***** MERI ZINDGI K NAAM ******

by fakharenaveed on December 28, 2004, 11:45:55 PM
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27 28 29 30 ... 40
ReplyPrint
Author  (Read 42007 times)
FAREE
Guest
«Reply #375 on: March 01, 2006, 08:22:21 PM »
Reply with quote
AIK MULAQAT THI JO DIL KO SADA YAAD RAHI
HUM JISEY UMER SAMAJHTAY THEY WO AIK PAL NIKLA

YEH JO AFSANA SUN KAR HANSA KARTAY HAI
ITNA ROEY HAI K SAB ANKH KA KAJAL NIKLA
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jaana tera zindgi dusra naam hai by vikas2210 in Shayri-E-Dard
Zindgi tere naam likh dete hain by mistufer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zindgi Hum Apni unke Naam by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Zindgi maine jis k naam ki hai. by er.pushpendra1 in Shayri-E-Dard
TUMHEN ZINDGI NAAM SE PUKAARAA by surindarn in Shayeri for Dard -e- Bewafai
mehek
Guest
«Reply #376 on: March 01, 2006, 08:40:03 PM »
Reply with quote
bohat khoob likha hai naveed ji and roshini Usual Smile
Logged
FAREE
Guest
«Reply #377 on: March 03, 2006, 02:38:25 AM »
Reply with quote
Thank You mehek Ji




Apne haatho se Yun chehre ho chupaate kyun ho
Mujhse sharmaate ho to saamne aate kyun ho
Tum kabhi meri tarah kar bhi lo iqraar e wafa
Pyaar karte ho to phir pyaar chupaate kyun ho
Ashk aankho main mere dekh ke rote kyun ho
Dil bhar aata hain to phir dil ko dhukaate kyun ho
Inse waabasta hain jab mera muqaddar phir tum
Mere shaano se ye zulf hataate kyun ho
Roz mar mar ke mujhe jeene ko kehte kyun ho
Milne aate ho to phir laut ke jaate kyun ho...Huh?
Logged
FAREE
Guest
«Reply #378 on: March 22, 2006, 06:46:14 AM »
Reply with quote
Aap se gila ap ki qasam
sochate rahe kar na sake ham

us ki kya Khata ladava hai Gham
kiyuN gila karen charagar se ham

ye navazishen aur ye karam
fart-w-shauq se mar na jayien ham

kheNchate rahe umr bhar mujhe
ek taraf Khuda ek taraf sanam
Logged
FAREE
Guest
«Reply #379 on: March 30, 2006, 08:56:24 AM »
Reply with quote
Aik Anchal Sey Bandha Hey Sab Kuch
Aik Tasveer
Or Tasveer Pey Bheegey Huwey Hont
Ain Sandal Ki Unabi Pencil
Aik Bey-Rabt Sa Ukhra Huwa Khat
Aik Adad Card
Jis Ko Chooney Sey Teri Yaad Chali Aai Hey
Or Is Card Main Rakhi Hui Akloti Palak
Jis Sey Manoos Duwaon Ki Mehak Aati Hey
Kisi Gumnaam Sey Shair Ka Adhoora Misra
Aik Paazaib Sey Bichra Huwa Ujla Moti
Ik Murjhai Hui Zard Chanbeli Ki Kali
Jis Main Ab Bhi Teri Zulfon Key Bhanwar Liptey Hain
Aik Boseedah Question Paper
Jis Key Koney Pey Likha Naam Abhi Taaza Hey
Sharbati Kanch Ki Tooti Hui Nazuk Choori
Aik Toota Huwa Halka Sa Gulabi Nakhun
Aik Gadla Sa Tissue Paper
Jis Pey Mehkey Huwey Ashkon Key Nishan Zinda Hain
Yehi Dolat Hey Yehi Kuch Hey Asasa Mera
Aik Aanchal Sey Bandha Hey Sab Kuch
Hasraton, Siskiyon, Aahon Main Sameta Aanchal
Teri Khushboo Merey Ashkon Main Lapeta Aanchal
Aik Aanchal Sey Bandha Hey Sab Kuch
Aik Bheegey Hui Anchal Sey Bandha Hey Sab Kuch
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #380 on: March 30, 2006, 01:25:26 PM »
Reply with quote
Ahan!!!

Beautiful

In bikhri huyi yaado ko mere naam kardo
Is adhuri si kahani ko mere naam kardo
Bohat arse se bhatakti hai yeh sehra me
Apni tishna si mohabbat ko mera inaam kardo
Logged
FAREE
Guest
«Reply #381 on: May 19, 2006, 09:22:35 AM »
Reply with quote
Khoon-e-jiger kay ghoont piey teri judai main
So bar hum mer ker jiey teri judai main
Bus main hota apny to is per ghazal likhty
Dard jo hain tu nay diey teri judai main
Hijer ki kali ratoon main jab bhi dil dra
Tairi yad kay jalay diey teri judai main
Khuda gawa hai keh tujhay bhoolnay kay liey
Kia kia jatan nahi kiey teri judai main
Tujhay bhool to na paey per dushwari bohot hui
Jab chaak-e-ghrebaan siey teri judai main
YAR ko kia hua keh zamany nay issy
Qais kay laqab diey teri judai main
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #382 on: May 20, 2006, 12:49:54 PM »
Reply with quote
tongue3

Pyar badh jata hai aksar juda hokar
Kitne din rehte hum aap se khafa hokar
Mana ki bohat gum diye hum ne Jaanam
Hum bhi to bikhra kiye is aag me fana hokar
Logged
FAREE
Guest
«Reply #383 on: May 20, 2006, 11:55:08 PM »
Reply with quote
Quote from: "Saba_Saba"
tongue3

Pyar badh jata hai aksar juda hokar
Kitne din rehte hum aap se khafa hokar
Mana ki bohat gum diye hum ne Jaanam
Hum bhi to bikhra kiye is aag me fana hokar
well done Saba Januuu
Logged
FAREE
Guest
«Reply #384 on: May 21, 2006, 02:28:31 PM »
Reply with quote
Har koi dil ki madhur bhawana wonko saz me ga sakte nahi
unki dil ki geet hum sun na paye ye mumkin nahi
haal ye dil ka woh hamse chupa paye hi nahi
dil ki tadap chupane ki kosish aasan nahi
ye kaisi azeeb kasish hai dil ki baat zuba pe aati hi nahi

WwW.YoungAgeMasti.CoM
Logged
FAREE
Guest
«Reply #385 on: July 26, 2006, 06:04:35 PM »
Reply with quote
RONA BHI JO CHAHEIN TO WOH RONE NAHI DETA
WOH SHAKHS TO PALKEIN BHI BHIGONE NAHI DETA

WOH ROZ RULATA HAI HAMEIN KHWAAB MEIN AAKAR
SONA BHI CHAHEIN TO SONAY NAHI DETA

YEH KIS KE ISHARE PE UMAAD AAYE HAIN
HAI KAUN JO BARISH KABHI HONE NAHI DETA

AATA HAI KHAYALON MEIN MERE KAUN YEH AKSAR
JO MUJH KO KISI AUR KA HONAY NAHI DETA

IS DER SE KE TOR KE AANSU NA BAHEIN
BACCHON KO MITTI KE KHILONAY NAHI DETA

EK SHAKHS HAI AISA MERI BASTI MEIN ABHI TAK
JO BOJH AKELE MUJHE DHONE NAHI DETA

MAIN HOON KE BAHATA HOON TERI YAAD MEIN AANSU
TU HAI KE ASHKON KO PIRONE NAHI DETA

WOH CHEHRA AJAB HAI JISE PA KAR MAIN ABHI TAK
KHOONA BHI CHAAHOON TO WOH KHONE NAHI DETA...
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #386 on: July 27, 2006, 01:16:33 PM »
Reply with quote
The Style Guru Says..........



Gr8 work Bro.!!!!!!
Logged
FAREE
Guest
«Reply #387 on: July 27, 2006, 04:18:37 PM »
Reply with quote
Tazkira Ghum Ka Padha Aur Warq Mod Aaye
Woh Kitaab Uske Sirhaane hi Khuli Chod Aaye

Log Behte Hue Darya Main Hume Chod Aaye
Hum Bhi Darya Ko Samandar Ki Taraf Mod Aaye

Zakhm Jo Aaye Hain Haatho Main Woh Bharte Hi Nahi
Hum Bohut Khush The Ke Sheeshe Ka Makaan Tod Aaye...
Logged
FAREE
Guest
«Reply #388 on: August 04, 2006, 02:09:37 PM »
Reply with quote
Hum Ney Door Aine Mein,Kise Ko Rote Tadapte Dekha Hai,
Kisi Ki Yaad Mein Pal Pal, Isko Pighalte Dekha Hai.
Kisi Ki Ankhon Mein Sama Ker,Phir Isko Khwaab Sa Toot Te Dekha Hai,
Phir Dil Iska Reza Reza,Rooh Tak Sulagte Dekha Hai.
Mehboob Jo Khud,Apne Mohabbat Ko Ruswa Kerde To Baaki Kya,
Humne To Aise Logon Ko Apne Dil Main Rakh Ker Dekha Hai.
Logged
FAREE
Guest
«Reply #389 on: October 11, 2006, 10:05:16 PM »
Reply with quote
Teri Yadon Ki Mehfil Saja Rakhi Hai
Tere Anay K Intezar Main Hum Nay
Tu Na Janay Khahan Bhatak Gaya Hai
Degleez Pe Phool Sajaye Hain Hum Nay
Logged
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27 28 29 30 ... 40
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:00:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.205 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer