***** MERI ZINDGI K NAAM ******

by fakharenaveed on December 28, 2004, 11:45:55 PM
Pages: 1 ... 26 27 28 29 [30] 31 32 33 34 ... 40
ReplyPrint
Author  (Read 41460 times)
FAREE
Guest
«Reply #435 on: December 18, 2006, 06:27:53 PM »
Reply with quote
Kahiin ik masoom nazuk si ladki
Bohat khobsoort mager sanwali si
Mujhay apnay khwabon ki banhoin main paa ker
Kabhi neend main muskurati tu ho gi
Usi neend main kasmasa kasmasa ker
Serhanay se takiyay girati tu ho gi
Wohi khawab din k munderon pe aa ker
Usay man he man lubhatay tu hongay
Kaii saaz seenay ki khamoshion main
Meri yaad se jhunjhanatay tu hongay
Woh besakhta dheemay dheemay suron main
Meri dhun main kuch gungunati tu ho gi
Chalo khat lekhain jee main ata tu ho ga
Mager ungliyan kapkapati tu hon gi
Qalam haath se choot jata tu ho ga
Umangain qalam phir uthati tu hon gi
Mera naam apni kitabon per likh ker
Woh Danton main ungli dabati tu ho gi
Zuban se kabhi uff nikkalti tu ho gi
Badon dheemay sulagta tu ho ga
Kahiin k kahiin paan pertay tu hongay
Zameen pe dupata latakta tu ho ga
Kabhi subah ko shaam kehti tu ho gi
Kabhi raat ko din batsti tu ho gi
Kahhin ik masoom nazuk si ladki
Bohat khoobsorat mager sanwali si...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jaana tera zindgi dusra naam hai by vikas2210 in Shayri-E-Dard
Zindgi tere naam likh dete hain by mistufer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zindgi Hum Apni unke Naam by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Zindgi maine jis k naam ki hai. by er.pushpendra1 in Shayri-E-Dard
TUMHEN ZINDGI NAAM SE PUKAARAA by surindarn in Shayeri for Dard -e- Bewafai
FAREE
Guest
«Reply #436 on: December 18, 2006, 10:39:27 PM »
Reply with quote
apna chehra chupa le meri gul-e-gulzar,
kahin tujhe dekh sharma laut na jaye bahar.

hum deewane hain aapke bina aapko dekhe,
sochta hoon kya hoga agar kabhi hue deedar.

ek doosre ke dilon,me hua karte the hum,
par kisne bana di humare beech ye deewar.

ek baar me hi hum itna ishq kar gaye aapse,
ki jeevan bhar phir na kar payenge pyar.

"Faree" hai bol kar sab door chale jate hain,
koi bhi banata nahi hume ab apna yaar.
Logged
Roja
Guest
«Reply #437 on: December 19, 2006, 01:26:06 AM »
Reply with quote
Ye na socho kabi mai tehar jaungi
Roshni dekhe tumlo, guzar jaungi

Khak bi na kabi meri pooch paoge
Aasmaan se bi aage nikal jaungi

Gazal ke roop main, geet ke roop main
Dil ki gehrayiyon main utar jaungi

Mehak thi hi rahungi dilon main sada
Pyar ke rang dunia main ber jaungi

Dard chahe mile ho "Roja" ko
Per kushi bhant ker mai bikar jaungi..


Yaad Rakhna..!!
Logged
FAREE
Guest
«Reply #438 on: December 19, 2006, 01:36:05 AM »
Reply with quote
Yaad Rahay ga Janab
Logged
FAREE
Guest
«Reply #439 on: December 19, 2006, 05:50:29 PM »
Reply with quote
Tu meri yaad k samundar mein doob jayega
Apni har saans mein mujhe basaana
Mere khayaalon mein kho jayega
Yaad karke tu dil behlaana
Meri zulf se tu khelne k liye tharse
Teri baahein mere liye hamesha betaab rahein
Meri awaaz tu sunne k liye tharse
Meri aankhein tujhe hamesha lajaawaab lagein
Meray narm honthon ka woh ehsaas tu na bhoole
Woh haseen lamhe phoolon ki tarha mehekte rahe
Tera dil apni yeh pyaas na bhoole
Meri yaad teri zindagi ki sharaab rahe
Tera pyaar hamesha laye ik bahaar
Yeh duniya lage hamesha haseen
Yeh mohabbat ki baarish laye ik barsaat
Rahe tu sirf mera aur mera humnasheen
Muje na bhulaana…
Muje na bhulaana…
Logged
FAREE
Guest
«Reply #440 on: December 20, 2006, 02:02:14 AM »
Reply with quote
Kajal banke teri aankho mein bas jaaon,
pyar ban kar tera ahsaas ban jooon,
yu to haasil hai zaamane ki har cheez humen,
sirf ek baar tujhe dulhan bana kar apne ghar le aaon.
Logged
Roja
Guest
«Reply #441 on: December 20, 2006, 05:10:23 PM »
Reply with quote
Chahate is mod per le aayegi socha na tha
Aankh jab apni khuli toh rasta milta na tha

Ek dareecha khol rakha tha ki koyee aayega
Umere-rafta se kisii ko lautna aata na tha

Ho gayee masoob meri jaat se mehroomiya.n
Kathibe-taqdeer ka likha kabi aisa na tha

Do badan jal kar hua hai raakh apni aag main
Rahte-jaa.n ke liye "Roja" koyee rasta na tha..
Logged
FAREE
Guest
«Reply #442 on: December 20, 2006, 11:22:48 PM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Chahate is mod per le aayegi socha na tha
Aankh jab apni khuli toh rasta milta na tha

Ek dareecha khol rakha tha ki koyee aayega
Umere-rafta se kisii ko lautna aata na tha

Ho gayee masoob meri jaat se mehroomiya.n
Kathibe-taqdeer ka likha kabi aisa na tha

Do badan jal kar hua hai raakh apni aag main
Rahte-jaa.n ke liye "Roja" koyee rasta na tha..
Nice One Roja Ji


koi aansu mere daman pay gira kar to dekho,
main pathar nahi hoon mujhay chuu kar to dekho......

tere qadmon ki aahat say dharkta hai dil,
main jinda hoon kabhi mujhay hila kar to dekho........

phool bankay bichh jaounga tumhari rahhon main,
ek baar mujhay seenay say laga kar to dekho......

bhool jaogay tum dunia bhar ki ronko ko,
kabhi mere soonay ghar main aa kar to dekho......

mehak utthogay tum gulaab ki tarha dekhna,
kisi roz mujhay apnay tan say laga kar to dekho.....

ho jaogay tum ganga say pawan or nirmal,
kabhi mere aasuon main naha kar to dekho.......

door kar doonga main andhray teri zindagi kay,
diye ki tarha kabhi mujhay jala kar to dekho......

'Faree' ko dee hai jo tunay pyar bhari dunia,
kabhi fursat milay to us main aa kar to dekho......
Logged
Roja
Guest
«Reply #443 on: December 20, 2006, 11:35:23 PM »
Reply with quote
Ek charage-mohabbat jala lijiye
Apna dil mere dilse mila lijiye

Ranj gar koyee aa kar satane lage
Mujh ko awaaz de kar bula lijiye

Yaad meri agar aa hii jaye kabi
Apne ser ko zara sa jukha liliye

Khush mujhe dekh kar log jalne lage
Mujhko aankhon main apni chupa lijiye

Dard-furkat satata hai herdam mujhe
Ab to seene se mujhko laga ligiye

Jalwa-ye-husna ko aajma kar kabi
Aakhe mujh ko mujh.hii se chura lijiye

Kijiye na "Roja" se umeed koyee
Gar ho majboor, dil main basa lijiye..


 :lol:
Logged
FAREE
Guest
«Reply #444 on: December 20, 2006, 11:44:37 PM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Ek charage-mohabbat jala lijiye
Apna dil mere dilse mila lijiye

Ranj gar koyee aa kar satane lage
Mujh ko awaaz de kar bula lijiye

Yaad meri agar aa hii jaye kabi
Apne ser ko zara sa jukha liliye

Khush mujhe dekh kar log jalne lage
Mujhko aankhon main apni chupa lijiye

Dard-furkat satata hai herdam mujhe
Ab to seene se mujhko laga ligiye

Jalwa-ye-husna ko aajma kar kabi
Aakhe mujh ko mujh.hii se chura lijiye

Kijiye na "Roja" se umeed koyee
Gar ho majboor, dil main basa lijiye..


 :lol:
Yeh Zara Mushkal Kaam Hai  


:D :D



Zindagi pyar ki do char ghadi hoti hai
chaahe thodi bhi ho ye umar badi hoti hai

tajya takht ya daulat ho zamaane bhar ki
kaun si cheez mahabat se badi hoti hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #445 on: December 21, 2006, 01:29:12 AM »
Reply with quote
hahaha.. Faree sb.. koyee mushkil nahi hai ji..hehehe


Jab se dekha tujhe jane kya ho gaya
Dil ye mera na jane kahan kho gaye

Tadap meri na dekhi gayee jis ghadi
Aasmaan bi mere haal per ro gaye

Tum na samjhe kabhi mere dil ki lagi
Aarzoo main tere, mai fanah ho gaye

Ab puraro bhi mujh ko toh kya faiyda
Maut ki neend jab yaar "Faree",  mai so gaye

Rok lethi agar tum zara pyar se
Toh na jathi "Roja" abhi jo gaye.... :wink:
Logged
FAREE
Guest
«Reply #446 on: December 21, 2006, 01:34:03 AM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
hahaha.. Faree sb.. koyee mushkil nahi hai ji..hehehe


Jab se dekha tujhe jane kya ho gaya
Dil ye mera na jane kahan kho gaye

Tadap meri na dekhi gayee jis ghadi
Aasmaan bi mere haal per ro gaye

Tum na samjhe kabhi mere dil ki lagi
Aarzoo main tere, mai fanah ho gaye

Ab puraro bhi mujh ko toh kya faiyda
Maut ki neend jab yaar "Faree",  mai so gaye

Rok lethi agar tum zara pyar se
Toh na jathi "Roja" abhi jo gaye.... :wink:
Hum Awaz De Kr Rokte Tu Sahi Lekin jab Koi Rukna Hi Na Chahay Tu Insan Kaise Rokay

Some words for You

Mudatoon ke baad huwe hain bebus, Yeh bebusi dekhne do
Tumhare bin hum tu tanha the , Iss tanhai main ab jeene do

Waqt tu badal gaya manta hoon, Lekin waqt ko kese wapas laein
Jese bhi chal raha hai yeh waqt , Ab iss ko yeun hi chalne do

Jab tum ne hum ko thukraya tha , Tab bhi sansein sath thiein
Sansoon ko behlane ke liye kantoon pe aae, Ab in kantoon per hi jeene do

Kismat ka khail hai , Wafa main hum ne bhi koi kami nahin chori thi
Tum ko ab bhi wafa ka naam dete hain , Hum pe bewafa ka naam hi rehne do

Woh baatein yaad tu aati hain , Phir bhi jee lete hain kissi bahane se
Logoon se mere bare main kuch bhi mat poocho, Hume gumnam hi rehne do

Ager tum poocho gae tu , Tumhara rishta kya hai poochein gae
Jo rishta tha humare peech , Us rishte ko ab gumnam rehne do

Kuch arsa pehle tum kehte , Hum bhi mante, tab log bhi jante
Us waqt ko yaad ker ke , Hum ko yeun hi dil main rone do

Aashiq ka laqab ,Wese bhi mehboob ke sath nahin milta
Hum tanhai main aashiq ban gae , Hume aashiq hi rehne do

Main tum se itna pyar kerte hoon , Ke badle main pyar ki umeed hi nahin kerte
Ab aur mat roko , Inn ashqoon ko ab aankhoon se gir jane do

Ab bhi koi humse shikayat hai , Woh shikayat hum ko sunne do
Zindagi se ab thak gae hain hum , Ab humare zindagi ka aftab doob jane do
Logged
Roja
Guest
«Reply #447 on: December 21, 2006, 01:50:04 AM »
Reply with quote
Hamara jawab kuch is tarah hai Faree ji..

Tujhse toh koyee gila nahi hai
Kismat main meri, sila nahi hai

Bicharde toh na jane haal kya ho
Jo shakhs abhi mila nahi hai

Jeene ki toh aarzoo hee kab thi
Merne ka bhi hosla nahi hai

Jo zindagi ko vishwasniya banade
Aisa koyee silsila nahi hai

Khushboo ka hisaab ho chuka hai
Aur phool abhi khila nahi hai

Ek tes pe dil ka phoot behana
Chune main toh aabla nahi hai..
Logged
FAREE
Guest
«Reply #448 on: December 21, 2006, 01:54:27 AM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Hamara jawab kuch is tarah hai Faree ji..

Tujhse toh koyee gila nahi hai
Kismat main meri, sila nahi hai

Bicharde toh na jane haal kya ho
Jo shakhs abhi mila nahi hai

Jeene ki toh aarzoo hee kab thi
Merne ka bhi hosla nahi hai

Jo zindagi ko vishwasniya banade
Aisa koyee silsila nahi hai

Khushboo ka hisaab ho chuka hai
Aur phool abhi khila nahi hai

Ek tes pe dil ka phoot behana
Chune main toh aabla nahi hai..
Bohut thi khak say rishtay ki ehmiyut laikin
Hawa k dosh pay rehna bohut zarori tha

hamaray pas amanut theen nasl-e-no k liyay
so yeh kahanian kehna bohut zaroori tha

kisi ko dhoop ki takleef say bachanay ko
kisi ka dhoop ko sehna bohut zaroori tha

mayray kinaray pay nazish bustian theen kaee
mayra kinaroon main behna bohut zaroori tha
Logged
Roja
Guest
«Reply #449 on: December 21, 2006, 01:59:39 AM »
Reply with quote
Khuli aankhon main sapna jaagta hai
Wo soye hai ki kuch kuch jaagta hai

Tere chahat ke bheege jungalon main
Meri tann moor banke nachtha hai

Mujhe her kaifiyat main kyu na samjhe
Wo mere sab hawale jante hai

Mai unke tastaras main hu, magar wo
Mujhe meri merji se maangta hai

Kisee ke dyaan main dubha hua DIL
Bahane se mujhe bi taltha hai

Sadak ko chod kar chalna padega
Ki mere ghar ka katchcha raasta hai..
Logged
Pages: 1 ... 26 27 28 29 [30] 31 32 33 34 ... 40
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:49:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer