***** MERI ZINDGI K NAAM ******

by fakharenaveed on December 28, 2004, 11:45:55 PM
Pages: 1 ... 21 22 23 24 [25] 26 27 28 29 ... 40
ReplyPrint
Author  (Read 41325 times)
FAREE
Guest
«Reply #360 on: February 20, 2006, 02:07:30 AM »
Reply with quote
Hum bohut khush huwe, AE dost tujhko paaker
Too ne saja liya hai, Veerana dil ka aaker
Her ghuncha khill utha hai aur her kalii shagufta
Kucch iss ada se too ne dekha hai muskara ker
Tere baghair mera jeena hai koii jeena
Ek zindagi mili hai, Apna tujhe bana ker
Naa khush kabhi na honge, Mujhhko dagha na doge
Rakhhoge abb hamesha dil main mujhe basa ker
Her dumm mere labon per, Tere liye dua hai
Perverdigaar-e-aalam umr-e-khizr ataa ker
Too SHAHID wafa per unki kabhi na ker rashk
Dil main basa liya hai to jaan bhi fida ker
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jaana tera zindgi dusra naam hai by vikas2210 in Shayri-E-Dard
Zindgi tere naam likh dete hain by mistufer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zindgi Hum Apni unke Naam by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Zindgi maine jis k naam ki hai. by er.pushpendra1 in Shayri-E-Dard
TUMHEN ZINDGI NAAM SE PUKAARAA by surindarn in Shayeri for Dard -e- Bewafai
nirbhay
Guest
«Reply #361 on: February 20, 2006, 03:45:08 AM »
Reply with quote
Bohat Hi Khoob Roshni ~$~ fakhar-e-naveed....
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #362 on: February 20, 2006, 04:00:52 AM »
Reply with quote
Quote from: "roshni246"
Tanhai ke lamho me kabi yad kar ke dekh,
ankhon se tere ansu na chalak ae to kehna,
chahat se bhi bar kar chaha he tuje,
pyar itna zindagi me mil jae to kehna,
karte hain marte waqt sabhi yade-ilahi,
mere labo pe tera nam na ae to kehna,
keyamat ke din bhi mere dil ko chier kar dekh lena,
har tukre me teri taswir nazar na ae to kehna!!!


Judaii mein deda-e-tarr kabhie to bhi baha kar dekh
par meri wafa se teri koi jafa nahi tujhe mera kayash kyun sehna
khairaat mein miltey honge dost bhi tujhe
mere naksh koi mita jaye to kehna
tum baatein kartey ho abb sanson ko alvida kehne ki
teri sansein rukkne se pahle meri ruh tujhemein na judd jaye to kehna
kya itliaza kayamat takk lamhon ka
tadap haii to juda karo khud se ye teri khamoshion ki Raina!

~! NIrbhay !~
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #363 on: February 20, 2006, 04:34:34 AM »
Reply with quote
Quote from: "roshni246"
awesome reply naveed ji .....


Kabhi tum bhi hamse bat kar liya karo
milne ki faryad kar liya karo,
ek hum hai jo har bar shuruat karte hai,
kabhi tum bhi hame humse pehle yad kar liya kar



Kisi mod par humdum aapko Juda hone nahi denge,
Juda hona chaho to bhi hone nahi denge.
Roshan rato.n mein Pahunchegi meri fariyad
Meri yaad ke woh pal aapko sone nahi denge!!!


  ~! Nirbhay !~
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #364 on: February 20, 2006, 06:28:42 AM »
Reply with quote
bahut khoob neer ji!!!!!!!!!
Logged
kaiynath
Guest
«Reply #365 on: February 20, 2006, 06:35:49 AM »
Reply with quote
wow!!
nirbahy ji app kya likhte hai bahut khoob

Laboon ne shikwa ki
muskuraya tu karo
aankon ne ilteja ki
hame aaram tu do
dil ne duhai di
us bewaafa ke liye kya tadapna
jis se tune mohabat ki
Logged
roshni246
Guest
«Reply #366 on: February 20, 2006, 03:20:27 PM »
Reply with quote
Quote from: "nirbhay"
Quote from: "roshni246"
awesome reply naveed ji .....


Kabhi tum bhi hamse bat kar liya karo
milne ki faryad kar liya karo,
ek hum hai jo har bar shuruat karte hai,
kabhi tum bhi hame humse pehle yad kar liya kar



Kisi mod par humdum aapko Juda hone nahi denge,
Juda hona chaho to bhi hone nahi denge.
Roshan rato.n mein Pahunchegi meri fariyad
Meri yaad ke woh pal aapko sone nahi denge!!!


  ~! Nirbhay !~

 
are wah kya baat hai nirbhay........very gud.....kainath...

na milta Gham to barbaadi ke afsaanay kahaan jaatay
agar duniyaa chaman hoti, to viraanay kahaan jaatay

chalo achaa huaa apnon mein koi Ghair to niklaa
agar hotay sabhi apanay, to begaanay kahaan jaatay

duaaien do mohabbat ham ne mit kar tum ko sikhlaa di
na jalati shamaa mehfil mein to parvaanay kahaan jaatay

tumhin ne Gham ki daulat di baraa ehsaan farmaayaa
zamaanay bhar ke aagay haath phailaanay kahaan jaatay


~roshni~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #367 on: February 20, 2006, 04:15:23 PM »
Reply with quote
woowwow Roshini bahoot khoob magar yah Khumar-e-ishaq mai Gum kyun le aai hai app???
Logged
BeNam
Guest
«Reply #368 on: February 20, 2006, 05:07:31 PM »
Reply with quote
Nirbhay bhai bahuj saras! Avuj kaink lakhya karo! Bahot achhe Roshni ji and Kaiynath ji!
Logged
FAREE
Guest
«Reply #369 on: February 21, 2006, 03:19:11 AM »
Reply with quote
Well Done All


Aap Sab Logon Ney To Aaj Kamal Kr Diya  Hai

Na Tujhay Chor Saktay Hain,Te H Bi Nhi Skty...
Ya Kasie Be-Basii Hai Ajj Hum Roo Bhi Nahi Sakty...

Yea Kaisa Dard Hai Pal Pal Hamain Tarpayea Rakhta Hai
Tmhari Yad Aate Hai To Rat Bhr Soo Bi Nahi Sakty...

Chupa Sakty Hian Aur Na Hum Dekha Sakty Hian Loogon Ko
Kuch Aisay Daagh Hai Hmray Dil Per Jo Hum Dhoo Bhi Nahi Sakty

Kaha Tha Choor Deanga Ya Nagar Phir Rok Gaye Lakin
Tmhe Pa To Nahi Sakty Magar Kho Bhi Nahi Sakty

Hamara Aikh Hona Bhi Mumkin Nahi Raha Aab To
Jeeayen Kaise Ka Tum So Door Aab Hoo Bhi Nahi Saktay..!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #370 on: February 21, 2006, 05:54:58 PM »
Reply with quote
Raat ko raat ka tohfa nahi dete,
Dil ko jazbaat ka tohfa nahi dete,
Dene ko to hum aapko Jaan bhi de de,
Magar Jaan ko Jaan ka tohfa nahi dete...


~roshni~
Logged
FAREE
Guest
«Reply #371 on: February 23, 2006, 08:43:32 PM »
Reply with quote
Shaam Furqat Dhalay Hum Nahi Chahtay  
Ghum Say Fursat Milay Hum Nahi Chahtay
Phir Naya Waar Sehnay Ko Tayar Hain
Tu Parishan Rahay Hum Nahi Chahtay
Aaj Ansoo Bahanay Say Maat Rookay
Aaj Barish Tamay Hum Nahi Chahtay
Hum Teray Baad Ujray Hoay Thik Hain
Ab Kahin Dil Lagay Hum Nahi Chahtay
Teray Pekar Ko Hum Dekhtay Hi Rahain
Tu Nazar Say Hatay Hum Nahi Chahtay
Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor
Ghum Ka Darya Rukay Hum Nahi Chahtay
Iss Qadar Pyar Say Tu Pukara Na Kar
Aag Dil Ko Lagay Hum Nahi Chahtay
Logged
roshni246
Guest
«Reply #372 on: February 23, 2006, 09:29:07 PM »
Reply with quote

zindagi ke har ek haseen khwaab mein dekha hai,
har raat maine tujhe maahtaab mein dekha hai.
padhne likhne ki kya zarurat hai mujhe,
maine tujhe mohabbat ki kitab mein dekha hai.
har roz sawaal uthte hai dil mein,
maine tujhe apni dhadkanon ke jawaab mein dekha hai.
tere liye dil ko haathon mein sajaye rehte hai,
maine tujhe apne dil-e-betaab mein dekha hai.


roshni
Logged
FAREE
Guest
«Reply #373 on: February 24, 2006, 03:27:17 AM »
Reply with quote
Roshni Buht Khoob keep It Up


Shola Tha Jal Bujha Hoon Hawayein Mujhe Na Do
Main Kabka Jaa Chuka Hoon Sadayein Mujhe Na Do
Jo Zahar Pee Chuka Hoon Tumne Mujhe Diya
Ab Tum To Zindagi Ki Duaein Mujhe Na Do
Logged
FAREE
Guest
«Reply #374 on: February 28, 2006, 06:21:27 PM »
Reply with quote
Chehre par nazar aati hain woh to khushi ke dikhawein hote hain

Dard ke saaz to dil ke kisi kone main chupe hote hain

Kaan se chutkuli sunte hain to honth hans bhi dete hain

Par ain naino ka kia karein jo har pal roti hi rehti hai

Saal do saal ki baat hai yeh umar bhar ka silsilla nahi

Phir na royenge nain waqt ke saath ghav bhi to naasoor hote hain

Kehlo pyaar ais si ya ishq kaho, dil lagi ya dil ki lagi kehlo

Yeh dard ki sunehri kunchi hai jis pe lage hazaro mukhote hain

Kar rahi hai baat " ashaar-e-dil " un silsillon ki jo dil se shuru hote hain

Phir chehre par ubhar aate hain aur naino se aansu ban beh jate hain
Logged
Pages: 1 ... 21 22 23 24 [25] 26 27 28 29 ... 40
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 01, 2024, 04:42:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]

[October 29, 2024, 06:05:52 AM]

[October 27, 2024, 11:20:13 AM]

[October 27, 2024, 11:11:07 AM]

[October 27, 2024, 10:00:45 AM]

[October 27, 2024, 09:34:15 AM]

[October 19, 2024, 08:53:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8504 Real Poets and poetry admirer