Merra haseen sa ajnabi...R...

by brokenbyluv on May 07, 2010, 08:20:14 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
ReplyPrint
Author  (Read 4646 times)
Rajesh Harish
Guest
«Reply #60 on: May 28, 2010, 09:42:23 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Shihab ji... humein bahut khushi mili ki aapne apna waqt nikaalke hamare is thread ko thoda sa waqt diya aur ise pasand kiya...!!!

aur maafi maangke humein sharminda na karein. Hume bahut achcha laga jo aapne bhi apne kalam se do line yahaan likha. Aur bahut khoob likha hai aapne...!!!

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

tute huye wo ret ke ghar the unko dil na samajhna tum,
        do pal ka wo saath jo tha usko chahat na samajhna tum,

    rag rag me bas mohabbat rahe, dard ki koi jagah na ho,
            tuta hua wo khwaab hi tha, use zindagi na samajhna tum...



Humein ye jaanke bahut achcha laga ki hamari baaton se aapki uljhan sulajhne lagi. Kuch to faida hua hamare likhne ka. Hota yahi hai hum kisi ko chahte hain aur wo humein thukra deta hai to humein aur mohabbat pe vishwas nahi rehta. Aur hum kisi aur ki mohabbat ko nahi samajh paate ya bharosa nahi karte.


main bhi ye samajh sakta hoon dil ka tootna kya hota hai,
zindagi maut tab ban jati hai aur dil har lamha rota hai.


Par koi hota hai jo humein khud se bhi jyaada chahta hai. Kyun hum kisi aur ke gunaah ki saja kisi aur ko de. Yahi soch ke humein koshish karna chahiye ki hum kisi bhi haal me kisi aur ka dil na tutne de... Usual Smile

jyada ho gaya ... bahut padha liya....aaj ke liye itna kaafi hai...  Laughing hard

bahut khoob likha hai aapne.... too good...!!!
 Applause Applause Applause Applause Applause


kyun tum usko yaad karti ho jo tumko hi nahi chahta hai,
kyun uski yaadon me koi yun har lamha aansu bahata hai,

beete huye us waqt ko bhulaake aaj is pal ko sajana hai,
mohabbat kisko kehte hain is jahaan ko aaj dikhaana hai,

koi to hai jo tumhaare liye har lamhaa betaab rehta hai,
zamaane ke zulm ko sehte hue bhi wo kuch na kehta hai,

baari ab hai imtihaan ki, tumne khuda se kiya waada hai,
dekhna hai kiss hadd tak wo waada poora ho paata hai,

chaha hai agar sachche dil se to saath uska nibhana hai,
apne har ghum ko chhipake uske aansuon ko mitana hai,

mera to ye samajhna hai mohabbat hi khuda ki ibadat hai,
sath mehboob ka de na sako to bhala wo kaisi chahat hai.





Nice responses Kapil
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dil haseen hai to mohabbat bhi haseeN paida kur! by SADIQA JAWED in Shayri for Khumar -e- Ishq
Merra pyar... by brokenbyluv in Shayri for Khumar -e- Ishq
Merra naam... by brokenbyluv in Miscellaneous Shayri
**Ek haseen sa ajnabi** by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Vo merra ajnabi...... by brokenbyluv in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
madhuwesh
Guest
«Reply #61 on: May 28, 2010, 09:53:37 AM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Kapil ji very touching lines,great work. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #62 on: May 28, 2010, 12:32:59 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Rajesh ji...!!!


Nice responses Kapil
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #63 on: May 28, 2010, 12:33:56 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Madhu ji...!!!

Wah bahut khoob Kapil ji very touching lines,great work. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #64 on: June 08, 2010, 07:05:51 PM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai aur ek dum sach baat likha hai aapne...!!!

 Applause Applause Applause

shukriya kapil ji...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #65 on: June 08, 2010, 09:18:54 PM »
Reply with quote
Humein ye jaanke bahut achcha laga ki hamari baaton se aapki uljhan sulajhne lagi. Kuch to faida hua hamare likhne ka. Hota yahi hai hum kisi ko chahte hain aur wo humein thukra deta hai to humein aur mohabbat pe vishwas nahi rehta. Aur hum kisi aur ki mohabbat ko nahi samajh paate ya bharosa nahi karte.


main bhi ye samajh sakta hoon dil ka tootna kya hota hai,
        zindagi maut tab ban jaati hai aur dil har lamha rota hai.


Par koi hota hai jo humein khud se bhi jyaada chahta hai. Kyun hum kisi aur ke gunaah ki saja kisi aur ko de. Yahi soch ke humein koshish karna chahiye ki hum kisi bhi haal me kisi aur ka dil na tutne de... Usual Smile

jyada ho gaya ... bahut padha liya....aaj ke liye itna kaafi hai...  Laughing hard

bahut khoob likha hai aapne.... too good...!!!
 Applause Applause Applause Applause Applause


kyun tum usko yaad karti ho jo tumko hi nahi chahta hai,
  kyun uski yaadon me koi yun har lamha aansu bahata hai,

beete huye us waqt ko bhulaake aaj is pal ko sajana hai,
  mohabbat kisko kehte hain is jahaan ko aaj dikhaana hai,

koi to hai jo tumhaare liye har lamhaa betaab rehta hai,
  zamaane ke zulm ko sehte hue bhi wo kuch na kehta hai,

baari ab hai imtihaan ki, tumne khuda se kiya waada hai,
  dekhna hai kiss hadd tak wo waada poora ho paata hai,

chaha hai agar sachche dil se to saath uska nibhana hai,
  apne har ghum ko chhipake uske aansuon ko mitana hai,

mera to ye samajhna hai mohabbat hi khuda ki ibadat hai,
  sath mehboob ka de na sako to bhala wo kaisi chahat hai.




ji bahut sachi aur gehri baate kahi hai apne kapil ji aur ye bhi sahi hai ki agar pehle kisi ne mhbt mein dhokha diya ho tou uske kiye ki sazaa hame kisi dusre ko nhi deni chahiye...


Behte rahe hai ek patte ki tarah is mhbt ki naaw mein,
ab lagne laga hai ki pahuch hi jayenge ishq ki chaaw mein,

der se hi sahi koi tou humsafar mila hai,
jisse sirrf alfazo ka hi nhi sanso ka bhi silsila hai,

haan abhi kuch duriya hai hamare darmiya,
per mehsus karti hu hawao mein uski betaabi ki narmiya,

vo ek ishara kar de tou har doori mita du main,
kitna chahta hai use merra dil use bhi bata du main,

raaho per uske saaye ka intezaar rehta hai mujhe,
kitne bekrar hai vo merre liye har lamha kehta hai mujhe,

uski dhadkano ki awaaz main apne kaano mein sunti hu,
sang uske ek khushaal jivan k sapne main bunti hu,

bus ab ye intezaar ho jaye khtam phir hum bhi kisike humnawa ho jayenge,
bhoola kar apne saare dard-o-gam uski zulfo k saaye mein chain se so jayenge......
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #66 on: June 20, 2010, 09:35:59 PM »
Reply with quote
Bilkul sahi kaha aapne Geet ji aur bahut bahut khoob likha hai...!!!
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


kisi ke gunaahon ki sazaa kisi aur ko nahi de sakte,
    kisi ki bewafai ke kaaran ishq ko dard nahi keh sakte,

ishq to meetha nasha hai to saanso me samaa jaata hai,
    ek baar mar jaane se ishq ko zeher to nahi keh sakte,

kisi hawa ke jhaunke se dil tutke bikhar sakta hai,
    par har hawa ke jhaunke ko toofaan to nahi keh sakte,

hote hain kuch log jo pyaar chhal ke liye karte hain,
    par har aashiq ko iske liye bewafaa to nahi keh sakte,

khata wo hamari thi use waqt pe pehchaan na sake hum,
    par iske liye hum khudko gunehgaar to nahi keh sakte...
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #67 on: June 22, 2010, 08:05:49 AM »
Reply with quote
Ehsaas-o-jazbaat se bharpoor aik shandaar tehreer hai. PaRh kar achchha laga. Isi tarah likhte rahiye.

(Waquif Ansari)

Har pal har lamha khoya rehta hai merri chah mein,
uska har tasavur mujhe uske kareeb le jata hai,

jab main ajati hu samne tou chaunk jata hai,
merre jane k baad mujhe bulane k bahane banata hai,

yu tou bekrar rehta hai merri jhalak pane ko,
jab main nazre milati hu tou itrake dikhata hai,

merri baato se uski muskaan hazar guna badh jati hai,
per merri gair hazari mein merre ghar ko dekh vo ansu bahata hai,

bechain reheta hai mujhse milne k liye,
paas aate hi apni chaht se har baar merri bekrari badhata hai,

nadaan hai sayana bhi hai aur merri jaan bhi,
kabhi baate ansuni kar deta hai tou kabhi bahut apnapan jatata hai,

o merre yaaro aesa hi hai merra haseen sa ajnabi..
jo mujhe satata hai manata hai tou kabhi haule se aake sine se lag jata hai......

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #68 on: June 22, 2010, 03:39:31 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya waqif ji...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #69 on: June 23, 2010, 04:30:11 PM »
Reply with quote
Bilkul sahi kaha aapne Geet ji aur bahut bahut khoob likha hai...!!!
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


kisi ke gunaahon ki sazaa kisi aur ko nahi de sakte,
    kisi ki bewafai ke kaaran ishq ko dard nahi keh sakte,

ishq to meetha nasha hai to saanso me samaa jaata hai,
    ek baar mar jaane se ishq ko zeher to nahi keh sakte,

kisi hawa ke jhaunke se dil tutke bikhar sakta hai,
    par har hawa ke jhaunke ko toofaan to nahi keh sakte,

hote hain kuch log jo pyaar chhal ke liye karte hain,
    par har aashiq ko iske liye bewafaa to nahi keh sakte,

khata wo hamari thi use waqt pe pehchaan na sake hum,
    par iske liye hum khudko gunehgaar to nahi keh sakte...


shukriya kapil ji...


Ye sach hai ki har prem kahani adhuri nhi hoti,
ye bhi sach hai ki jahan mein ishq ki kami nhi hoti,

ek dil se zakham kha kar toot jana tou bewakufi hai,
mumkin hai mhbt ka asman mil jaye har pal naseeb mein zameen nhi hoti,

muskurana tou padta hai har haal mein rehkar bhi,
warna ishq ki virani mein rehkar bhi zindgi shabhnami nhi hoti,

mhbto mein manzil ka haasil hona thoda mushkil sa lagta hai,
kyunki chahto ki raahe hamesha tilismi nhi hoti,

aksar faslo se rishte aur bhi gehre ho jate hai,
aur sache sathi ki judai se ankho mein kabhi gum ki nami nhi hoti.........



Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #70 on: June 29, 2010, 12:30:38 AM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai aapne Geet ji... abhi humse kuch ban nahi raha hai... jaise hi ban paayega hum jawaab likhenge aur post karenge....!!!

shukriya kapil ji...


Ye sach hai ki har prem kahani adhuri nhi hoti,
ye bhi sach hai ki jahan mein ishq ki kami nhi hoti,

ek dil se zakham kha kar toot jana tou bewakufi hai,
mumkin hai mhbt ka asman mil jaye har pal naseeb mein zameen nhi hoti,

muskurana tou padta hai har haal mein rehkar bhi,
warna ishq ki virani mein rehkar bhi zindgi shabhnami nhi hoti,

mhbto mein manzil ka haasil hona thoda mushkil sa lagta hai,
kyunki chahto ki raahe hamesha tilismi nhi hoti,

aksar faslo se rishte aur bhi gehre ho jate hai,
aur sache sathi ki judai se ankho mein kabhi gum ki nami nhi hoti.........




Logged
Aryaan
Guest
«Reply #71 on: June 29, 2010, 01:11:02 AM »
Reply with quote
Bohat Khoob BrokenByLuv & Kapil Nice Reply.. Applause
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #72 on: June 29, 2010, 01:30:47 AM »
Reply with quote
ITANE LOGON KI JUGALBANDI!BAHUT HI BEHTAREEN!KAPIL JI, GEET JI ,SHIHAB JI BAHUT ACHCHE!
DARD-E-DIL EK HAI BAYAAN APNA APNA.....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #73 on: June 29, 2010, 01:35:38 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Aryaan ji...!!!

Bohat Khoob BrokenByLuv & Kapil Nice Reply.. Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #74 on: June 29, 2010, 01:36:19 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Mamta ji...!!!

ITANE LOGON KI JUGALBANDI!BAHUT HI BEHTAREEN!KAPIL JI, GEET JI ,SHIHAB JI BAHUT ACHCHE!
DARD-E-DIL EK HAI BAYAAN APNA APNA.....
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 02:53:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer