***** MERI ZINDGI K NAAM ******

by fakharenaveed on December 28, 2004, 11:45:55 PM
Pages: 1 ... 24 25 26 27 [28] 29 30 31 32 ... 40
ReplyPrint
Author  (Read 41462 times)
FAREE
Guest
«Reply #405 on: October 31, 2006, 07:53:11 PM »
Reply with quote
Wo meri bay basi ko dekh kar hansna hawaoow ka
Kabhi jo dil jalaaye woh to
Zara sa likh laitay hai zara sa ro laitay hai

Yeh soch kar ke tum ko aayi ho gi meri yaad
Rutt saawan ki chaaye to
Zara sa likh laitay hai zara sa ro laitay hai

Chupkay say ki thi sargooshiyaan kuch chand taaroon say
Kabhi woh yaad aye too
Zara sa likh laitay hai zara sa ro laitay hai

kuch tujh pay yaqeen aur yaqeen kuch apnay khuda pay
Aas dil main jagaaye to
Zara sa hans daitay hai zara sa ro laitay hai
Zara sa likh laitay hai zara sa ro laitay hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jaana tera zindgi dusra naam hai by vikas2210 in Shayri-E-Dard
Zindgi tere naam likh dete hain by mistufer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zindgi Hum Apni unke Naam by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Zindgi maine jis k naam ki hai. by er.pushpendra1 in Shayri-E-Dard
TUMHEN ZINDGI NAAM SE PUKAARAA by surindarn in Shayeri for Dard -e- Bewafai
FAREE
Guest
«Reply #406 on: November 02, 2006, 08:05:05 PM »
Reply with quote
dil mein ab dard-e-muhabbat ke sivaa kuchh bhI nahiin
zindagii merI ibaadat ke sivaa kuchh bhI nahiin

main terI barah-gah-e-naaz mein kyA pesh karuun
merI jholii mein muhabbat ke sivaa kuchh bhI nahiin

ai khudaa mujhase nA le mere gunAhon kA hisaab
mere paas ashq-e-nadamat ke sivaa kuchh bhI nahiin

vo to miT kar mujh ko mil hii gayii raahat varanaa
zindagii ranz-o-musiibat ke sivaa kuchh bhI nahii
Logged
FAREE
Guest
«Reply #407 on: November 04, 2006, 07:15:22 PM »
Reply with quote
Mere Baad Kidhar Jaayegii Tanhaayii
Main Jo Maraa To Marr Jaayegii Tanhaayii

Main Jab Ro Ro Ke Dariyaa Ban Jaaungaa
Uss Din Paar Utar Jaayegii Tanhaayii

Tanhaayii Ko Ghar Se Rukhsat Kar To Du
Sochun, Kis Ke Ghar Jaayegii Tanhaayii

Veeraanaa Hun Aabaadii Se Aayaa Hun
Dekhegii To Darr Jaayegii Tanhaayii

Yun Aaon Ki Paaon Kii Bhii Aawaaz Na Ho
Shor Huaa To Marr Jaayegii Tanhaayii
Logged
FAREE
Guest
«Reply #408 on: November 08, 2006, 07:29:03 PM »
Reply with quote
Ve din jab hum har pal sath rehte the,
tujhse bichad meri raate viran ho gayi,
ab lout aao ki tumhare bin suni hai zindagi,
ab to sabar ki intahan ho gayi,
tum kahin milo to araman ho pure dil ke,
KI aa jao "dhadkan" tum bin anjan ho gayi....
Logged
FAREE
Guest
«Reply #409 on: November 12, 2006, 05:34:18 PM »
Reply with quote
Bhari mehfil main tanha rehna acha lagta hai

Terey barey main sochtey rehna acha lagta hai

Kabhi pholon main ,kabhi kaliyon main

Tujh ko hi dhontey rehna acha lagta hai

Meree zindagi ki khushiyan tumhee say hain wabasta

Rab say sirf tumhein hi mangna acha lagta hai

Hamarey darmiyan hail rahein sadiyon ki khamoshiyan

Kuch is tarhan guftugu karna acha lagta hai

Tumhrey baghir zindagi ka koi tasavur nahi hai

Kuch is tarhan tumharee tamanna karna acha lagta hai

Tum hi ko chaha,tum hi ko chahtey hain

Tumhi ko chahtey rehna acha lagta hai

Main cheen lon ga tumhein duniya ki rasmon say

K mujhye zamaney say baghawat karna acha lagta hai
Logged
FAREE
Guest
«Reply #410 on: November 14, 2006, 11:25:11 PM »
Reply with quote
Ishq-e haal kitna milta hai hum dono ke dil ka
Tere dil mei mehal nazer aata hai meri mohabbat ka

Jaanker ishq-e haal Tere dil ka
Ahesase ishq hua Muje mere dil ka
Ishq-e haal kitna milta hai hum dono ke dil ka
Tere dil ke aaine mei aks nazer aata hai Mere dil ka

Shama-e ishq ki roshni dekhker tere dil mein
Ashiq-e parvana ban ke jalna chahta hu tere dil mein
Ishq ki leheren lehrahi hai tune mere dil mein
Is leheron ko samana chahta hu tere dil ke samander mein

Tujse haale dil kaise bataye o sanam
Tujse kitni hai mohabbat kaise chupayen o sanam
Dil hai bekarar rehti ho tum nighahon mein her dum o sanam
Nazer aati hai surat teri meri nighaon mein kaise chupaye zamane se hum o sanam

Teri nigahon mein basna chahta hun aankho aur palko ki taranh
Tere dil mein mehkna chahta hu foolon aur khusboo ki taranh
Tere mere pyaar ko roshan kerna chahta hu chand ki chandni ki taranh
Tere mere pyaar ko jagmagana chahta hu Suraj aur sitaron kin taranh

Faasla samandro ka sahi tere aur mere beech mein
Pukaro kisi pal bhi mujeh, sunogi dharken mere dil ki tere dil mein
Guzer gaya yeh waqt, to fir nahin aayega lamha aisa hamare milan ka
Sahil hai betaab ke sangam ho jaai hamara asia jaisa ke subha aur shabnam ka

Ishq-e haal kitna milta hai hum dono ke dil ka
Tere dil mein mehal nazer aata hai meri mohabbat ka
Logged
FAREE
Guest
«Reply #411 on: November 18, 2006, 08:10:18 PM »
Reply with quote
hazaron dard aisay hain agar bhartay to acha tha ...
tumhi ko humnay chaha tha tumhi miltay to acha tha...


koi aakar humay poochay tumhay kaisay bhulaya hai ...
tamaam ashkon ko humnay shab_e_gum main jalaya hai...


hazaron zakham aisay hain agar siltay to acha tha ...
tumhi ko humnay chaha tha tumhi miltay to acha tha.
Logged
FAREE
Guest
«Reply #412 on: November 21, 2006, 07:35:07 PM »
Reply with quote
aapko dekha karta hu rat bhar uhi,
tab jake chain ki neend ayegi hame...

ho gayi hai mohabbat mujhe aapse,
mohabbat sahi rah dikhayegi hame

chahat dono ki itni badhengi sada,
chahat zindagi kareeb layegi hame...

suhame pal ko dil me samet lena.,
hamesa ye pal ki yaad ayengi hame.....

pyaar ki rahen mushkil hoti hai jaan,
kanto pe wo chalna sikhayegi hame.....

ehsao ki duniya me jeena achha hai,
rishton ki ehmiyat samjhayegi hame....

dua karte hai sabhi log hamare liye,
ye duaeN ek din zarur milayegi hame...
Logged
FAREE
Guest
«Reply #413 on: November 24, 2006, 06:57:48 PM »
Reply with quote
Kabhi haq baat keh dene ki himmat aahi jaati hai,
kisi din saamne khul kar haqeeqat aahi jaati hai...

Musibat be-vajah insaan per aati nahi humdum,
bure aamal ger ho to musibat aahi jaati hai...

Pashemaa wo nahi hota hai jab apni jafao per,
mujhe apni wafao per nadamat aahi jaati hai...

Bahut hi bewafa hai wo mujhe ehsaas hai lekin,
magar uski adaon per tabiyat aahi jaati hai...

Har ek insaan se jhuk kar milta ho mai lekin,
meri is vazedari per bhi tohmat aahi jaati hai...

safeedi jhankne lagti hai jab baalo se ai ''Faree'',
to phir insaan me fikre-ibadat aahi jaati hai......!!!!!!
Logged
FAREE
Guest
«Reply #414 on: November 26, 2006, 06:48:32 PM »
Reply with quote
Dekhte dekhte aapki bina ijazat kar li aapse mohabbat humne

Dil-e-dariya main jo toofan utha hai ab na denge hum use thamne

Teri yaado_n ke sahare buna hai ek chhota sa khwaab humne

Tere saare sawalo_n ka dhoondhaa liya hai ab jawaab humne

Nazar kiye aapki,apne har achhe-o-bure andaaz humne

Jo na the kabhi kisi ke liye bhi theek dafn kar diye aaj wo jazbaat humne.
Logged
FAREE
Guest
«Reply #415 on: November 28, 2006, 05:43:14 PM »
Reply with quote
aaj mujhe apne pyaar ki sab nadaniyaan yaad hai
teri khomoshiyaan aur apni ankahi baate yaad hai

teri aankho mein dekha hai maine apne khawabo ko palte hue
aaj mujhe tera un sapno se aankhe churana yaad hai
ki thi humne aankho se baate bahut,
per keh na sake apni juban se un baato ko
apne dono ke beech woh tharai hui khomoshiyaan yaad hain

tum toh bhul chuke hoge woh mohabbat ki sab baate.n
per mujhe aaj bhi meri ek jhalak dekhene ke liye
tera woh apni gali mein aana yaad hai..........

woh apni pyaari si mulakaat,
labo per khomoshi,aur the dil mein machle hue jajbaat
na kaha tumne kuch ,na kaha maine kuch.....
per aaj bhi woh tere haatho ka apne haatho ko thapthapaana yaad hai

kiye they hamne kai vaade ,ankahe se apni aankho se
dekha thaa ek duje ko kai baar pyaar bhari nazaro se
tum toh bhul gaye woh apni pyaar ki sogaate...
per mujeh aaj bhi woh apni pehli mohabbat ka geet suhana yaad hai

raat bhar ki thee jo hamne mohabbat ki baate
woh tera chedna ,aur mera sharma jaana.
mujeh aaj tak sharm se apne gaalo.n ka surkh ho jaana yaad hai

aate they mere pass tere kai khali khat
mehakte woh khushboo se bahre woh khat
na jaane karte they kitne baate woh mujhse
mujhe aaj bhi un khato ki mehak mein gum ho jaana yaad hai
tere khali khato ko woh ghanto pad ke muskarna yaad hai...........
Logged
FAREE
Guest
«Reply #416 on: November 28, 2006, 05:48:24 PM »
Reply with quote
koi aansu mere daman pay gira kar to dekho,
main pathar nahi hoon mujhay chuu kar to dekho......

tere qadmon ki aahat say dharkta hai dil,
main jinda hoon kabhi mujhay hila kar to dekho........

phool bankay bichh jaounga tumhari rahhon main,
ek baar mujhay seenay say laga kar to dekho......

bhool jaogay tum dunia bhar ki ronko ko,
kabhi mere soonay ghar main aa kar to dekho......

mehak utthogay tum gulaab ki tarha dekhna,
kisi roz mujhay apnay tan say laga kar to dekho.....

ho jaogay tum ganga say pawan or nirmal,
kabhi mere aasuon main naha kar to dekho.......

door kar doonga main andhray teri zindagi kay,
diye ki tarha kabhi mujhay jala kar to dekho......

'Faree' ko dee hai jo tunay pyar bhari dunia,
kabhi fursat milay to us main aa kar to dekho......
Logged
FAREE
Guest
«Reply #417 on: November 29, 2006, 08:12:16 PM »
Reply with quote
gar mukammal jahan hi mil jata ,
to tere bina main behal hi kyon hota.

tu chhod ke hame na jati sangdil,
to khuda se mera ye sawal hi kyon hota.

andekhi khushi ki gar chahat na hoti,
to mera jeena fir muhaal hi kyon hota.

teri chahaton se gar muh mod leta,
mere naam se duniya me bawal hi kyon hota.

maaloom hoti agar badkismati hamari,
to tujhe paane ka khayal hi kyon hota.

mere haale tabaah ko gar duniya na dekhti,
to tu bewafaai ka misaal hi kyon hota...
Logged
FAREE
Guest
«Reply #418 on: November 30, 2006, 08:18:08 PM »
Reply with quote
Janeman Tere Pyar Mein ,Tere Intezaar mein
Na Din mein Na Raat mein koi Antar hai.
Ham to gaye Kaam se ,Ye Tere Jaadoo Ka Mantar hai.
Kehte hai Intezaar Ka Phal Meetha Hai
Hum to is Phal keliyehi jeethe hai
Aur Isi Phal Ke Wajah Se pal pal marte hai.
Ab Aajao Naa ,Naa karaao intnaa intezaar
Bahut Chubti hai dil mein Aar par.
Mere dil ke har boondh kartha hai Izhaar,
Ki mai Kartha hoo sirf tum se Pyar
Logged
FAREE
Guest
«Reply #419 on: December 02, 2006, 02:45:06 PM »
Reply with quote
bole wo dosti, chup rahe wo pyar

milaye wo dosti, juda karaye wo pyar

hasaye wo dosti, rulaye wo pyar

phir bhi hum dosti chhodkar kyo karte hai pyar
Logged
Pages: 1 ... 24 25 26 27 [28] 29 30 31 32 ... 40
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 02:12:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer