***** MERI ZINDGI K NAAM ******

by fakharenaveed on December 28, 2004, 11:45:55 PM
Pages: 1 ... 23 24 25 26 [27] 28 29 30 31 ... 40
ReplyPrint
Author  (Read 41996 times)
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #390 on: October 12, 2006, 03:44:50 AM »
Reply with quote
Kisi Kay Pass Anay Say Kisi Kay Door Janay Say
Mohabat Kam Nahi Hoti Kisi Ko Azmanay Say

Jinhain Hum Yad Rakhtay Hain Woh Hum Ko Bhool Jatay Hain
Nahi Hota Asar Enn Per Abb Ashkoon Ko Bahanay Say

Dil e Betab Main Surat Teri Esi Sajaee Hay
Kabhi Mitt Nahi Sakti Kisi Kay Mitanay Say

Bichartna Thaa Muqadar Main Kissi Say Kiya Gilaa Magaar
Nahi Shikwa Muqadar Say Naa Shikwa Hay Zamanay Say

Andheri Raat Hay Barish Hay Our Main Bhi Tanha Hoon
Nahi Maloom Ho Ga Kiya Faqat Dil Jalanay Say
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jaana tera zindgi dusra naam hai by vikas2210 in Shayri-E-Dard
Zindgi tere naam likh dete hain by mistufer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zindgi Hum Apni unke Naam by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Zindgi maine jis k naam ki hai. by er.pushpendra1 in Shayri-E-Dard
TUMHEN ZINDGI NAAM SE PUKAARAA by surindarn in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #391 on: October 12, 2006, 11:02:28 PM »
Reply with quote
AJNABI SHAHER KAY AJNABI RASTAY MARI TANHI PPAR MUSKRATY RAHY
MAIN BAHUT DAAR TAK YNHE CALTA RAHA,TUM BAHUT DAAR TAK YAD ATTY RAHY

ZAHER MILTA RAHA ZAHER PETAY RAHY ROOZ MURTAY RAHY ROOZ JETAY RAHY
ZINDAGI BHE HUMAIN AZMATI RAHI AUR HUM BHE ISSAY AZMATAY RAHY

ZAKUM JUB BHR KOI ZAHEN-O-DILL PAY LAGA ZINDAGI KI TARUG IKK DARECHA KHULA
HUM CHERAAG-E-TAMUNA JALATY RAHY,WO CHERAAG TAMUNA BUJHATY RAHY

SAKHUT HALAT TAYZ TOFFAN MAEN GHIR GIYA THA HAMARA JUNOON-E-WAFA
HUM GOYA KISSI SAAZ KAY TAAR HAIN,CHOAT KHATAY RAHY GUNGUNATY RAHY
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #392 on: October 13, 2006, 08:34:43 PM »
Reply with quote
   bahut khoob

Ham aaj saath saath nahi chaand raat hai
Tere khyal saath hain aur chaand raat hai

Kal saath the to chaand na tha phir bhi khush the ham
Tere bina udaas hain aur chaand raat hai

Ik roz chaand idd ka tha chhat pe dekhati
Tune kaha tha aaj to mil chaand raat hai

Dil ka har ek zakhm hai hara chandni me aaj
Jo tu nahi to khak bas ye chaand raat hai

Dil pe navazishen thin teri chandani si hi
Har raat hi lagti thi jase chaand raat hai

Saare hi hain chhat pe khade dekhate hain chaand
Mera hi chaand saath nahi chaand raat hai
           
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #393 on: October 14, 2006, 12:58:10 AM »
Reply with quote
CHAHNE SE KOI CHEEZ APNI NAHI HOTI
HAR MUSKAN KHUSHI NAHI HOTI
KEHNA TU BUHAT KUCH CHAHTE HAIN
LAFZO KI KUMI PORI NAHI HOTI.............................
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #394 on: October 14, 2006, 10:51:34 PM »
Reply with quote
Na Rasta sujhaye deta hai Na manzil dekhaye deti hai

Na Lafz zubaan per aate hain na dharkan sunayi deti hai

Aik ajeeb se khaifyat nay aan ghera hai muje...

Ke har surat main...teri surat dikhayi deti hai...

Yeh milna or bichar jana kab apne bas ki baat hai..

Kismat hi milati hai hum ko kismat hi juddai detti hai...
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #395 on: October 15, 2006, 03:08:07 AM »
Reply with quote
Quote from: "Zamir Ka Qaidi"
Na Rasta sujhaye deta hai Na manzil dekhaye deti hai

Na Lafz zubaan per aate hain na dharkan sunayi deti hai

Aik ajeeb se khaifyat nay aan ghera hai muje...

Ke har surat main...teri surat dikhayi deti hai...

Yeh milna or bichar jana kab apne bas ki baat hai..

Kismat hi milati hai hum ko kismat hi juddai detti hai...


karo ankhien baand aur rasta koyi dhoond lo
chal paro kisi raha parh aur manzil ko paah lo
dhakhan ko tham kar zuban ko kuch kehne do
apni isse angharayi ko khud ko gehrne do
haar surat mein uski surat dekh liya karo
haar lamha uske naam karlo
aghar bichar gaye tu....usse aikh sapna samaj kar bhool jao
mil jaye woh tu usko apne baas mein karlo :D:D:D:D:D:D
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #396 on: October 15, 2006, 03:33:00 AM »
Reply with quote
Quote from: "anjani_si"
Quote from: "Zamir Ka Qaidi"
Na Rasta sujhaye deta hai Na manzil dekhaye deti hai

Na Lafz zubaan per aate hain na dharkan sunayi deti hai

Aik ajeeb se khaifyat nay aan ghera hai muje...

Ke har surat main...teri surat dikhayi deti hai...

Yeh milna or bichar jana kab apne bas ki baat hai..

Kismat hi milati hai hum ko kismat hi juddai detti hai...


karo ankhien baand aur rasta koyi dhoond lo
chal paro kisi raha parh aur manzil ko paah lo
dhakhan ko tham kar zuban ko kuch kehne do
apni isse angharayi ko khud ko gehrne do
haar surat mein uski surat dekh liya karo
haar lamha uske naam karlo
aghar bichar gaye tu....usse aikh sapna samaj kar bhool jao
mil jaye woh tu usko apne baas mein karlo :D:D:D:D:D:D
Wah Ji Wah Tusaan te sada dil jeet liya aye ji


Kitna bebas hai insan kismat k aage
Kitna door hain sapney haqeeqat k aage

Koie yukhi hui dharkan se pochae
Kitna tarpta hai dil mohabbat k aage
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #397 on: October 15, 2006, 04:38:11 PM »
Reply with quote
Jisme tadapna na ho vo kaisi mohabbat hai
Jisme jhalna na ho vo ishq ka rog kaisa hai
Sajda karte hain unh ashiqon ko
Jisme mehboob ki e-badaat na karo….vo ashiqi kaisi hai
:D:D:D
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #398 on: October 15, 2006, 05:34:43 PM »
Reply with quote
Waah Kahoon k Aah Kahoon



:D :D :D :D :D :D :D :D
:D :D :D :D :D :D :D :D
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #399 on: October 15, 2006, 05:42:18 PM »
Reply with quote
For Sweet Anjani ji
Taron bhari yeh raat hai aur mein udas hoon
Chadni se mulaqat hai aur mein udas hoon

¤.¸¸.·´¯`·.¸¸.¤.¸¸.·´¯`·.¸¸.¤

Har taraf lagi hai pholoon ki ronaqein
Charon taraf pyar hai aur mein udas hoon

¤.¸¸.·´¯`·.¸¸.¤.¸¸.·´¯`·.¸¸.¤

Tere tassavur se hua hai mere mann mein ujala
Utra hai chand samandar mein aur mein udas hoon

¤.¸¸.·´¯`·.¸¸.¤.¸¸.·´¯`·.¸¸.¤

Yaad aye woh lamhat woh pyari mulaqat
Milte hain do dil pyar se aur mein udas hoon

¤.¸¸.·´¯`·.¸¸.¤.¸¸.·´¯`·.¸¸.¤

jab cha gayi kaali ghataAnjani aur agaya barsat ka mosam
Rim jhim rim jhim barsat hai aur mein udas hoon
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #400 on: October 16, 2006, 10:42:50 PM »
Reply with quote
Koi hamsafar nehin hai koi raazdan nehin hai
Faqt ik dil tha apna so woh meharbaan nehi hai
Marne ka tere gham mein irada bhi nehin hai
Hai ishq magar itna ziyaada bhi nehin hai
Inhi patharoon par chal kar agar aa sakoo to aaoo
Mere ghar ke raaste mein kahin kehakshaan nahi hai
Kyun dekhte rehete hain sitaaroon ki taraf hum
Jab un se mulkaat ka wada bhi nehin hai
Logged
pervez1982
Guest
«Reply #401 on: October 19, 2006, 09:44:56 AM »
Reply with quote
zamir bhai wah kya baat hai
bahut khoob
Logged
FAREE
Guest
«Reply #402 on: October 24, 2006, 10:59:05 PM »
Reply with quote
Aaj Eid Ka Din Hai Aur Main Tanha Hoon
Aaj Khuhion Ka Din Hai Aur Main Tanha Hoon

Aaj Sabhi Mere Pas Hain ~ Faree
Lekin Bhari Mehfil Main Mein Tanha Hoon
Logged
FAREE
Guest
«Reply #403 on: October 29, 2006, 07:09:29 PM »
Reply with quote
Jiske liye mein zamane me sahe gai rusvai,
fir kyu vo mujhe de gaya naam, hurjai,
aye khuda nahi manzuur faisla tera mujhe,
uljhan me hu mein, doli saji ya meri arthi ut'thai......

Kya rakha hai iss jhahan me jiine ke liye,
hur koi de jata hai zakham siine ke liye,
palkon me ansoo bache hai ab to bahane ke liye,
mein rahe gai tanha, log hai charo or kahane ke liye,
sab kahate hai mujhe, kyu karti ho dua sukh pane ke liye,
are tera nasiib to hai keval dukh sahane ke liye.......

Jiske liye mein zamane me sahe gai rusvai,
fir kyu vo mujhe de gaya naam, hurjai,
khuda ab tak teri mujhe ye riit samajh na aai,
kyu uss bewaffa ke liye mere dil me priit jagai.....

Maine khud barbadi ko apne ghar bulaya hai,
kya dosh du logo ko, logo ne to bas karam nibhaya hai,
ishq na karna, duniya valon ne pahale hi samjhaya hai,
na mani baat unki to aaj meine ishq ka ye siila paya hai,
phoolon ki rut me ye kaisa manzar chhaya hai,
murjhaye sab phool, laga mausum patjhad ka aya hai.....


NM
Logged
FAREE
Guest
«Reply #404 on: October 31, 2006, 03:28:10 AM »
Reply with quote
yun palkein bicha kar tera intezaar karte hain,
ye wo gunah hai jo hum baar baar karte hain,
jalakar hasraton ke rah par chiraag,
hum subah sham tere milne ka intezaar karte hain..
Logged
Pages: 1 ... 23 24 25 26 [27] 28 29 30 31 ... 40
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:19:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer