***** MERI ZINDGI K NAAM ******

by fakharenaveed on December 28, 2004, 11:45:55 PM
Pages: 1 ... 28 29 30 31 [32] 33 34 35 36 ... 40
ReplyPrint
Author  (Read 41691 times)
FAREE
Guest
«Reply #465 on: January 06, 2007, 02:48:13 AM »
Reply with quote











Roja ji Aap Ki Shayri Main Hum Behkr Na Jane Kahan se Kahan Chalay jatay Hain


Aisa Yahan Kisi Ko nahi Dekha Maine ~Princess21 aur Saba ~ ji k Baad


You are Doing Great Job






Ik baar jo ruthay phir pas aana bhool gaye
Ik ana ki khatir tum janay kia kia bhool gaye

Hum ne saalon tumhari yadon ke deep jalaye rakhay
Baad main ye maloom howa ke tum naam bhi bhool gaye

Muhabbat kisko kehtey hain ye to humain maloom nahi
Per jab se tum ko pyar kia deen-o-dunya bhool gaye

Muhabbat ka rang aesa chayaa meray dil-o-dimagh per
Aik hi rang ab dikhta hai her soo baqi dhanak rang bhool gaye





Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jaana tera zindgi dusra naam hai by vikas2210 in Shayri-E-Dard
Zindgi tere naam likh dete hain by mistufer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zindgi Hum Apni unke Naam by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Zindgi maine jis k naam ki hai. by er.pushpendra1 in Shayri-E-Dard
TUMHEN ZINDGI NAAM SE PUKAARAA by surindarn in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Roja
Guest
«Reply #466 on: January 07, 2007, 03:16:05 PM »
Reply with quote
Shukhriya Faree ji.. Yu hii saath dete rahiyega..

Kaise din dekhne padte hai judayee ke baad
Ashq chupane padte hai bewafayee ke baad
Wo din bhi aata hai ek roj
Jajbaad chupane padte hai sagayee ke baad...!!
[/color]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #467 on: January 07, 2007, 08:59:10 PM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Shukhriya Faree ji.. Yu hii saath dete rahiyega..

Kaise din dekhne padte hai judayee ke baad
Ashq chupane padte hai bewafayee ke baad
Wo din bhi aata hai ek roj
Jajbaad chupane padte hai sagayee ke baad...!!
[/color]




you welcome Roja


well done again


humari bhi thi kuch majbhooriyan
is liye zindagi ne di hai itni dooriyan
pyaar na sahi, is dosti ko li jiye
dil na sahi per dost ka saath tho di jiye













Logged
Roja
Guest
«Reply #468 on: January 07, 2007, 11:14:15 PM »
Reply with quote
De chale hum toh, kurbani ishq main
Tere yaadein le chale, nishani ishq main

Nigahein-aalam main kya hai, waqt ki keemat poochiye
Hum toh ker chale barbaad, jawani ishq main

Darde dil leke bahut aage, hum nikal aaye
Reh gayee peeche, ek kahani ishq main
[/color]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #469 on: January 08, 2007, 07:53:52 PM »
Reply with quote







bohot khushnuma kal ki raat guzri hai,
kuch tanha par kuch khas guzri hai,
na neend aayee na khwaab koi,
bas aap hi ke khayalon ke saath






Logged
Roja
Guest
«Reply #470 on: January 09, 2007, 01:48:57 AM »
Reply with quote
Bahut muddat ke baad usse dekha logo
Wo jara bhi nahi badla logo

Kush na tha mujhse bicharker woh bhi
Uske chehre pe likha tha logo

Uski aankhein bhi keh dethi thi
Raat ber wo bhi na soye logo

Ajnabi bankar jo guzra hai abhi
Tha kisee waqt main apna, logo

Dosti toh kair koyee kisko hai
Usne dushman bhi na samjha logo

Raat wo dard mere dil main uta
Subah taq chain na aaya logo

Pyaas seharawo ki, phir tej huyee
Badal phir toot ker bersa logo


Sab ziddhein uski mai poori karu ... her baath sunu
Ek bacche ki tarah se usse hasta dekhu logo..
[/color]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #471 on: January 09, 2007, 08:23:34 PM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Bahut muddat ke baad usse dekha logo
Wo jara bhi nahi badla logo

Kush na tha mujhse bicharker woh bhi
Uske chehre pe likha tha logo

Uski aankhein bhi keh dethi thi
Raat ber wo bhi na soye logo

Ajnabi bankar jo guzra hai abhi
Tha kisee waqt main apna, logo

Dosti toh kair koyee kisko hai
Usne dushman bhi na samjha logo

Raat wo dard mere dil main uta
Subah taq chain na aaya logo

Pyaas seharawo ki, phir tej huyee
Badal phir toot ker bersa logo


Sab ziddhein uski mai poori karu ... her baath sunu
Ek bacche ki tarah se usse hasta dekhu logo..
[/color]







tum kabhi na meri aazmaish kar sako ge
jaan se ziyada kia farmaish kar sako ge
pyar karte hain itna jitna samundar mein pani
kia samundar k pani ki pemaish kar sako ge






Logged
Roja
Guest
«Reply #472 on: January 10, 2007, 01:38:39 PM »
Reply with quote
Tere hoton ki hassi banane ka kwaab hai
Teri aagosh main simat jane ka kwaab hai

Tum lakh bachale daman ishq ke hathon
Aasman bankar tujh per chaa jane ka kwaab hai

Maut bhi laut jaye tere darwaje par aake
Tujhko aisi zindagi dene ka kwaab hai

Jee bhi lenge agar jeena pada tere bigair
Par tujh par mar mitne ka kwaab hai..
[/color]
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #473 on: January 10, 2007, 07:16:44 PM »
Reply with quote
very nice malli and faree.............
Logged
FAREE
Guest
«Reply #474 on: January 10, 2007, 09:06:20 PM »
Reply with quote



Thank Yoy   TS



beshaq kuch waqt ka saath mila humko,
par khuda se badh kar yaar mila humko,
na rahi tamanna kisi jannat ki humein,
ae dost teri dosti se wo pyar mila humko.






Logged
FAREE
Guest
«Reply #475 on: January 12, 2007, 08:29:05 PM »
Reply with quote








Woh pal jab Tum mere saamne aaye..
Zindagi me The sirf khushiyon ke saaye..

Woh lamha jab Tumne mera haaTh pakdaa..
Na jaane kaisi sharm ne Tha mujhe jakdaa..

Woh din jab roz hum mila karTe The..
Pyar bhari baaTein dheron kiiya karTe The..

Woh jagah jahan hum saaTh hoTe The..
Hazaaron phool humari raah me khila karTe The..

Woh bikhri huyi chaandni ki raaT..
Ye chandni bhi Thi apne chaand ke saaTh..

Woh andhere me muskuraana Tera..
Khamoshi se hi sab keh jaana mera..

Woh choodiyon ki khanak pe Tera haaThon ko choomna..
Neechi neegaahein liye.. sharmaana.. mera ghabraana..

Woh Tera karke bahaana paas bulaana..
Bulaake phir mujhe khoob saTaana..

Woh pal woh lamhe jinme ek poori zindagi ji humne..
The mere anmol sapne, jo poore kiye Tumne..

Aaj chaahTi hun Tumhe bas yehi kehna..
Aur nahi Tumse ab door rehna..

Judaai ne jo haal bana diya hai..
Mujhe Sohni Tujhe mahivaal bana diya hai..

RaaT ko jaag kar Teri Tasveerein banaana..
KaviTaayein likhna... Tumse ishq jaTaana..

Tumhaari hai ye 'ChaahaT' Tumhaari rahegi..
Jiyegi ye jab Tak sirf Tumhari rahegi...





Logged
FAREE
Guest
«Reply #476 on: January 13, 2007, 09:28:03 PM »
Reply with quote







kahin andhera to kahin shaam ho gi
meri har khushi tere naam ho gi
kuch maang k to dekhna mujhse
hontoon pe hassi aur hatheli pe jaan ho gi






Logged
FAREE
Guest
«Reply #477 on: January 15, 2007, 08:38:42 PM »
Reply with quote







Dekh masumiat kalioN ki phooloN ki ibadat chhorh di,
Maali the hum jis bagh ke uski bhi hifazat chhorh di.

FizaN meiN bheegi sham ho tum pyaar meiN chalakta jam ho,
Doonda kiye tumko yahaaN wahaN humne toh shrafat chhorh di.

AkhiyoN mein shrarat aapki, shokhi meiN nazakat aapki,
Aisa bhi ab sharmana kya, humne toh shrarat chhorh di.

Chhalka dooN apni aankh ke maiN ashq tumhaari aankh se,
Aisi hai mahek mere pyaar ki humne woh maharat chhorh di.

Tum laout ke aaoge kabhi tera wada tha har pal yahi,
har Shab jo tira intzaar tha, humne woh aadat chhorh di.

Ghayal jab apno ne kiya, GairoN se ab hai kya gila,
Uthha leiN chahe khanzar sabhi, humne toh khilafat chhorh di.






Logged
FAREE
Guest
«Reply #478 on: January 16, 2007, 09:27:56 PM »
Reply with quote







Chand ka deewanapan to dekhiye
Aafatab to abhi talak gaya bhi nahi
Ki wo aa gaye bewaqt chandani ke deedar ko

Is deewane ka ishq samjhna mushkil
Khud jalta hai chandani ke intzar me
Ya jalata hai chandani ko intzar me

Koi purana aahiq sa lagta hai kabhi
To kabhi diljala sa lagta hai
Na jane kis hisab se chandani se pyar kiya karta hai

Kabhi badlo ke piche se chhup chhup
Chandni ka deedar kiya karta hai
To kabhi na aakar chandani ko saja e ishq bhi diya karta hai

Ajab si kahani hai is deewane ki
Rota nahi magar fir bhi dekhiye
Shabnam se iske ashqo ka hisab mila karta hai

Khabar na lage chandani ko usake jaane ki
Isliye hi shayad wo apana dard chhipa
Dhire dhire muskura kar ojhal hua karta hai

Chand ka deewanapan to dekhiye
Aafatab to abhi talak gaya bhi nahi
Ki wo aa gaye bewaqt chandani ke deedar ko






Logged
FAREE
Guest
«Reply #479 on: January 17, 2007, 07:03:53 PM »
Reply with quote






ghata Ghir Aee Hai Barsaat Bhi Ho Jae Gee Aap Se Meri Mulaqaat Bhi Ho Jae Gee....meri Umeedon Ko Jhuti Hee Tassalli De De Ye Tere Husn Ki Khairaat Bhi Ho Jae Gee Aap Se Meri Mulaqaat Bhi Ho Jae Gee







Logged
Pages: 1 ... 28 29 30 31 [32] 33 34 35 36 ... 40
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:49:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.166 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer