged
Pages: 1 ... 20 21 22 23 [24] 25 26 27 28 ... 40
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 07:24:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer