***** MERI ZINDGI K NAAM ******

by fakharenaveed on December 28, 2004, 11:45:55 PM
Pages: 1 ... 25 26 27 28 [29] 30 31 32 33 ... 40
ReplyPrint
Author  (Read 41997 times)
FAREE
Guest
«Reply #420 on: December 04, 2006, 02:11:11 PM »
Reply with quote
Usaki Har Khamoshi Ne Mujhse Kuch Kaha Hai
Usaki Har Najar Ne Mujhse Sawal Kiya Hai
Usaki Har Bat Ne Meri Najare.n Jhukai Hai
Usaki Har Khayal Se Mene Sirf Becheni Pai Hai
Usaki Har…………………………………………………
Usaki Har Muskan Me Dard Najar Aaya Hai
Usaki Har Muskan Ne Mujhse Karham Mangwaya Hai
Usaki Har Jakhm Ko Mene Hara Kiya Hai
Usaki Har…………………………..........................
Usaki Har Ashq Me Maine Garmahat Pai Hai
Usaki Har Sans Me Mene Aah Pai Hai
Usaki Har Dhadkan Ne Mujhse
Khud Ke Liye Dhadkane Ki Khwahish Ki Hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jaana tera zindgi dusra naam hai by vikas2210 in Shayri-E-Dard
Zindgi tere naam likh dete hain by mistufer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zindgi Hum Apni unke Naam by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Zindgi maine jis k naam ki hai. by er.pushpendra1 in Shayri-E-Dard
TUMHEN ZINDGI NAAM SE PUKAARAA by surindarn in Shayeri for Dard -e- Bewafai
FAREE
Guest
«Reply #421 on: December 04, 2006, 02:11:39 PM »
Reply with quote
Usaki Har Khamoshi Ne Mujhse Kuch Kaha Hai
Usaki Har Najar Ne Mujhse Sawal Kiya Hai
Usaki Har Bat Ne Meri Najare.n Jhukai Hai
Usaki Har Khayal Se Mene Sirf Becheni Pai Hai
Usaki Har…………………………………………………
Usaki Har Muskan Me Dard Najar Aaya Hai
Usaki Har Muskan Ne Mujhse Karham Mangwaya Hai
Usaki Har Jakhm Ko Mene Hara Kiya Hai
Usaki Har…………………………..........................
Usaki Har Ashq Me Maine Garmahat Pai Hai
Usaki Har Sans Me Mene Aah Pai Hai
Usaki Har Dhadkan Ne Mujhse
Khud Ke Liye Dhadkane Ki Khwahish Ki Hai
Logged
FAREE
Guest
«Reply #422 on: December 05, 2006, 07:29:32 PM »
Reply with quote
Mere hamdam tujhe khat likhe hain maine jab bhi
sara din raah taki aas rahi khat ki mujhe
main har khat me apna haal e dil bayan kiya
vo mera raaton sote se chamak kar uthna
vo har ek shaam der tak teri yun rah takna
jaise toone kiya vaada sada nibhaya ho
jaise tu saath raha ban ke mera saya ho
main har roz nihara hai jab bhi khud ko
lagta tha aaina ban gaya aankhen teri
nazaren phir meri yunhi sharm se jhuk jaati thi
jaise jab tu tha hua karti halat meri
dil hai jalta mera reshm ke libason ko dekh
kabhi pahna tha jinhe tujhko rijhane ke liye
mere hamdam tu ye khat ka bahane leke
meri maasoom mohbbat ka na mazaq bana
khat likhun ya na likhun main to rhungi teri
tu kahe ya na kahe main hi hun chahat teri
Logged
FAREE
Guest
«Reply #423 on: December 07, 2006, 02:01:31 PM »
Reply with quote
Har Chehare Me Mujhe Talashna Chhod De
Har Sanche Me Mujhe Dhalna Chhod De
Har Sargam Me Mujhe Gungunana Chhod De
Har Khawab Me Mujhe Dekhana Chhod De
Har Janm Me Mujhe Paana Chhod De
Har Bar Mujhe Aajmana Chhod De
Har Tare Me Meri Khwahis Chhod De
Har Najare Me Mera Hona Chhod De
Har Tanhai Me Mere Sath Gana Chhod De
Har Rat Mere Sath Jagana Chhod De
Har Aah Me Mere Sath Ashq Bahana Chhod De
Har Jakhm Par Marham Lagana Chhod De
Har Fool Ki Tarh Me Muskurau
Ye Ummid Chhod De
Logged
FAREE
Guest
«Reply #424 on: December 08, 2006, 06:04:01 PM »
Reply with quote
Meri Muskan Ko Kya Nam Doge
Mere Jajbat Ko Kya Nam Doge

Tum To Chale Gaye Ho Hume Chhodkar Magar
Hume Apne Khyalo.n Se Dakhal Kese Karoge
Meri Muskan Ko Kya Nam Doge

Hum Muskurate Hai Us Lamhe Ko Yad Kar
Jab Tum Humari Jindagi Me Aaye The Ek Lamha Bankar
Us Lamhe Ka Hisab Kya Doge
Meri Muskan Ko Kya Nam Doge

Jab Hawa Chhuti Hai Lab Muskurate Hai
Mgar Na Jane Kyo Palko.n Me Badlo.n Si Nami Hoti Hai
Bemoausam In Badlo.n Ko Kanha Panah Doge
Meri Muskan Ko Kya Nam Doge
Logged
FAREE
Guest
«Reply #425 on: December 08, 2006, 06:04:32 PM »
Reply with quote
Meri Muskan Ko Kya Nam Doge
Mere Jajbat Ko Kya Nam Doge

Tum To Chale Gaye Ho Hume Chhodkar Magar
Hume Apne Khyalo.n Se Dakhal Kese Karoge
Meri Muskan Ko Kya Nam Doge

Hum Muskurate Hai Us Lamhe Ko Yad Kar
Jab Tum Humari Jindagi Me Aaye The Ek Lamha Bankar
Us Lamhe Ka Hisab Kya Doge
Meri Muskan Ko Kya Nam Doge

Jab Hawa Chhuti Hai Lab Muskurate Hai
Mgar Na Jane Kyo Palko.n Me Badlo.n Si Nami Hoti Hai
Bemoausam In Badlo.n Ko Kanha Panah Doge
Meri Muskan Ko Kya Nam Doge
Logged
FAREE
Guest
«Reply #426 on: December 09, 2006, 09:13:45 PM »
Reply with quote
Chupke se Tera chehera yaad karte hain,
Baarish ke baadalon main Tujhe khojte hain.
Chaa jaaye jab yeh badal aasmaan main,
Khushi se Teri hum raah dekha karte hain.
Logged
FAREE
Guest
«Reply #427 on: December 10, 2006, 06:13:10 PM »
Reply with quote

Kash Mai Shayar Tera Banjau Tu Gazal Meri Banja
Mai Phool Banu Tu Khushbu Meri Banja
Pyar Itna Gahera Ho Hmara Sanam
Ke Mai Dil Tera Ban Jau Tu Dhadkan Meri Banja.
Logged
FAREE
Guest
«Reply #428 on: December 11, 2006, 08:19:41 PM »
Reply with quote
Kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hoee honton me dabee baat na pooch

mein jis ke waastay lar jaaon is khudae se
mujhay khud se hai pyaari yeh kis ki zaat na pooch

wo kis ada se mere saamnay se guzraa abhi
kis tarhan meinay sambhaly mere jazbaat na pooch

waqat jo badlay to insaan badal jaatay hain
kya nahi dikhlaatay yeh gardish-e-halaa na pooch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhay khabar na hoe
kis tarhan usnay churaya hai mujh se haath na pooch

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaee hai me nay maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch...
Logged
FAREE
Guest
«Reply #429 on: December 11, 2006, 08:20:11 PM »
Reply with quote
Kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hoee honton me dabee baat na pooch

mein jis ke waastay lar jaaon is khudae se
mujhay khud se hai pyaari yeh kis ki zaat na pooch

wo kis ada se mere saamnay se guzraa abhi
kis tarhan meinay sambhaly mere jazbaat na pooch

waqat jo badlay to insaan badal jaatay hain
kya nahi dikhlaatay yeh gardish-e-halaa na pooch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhay khabar na hoe
kis tarhan usnay churaya hai mujh se haath na pooch

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaee hai me nay maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch...
Logged
FAREE
Guest
«Reply #430 on: December 14, 2006, 03:12:17 PM »
Reply with quote
Anjaane Main Hi Sahi Hum Karib Tuh Aaye Hain
Kuch Hua Dil Mein Tujhe Dekhke Sarmaye Hain

Na Jaane Konse Sawaal Bhare Hai Iss Dil Main
Jinhe Poochne Ko Ho Bekaraar Hum Aaye Hain

Jana Chahta Hai Vo Mujhe Chodke Tanha Kyun
Jiske Saath Hum Ghar Se Door Nikal Aaye Hain

Thaame Haath Uska Hi Tuh Chaha Chalna Humne
Kyun Mere Dil Ki Bekarari Na Samaj Paaye Hain

Bahut Ho Chuka Abh Unka Ye Tadhpana Kehdo
Hum Bhi Unhe Paath Pyaar Ka Padhane Aaye Hain

Darne Lagi Hai Sandhaya Sochke Apna Anjaam
Deh Na Jaye Vo Sapne Jo Pyaar Se Sajaye Hain

Nahi Kamzor Meri Ye Mahobaat Jaanle Vo Bhi
Hum Unhe Itminaan-E-Ishq Karvane Aaye Hain
Logged
FAREE
Guest
«Reply #431 on: December 15, 2006, 04:57:51 PM »
Reply with quote
meri har chahat se pehle ek chahat hogi
wo chahat hamesha tum hogi
ab to chahna hi reh gaya hai zindagi main
na jane yeh chahat kab puri hog
Logged
FAREE
Guest
«Reply #432 on: December 16, 2006, 07:18:42 PM »
Reply with quote


Dil Hi Dil Main Hum Un Say Pyaar Kartay Hain
Chup-Chap Unki Mahobbat Ka Intezaar Kartay Hain

Jin Rahoon Par Un Ka Chalna Mushkil Hai
Un Hi Rahoon Pay Hum Un Ka Intezaar Kartay Hain



Aankhon Main Aanso Aa Jatay Hain
Phir Bhi Labon Pay Hansi Rakhni Parti Hai

Yeh Mohabbat Bhi Kya Cheez Hai Yaaro
Jisay Chahtay Hain Usi Say Chupani Parti Hai



Aankhon Ki Zuban Woh Samajh Nahin Patay
Hoont Magar Kuch Keh Nahin Patay

Apni Bebassi Kis Tarhan Kahain Hum ~Saba~
Koi Hai Jis K Bina Hum Reh Nahin Patay
Logged
FAREE
Guest
«Reply #433 on: December 17, 2006, 02:24:30 AM »
Reply with quote
Aisa kyun hota hai,
door hokar bhi yeh dil usko kyun chahta hai,
aisa kyun hota hai,
har waqt yaado main woh kyun aata hai,
aisa kyun hota hai,
pehle hasata nai phir kyun rulata hai,
aisa kyun hota hai,
kabhi ruthta hai to kabhi kyun manaata hai,
aisa kyun hota hai,
har waqt yaadon main ek naya sapna kyun jagata hai,
aisa kyun hota hai,
zindagi main hamain kisi se itna pyar kyun hota hai,
aisa kyun hota hai,
jabhi bhoolne ki koshish ki to pehle saamne woh kyun aata hai,
aisa kyun hota hai,
itne sawaal aur itne javaab jaane kyun hote hai,
aisa kyun hota hai,
hameis kissise itana saccha pyar jab hota hai,
shayad tab hi aisa hota hai.................
Logged
FAREE
Guest
«Reply #434 on: December 17, 2006, 07:44:34 PM »
Reply with quote
Bhari Mehfil Main Tanha Rehna Acha Lagta Hai
Tere Bare Main Sochtey Rehna Acha Lagta Hai

Kabhi Pholoon Main, Kabhi Kaliyon Main
Tujh Ko Hi Dhontey Rehna Acha Lagta Hai

Meri Zindagi Ki Khushiyan Tumhee Sey Hain Wabasta
Rab Sey Sirf Tumhein Hi Maangna Acha Lagta Hai

Hamare Darmiyan Haail Rahein Sadiyon Ki Khamoshiyan
Kuch Is Tarhan Guftugu Karna Acha Lagta Hai

Tumhre Baghir Zindagi Ka Koi Tassavur Nahi Hai
Kuch Is Tarhan Tumhari Tamanna Karna Acha Lagta Hai

Tum Hi Ko Chaha,Tum Hi Ko Chahtey Hain
Tumhi Ko Chahtey Rehna Acha Lagta Hai

Naz Cheen LonGa Tumhein Duniya Ki Rasmon Sey
Aey SUKOON, Zamaney Sey Baghawat Karna Acha Lagta Hai
Logged
Pages: 1 ... 25 26 27 28 [29] 30 31 32 33 ... 40
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:20:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer