***** MERI ZINDGI K NAAM ******

by fakharenaveed on December 28, 2004, 11:45:55 PM
Pages: 1 ... 27 28 29 30 [31] 32 33 34 35 ... 40
ReplyPrint
Author  (Read 41700 times)
FAREE
Guest
«Reply #450 on: December 21, 2006, 02:05:23 AM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Khuli aankhon main sapna jaagta hai
Wo soye hai ki kuch kuch jaagta hai

Tere chahat ke bheege jungalon main
Meri tann moor banke nachtha hai

Mujhe her kaifiyat main kyu na samjhe
Wo mere sab hawale jante hai

Mai unke tastaras main hu, magar wo
Mujhe meri merji se maangta hai

Kisee ke dyaan main dubha hua DIL
Bahane se mujhe bi taltha hai

Sadak ko chod kar chalna padega
Ki mere ghar ka katchcha raasta hai..
Ek Haadse ne humko sikha diya anjaane main
Jo is qadar maayoosi hai mere fasaane main
Daawa karta tha jo saath chalne ka mere
Tanha chhor diya usne bhi hamen gham uthaane main
Chalo maana humse kahin zyada hai tera gham
Itna to socha hota kaun hai tere siwa mera zmane main
Tum bhi Ehl-e-Nazar na rahe jo samajh paate hamen
Warna kami na ki thi humne apna farz nibhane main
Tumne jo chhora saath mera tum bhi kyun peechhe rehte
Duniya ne bhi kasar na rakhi zara bhi hamen mitaane main
Kher jo hua har haal Shukr hai Khuda ka
Woh chahe to bhar de daaman kami nahin koi uske khazane main
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jaana tera zindgi dusra naam hai by vikas2210 in Shayri-E-Dard
Zindgi tere naam likh dete hain by mistufer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zindgi Hum Apni unke Naam by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Zindgi maine jis k naam ki hai. by er.pushpendra1 in Shayri-E-Dard
TUMHEN ZINDGI NAAM SE PUKAARAA by surindarn in Shayeri for Dard -e- Bewafai
FAREE
Guest
«Reply #451 on: December 21, 2006, 07:35:11 PM »
Reply with quote
ye chiraagh be nazar hay ye sitara be zuban hay
ab tujh say milta julta koi dusra kahan hay
kabhi tujh ko pa k khona kabhi kho k pana
ye janam janam ka reshta tere mere darmayan hay
Logged
Roja
Guest
«Reply #452 on: December 21, 2006, 11:50:07 PM »
Reply with quote
Quote from: "FAREE"
Quote from: "Roja"
Khuli aankhon main sapna jaagta hai
Wo soye hai ki kuch kuch jaagta hai

Tere chahat ke bheege jungalon main
Meri tann moor banke nachtha hai

Mujhe her kaifiyat main kyu na samjhe
Wo mere sab hawale jante hai

Mai unke tastaras main hu, magar wo
Mujhe meri merji se maangta hai

Kisee ke dyaan main dubha hua DIL
Bahane se mujhe bi taltha hai

Sadak ko chod kar chalna padega
Ki mere ghar ka katchcha raasta hai..
Ek Haadse ne humko sikha diya anjaane main
Jo is qadar maayoosi hai mere fasaane main
Daawa karta tha jo saath chalne ka mere
Tanha chhor diya usne bhi hamen gham uthaane main
Chalo maana humse kahin zyada hai tera gham
Itna to socha hota kaun hai tere siwa mera zmane main
Tum bhi Ehl-e-Nazar na rahe jo samajh paate hamen
Warna kami na ki thi humne apna farz nibhane main
Tumne jo chhora saath mera tum bhi kyun peechhe rehte
Duniya ne bhi kasar na rakhi zara bhi hamen mitaane main
Kher jo hua har haal Shukr hai Khuda ka
Woh chahe to bhar de daaman kami nahin koi uske khazane main

Lautna hai mujhe ghar aayega aakir wo bhi
Main bhi kurbath main hu, manindhe-musafir wo bhi

Maine bhi pyaas ke sahura main bade din kate
Jura-ye-aabh ko tarsa huwa tayeer wo bhi

Mera dukh bhi tere chehre se nahi khul sakta
Aur sare-bhajm hai furkhand bajahir wo bhi

Unki hurmat ka mere dil ko bhi hai pass bahut
Chup rahega mere naamus(izzat) ki khatir wo bhi

Kya ajab hai ki, ye dil hosh se begana hua
Raat ka afsana bhi diwanghi tha sahir wo bhi..!!
[/color]
Logged
Roja
Guest
«Reply #453 on: December 21, 2006, 11:50:30 PM »

«Reply #454 on: December 21, 2006, 11:55:13 PM »
Reply with quote
Quote from: "FAREE"
ye chiraagh be nazar hay ye sitara be zuban hay
ab tujh say milta julta koi dusra kahan hay
kabhi tujh ko pa k khona kabhi kho k pana
ye janam janam ka reshta tere mere darmayan hay

Sab kuch hai per shayad kuch bhi nahi
Hazar khushiyan mili per gam raha vahi ke vahi
Kitne hi aaso piye per phir bhi khushi mili nahi
Inhe hi hassi aur khushi ki talaash main hum khud kho gaye hai kahi

Aur zamana kehta hai mere unse her janam ka rishta hai!!
[/color]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #455 on: December 22, 2006, 02:04:58 AM »

Mujko to sirf aapka farmaan chahiyey
Maujood jaan bhi hai agar jaan chahiyey !

Do phool hi chada dein, woh aa kar mazaar par,
Kuch to shaeed-e-ishq ki pehchaan chahiyey !

Kuch bhi raha na dil mein, teri yaad kay siva,
Is ghar kay vaastay, yahi mehmaan chahiyey !

Hoorain mili ba-e-ishq mein mujko to kya mila,
Insaan kay liyey koi insaan chahiyey !

Mujko bhura, rakeeb ko acha samajh liya,
Achay bhuray ki kuch unhay pehchaan chahiyey
Logged
FAREE
Guest
«Reply #456 on: December 22, 2006, 02:05:28 AM »

«Reply #457 on: December 23, 2006, 12:08:35 AM »
Reply with quote
Sirf itna hii keh dena ke Pyar hai Tumse..
Jasbathon ki koyee numayish nahi ki

Pyar ke badle toda pyar manga hai
Rishte ki toh koyee gunzarish nahi ki..

Chahe toh bula dena hame DILSE..
Sada yaad rakhne ki shifarish nahi ki

Kamoshi se tufaan seh lete hai jo
Un badalon ne izhar ke bareesh nahi ki

Tumhe hi mana hai rehnuma apna
Aur kuch cheez ki kwayiish nahi ki

Roja sirf itna kehthi hai ke Sirf Pyar Hai Tumse..!!
[/color]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #458 on: December 31, 2006, 08:01:43 PM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Sirf itna hii keh dena ke Pyar hai Tumse..
Jasbathon ki koyee numayish nahi ki

Pyar ke badle toda pyar manga hai
Rishte ki toh koyee gunzarish nahi ki..

Chahe toh bula dena hame DILSE..
Sada yaad rakhne ki shifarish nahi ki

Kamoshi se tufaan seh lete hai jo
Un badalon ne izhar ke bareesh nahi ki

Tumhe hi mana hai rehnuma apna
Aur kuch cheez ki kwayiish nahi ki

Roja sirf itna kehthi hai ke Sirf Pyar Hai Tumse..!!
[/color]
main to kab ka chala gaya hota is duniya mese,
lagta hai ye zindagi ab tak usike liye yaha ruki hai....

jab bhi sochta hu main hamari judai ke bare me,
bichad jane ke dar se ye ankhen nam jhuki hai........

samjh me nahi aata kya karunga main uske bin,
is khayal se hi mere dilme dard ki lehren uthi hai....

mili wo mujhe to sari zindagi sawar jayengi meri,
na mili to samjhunga k kismat hi mujhse ruthi hai....

hum dono mile ya na mile is janam me kabhi,
pyaar salamat rahe ye bat maine usse sikhi hai....

pata nahi mujhe kab aa jayengi maut karib mere,
na jane kaun se aakhri pal me meri maut likhi hai....
Logged
FAREE
Guest
«Reply #459 on: January 02, 2007, 07:02:30 PM »
Reply with quote
lamha lamha behti yeh zindai,
na janay kis taraf ja rahi hai,
pal pal mujh say keh rahi hai,
aao mere saath chalo mere hamsafar,
lakin mere qadmon main kaise zanzeerain hai,
jo mujhay janay say rookti hai,
anjaan say rishton main mujhay bandhti hai,
kush rishtay jo mujhay mere apno nay diye hai,
kush rishtay jo is dil say babasta hai,
har rishtay ki apni garima hai maryada hai,
batta hua mera wajood aadha aadha hai,
main kaise insaaf karu inkay saath,
har koi apna haq mangta hai,
kam nahi bhut jiyada mangta hai,
ek rishta jo mera tujh say hai,
wo khamosh hai mujh say kush nahi mangta,
khud jal kay mujhay sakoon deta hai,
mere saath sanso ki tarha rawa hai,
mujh say har waqt yahi kehta hai,
mujhay tumsay kush nahi chhahiye,
bass mujhay yu hee qayam rakhna,
meri garima ko thandi mat parnay dena,
apnay ehsaso say mujhay jinda rakhna,
tamaam rishton ko main nibha raha hoon,
sabko sabka haq de raha hoon,
pal pal jee raha hoon mar raha hoon,
sab kay saath insaaf kar raha hoon,
lakin jo rishta tera mera hai,
wo rishta khamosh hai......
wo rishta khamosh hai......
wo rishta khamosh hai.......
Logged
Roja
Guest
«Reply #460 on: January 03, 2007, 03:33:09 PM »
Reply with quote
Nice One Faree ji.. Yu Hii Aate Rahiyega.

Jab bhi aathi hai aapki yaad kabhi shaam ke baad
Aur bhad jaathi hai udaasi shaam ke baad..

Ab eradon pe barosa hai na tauba pe yakeen
Mujhe le jaye tashna-labhi(pyaas) shaam ke baad..

Yu toh her lamha aapke yaad ka bhojil guzra
Dil ko mehsoos huyee aapki kami shaam ke baad..

Yu toh kuch shaam se pehle se udasi thi bahut
Ab toh kuch aur badi dil ki lagi shaam ke baad..

Roja
[/color]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #461 on: January 03, 2007, 08:03:30 PM »
Reply with quote

Shaam k Baad yehi Haal Hota Hai

Buht Acha Likha Hai ji Aap ne

Kash Mai Shayar Tera Banjau Tu Gazal Meri Banja
Mai Phool Banu Tu Khushbu Meri Banja
Pyar Itna Gahera Ho Hmara Sanam
Ke Mai Dil Tera Ban Jau Tu Dhadkan Meri Banja.

Logged
FAREE
Guest
«Reply #462 on: January 05, 2007, 03:19:17 AM »
Reply with quote

Meri Muskan Ko Kya Nam Doge
Mere Jajbat Ko Kya Nam Doge

Tum To Chale Gaye Ho Hume Chhodkar Magar
Hume Apne Khyalo.n Se Dakhal Kese Karoge
Meri Muskan Ko Kya Nam Doge

Hum Muskurate Hai Us Lamhe Ko Yad Kar
Jab Tum Humari Jindagi Me Aaye The Ek Lamha Bankar
Us Lamhe Ka Hisab Kya Doge
Meri Muskan Ko Kya Nam Doge

Jab Hawa Chhuti Hai Lab Muskurate Hai
Mgar Na Jane Kyo Palko.n Me Badlo.n Si Nami Hoti Hai
Bemoausam In Badlo.n Ko Kanha Panah Doge
Meri Muskan Ko Kya Nam Doge

Logged
FAREE
Guest
«Reply #463 on: January 05, 2007, 07:18:33 PM »
Reply with quote

Jaa rahe the wo door humse
Par unse milna baki tha.....
Baate to bahot karli thi
Par raaj batana baki tha.....
Phir aya wo judaii ka din
Par diloka milap baki tha
Wo to alvida keh gaye haste-haste
Par unka ehsas baki tha.....
Samza rahe the dilko ki wo aayege
Par lamba intazaar abhi baki tha

Logged
Roja
Guest
«Reply #464 on: January 06, 2007, 02:39:13 AM »
Reply with quote
kya khoob pesh karte ho Faree sb aap... Ek se badkar ek hai aapka likha... Daad Hazir hai

Baat karni bhi mujhe kabi aisi mushkil toh na thi
Jaise ab ho gayee aapka mehfil kabhi aisi toh na thi
Le gaya cheenkar kaun mera sabho.n karaar
Bekarari-ye-dil mujhe kabhi aisi toh na thi..
[/color]
Logged
Pages: 1 ... 27 28 29 30 [31] 32 33 34 35 ... 40
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:43:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer