MILAN

by Jiya on April 09, 2007, 05:25:18 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1996 times)
Jiya
Guest
Reply with quote


Kahun kya usMilan ke liye main,
Jab Nazre Nazron se takraayi thin,
Jaise Duniya kahin Ruk si gayi,
jab Jhuka ke Palke wo Muskuraai thi.

Kahun kya us Milan ke liye main,
Jab mere Haatho mein Haath usne diya tha,
Jaise wo Ghadiyan kahin Tham si gayi thin,
Jab ek Sundar Safar mein usne mera saath diya tha.

Kahun kya us Milan ke liye main,
Jab Labo ne Labo ko chhua tha,
Jaise Dhadkan kahin Ruk si gayi,
Jab Hajaaro Janamo ko meine uske saath Jiya tha.

Kahun kya us Milan ke liye main,
Jab do Jism ek Jaan hue the hum,
Jaise Raat kahin Tham si gayi,
Jab Pyaar ke Saagar mein yun doob gaye the hum.........

Kahun kya us Milan ke liye main ,.......
Kahun kya is Milan ke liye main,..........


-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-..-.-.-.--.-.-.-.-.-.-.jiya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Song of Milan. by Deewan_E_Aalam in Songs & Lyrics
~~* Milan *~~ by Naya_Daur in Shayri for Khumar -e- Ishq
Milan ke sath Judai..... by Pooja in Shayri for Dard -e- Judai
MILAN by guljafri in Shayri for Dard -e- Judai
milan hamara kara de by Daredevil in Shayri for Khumar -e- Ishq
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: April 09, 2007, 05:35:59 PM »
Reply with quote
Marvalous....Jiya..!

Chayi hai Raat Chandani.....
Aur Do Dilon ki Milan ki Ghadi aayi hai.....

Barsegi ki Justju Sanam ki.....
Jaise Khushion ne Zindagi me lee Angdai hai.....!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: April 10, 2007, 06:16:50 PM »
Reply with quote
Wah Wah Wah… bahoot hi payaar se payaar ke Milan ko likha hai apne Jiya…
Bahoot sunder….

Good reply Badnaam Shayar ji…

Milan tha wo do rooho ka
Jisam ka Milan kah sakti nahi

Ek Tadap miti, kai tadap jagi
Sampuran milan abhi kah sakti nahi

Hua hai safar abhi sath sath shuru
Manjil isse abhi kah sakati nahi

Jiyu tere sung apna her ek janam
Ek janam ke sath ko MILAN kah sakti nahi!!!
Logged
*DeSi KuRi WaLaIti sTyLe*
Guest
«Reply #3 on: April 11, 2007, 11:17:07 PM »
Reply with quote
**Jab se hua hai woh kbhwab ki tarah,
Zindagi guzar rahi hai azaab ki tarah,
Khushbu ki kalam se likhe the shayad us ne khat,
Har lafz mehek raha hai gulab ki tarah,,,,,***
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #4 on: April 15, 2007, 04:36:21 AM »
Reply with quote
Har janam adhura raha hai tere bina
Is Janam gale lag kar mujhe poora kar de

jeena chahta hu tere sung mein har lamha
meri har uljhan ko aapne payaar mein sulja de

Tadap mann ki na samjh ,tu koi jismani hawas
aapne sath se,mera vishwas aor bhi gehra kar de

hu main tera,aor tera ban kar hi jeeu-maaru
tu bhi yeh baat kar ke,meri trishana bhar de....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: April 15, 2007, 04:39:32 AM »
Reply with quote
bahoot khoob DKWS AND BD ji... hamesha ki tarah dil se ... bahoot hi gahra aor payara likha hai...
Logged
Jiya
Guest
«Reply #6 on: June 29, 2007, 10:14:03 AM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Marvalous....Jiya..!

Chayi hai Raat Chandani.....
Aur Do Dilon ki Milan ki Ghadi aayi hai.....

Barsegi ki Justju Sanam ki.....
Jaise Khushion ne Zindagi me lee Angdai hai.....!!!!

[/i][/b] thanx a lot,, nd thanx 4 yr nice reply.

kitni chandni raat hai yun chaand ke khil jaane se,
har raat hai huseen humaare aapke mil jaane se,
ab to rokna hai hume aapko kisi bhi bahaane se,
is ghadi ka humko inzaar tha kitne jamane se.

******************************** jiya.......

Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: June 29, 2007, 03:18:44 PM »
Reply with quote
wah kaya jawab diya hai Jiya apne.. too good!!
Logged
Jiya
Guest
«Reply #8 on: June 30, 2007, 08:06:14 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Wah Wah Wah… bahoot hi payaar se payaar ke Milan ko likha hai apne Jiya…
Bahoot sunder….

Good reply Badnaam Shayar ji…

Milan tha wo do rooho ka
Jisam ka Milan kah sakti nahi

Ek Tadap miti, kai tadap jagi
Sampuran milan abhi kah sakti nahi

Hua hai safar abhi sath sath shuru
Manjil isse abhi kah sakati nahi

Jiyu tere sung apna her ek janam
Ek janam ke sath ko MILAN kah sakti nahi!!!
wah!!!!! didi aapne bohot hi pyaara reply diya,,,,, kafi sochne par majboor kar diya tha,,,, isliye der ho gayi javaab dene mein ,,,,,,, bohot khoob. :D

haan wo milan milan hi nahin ,
jo milan rooho ka na ho,
wo mohabbat mohabbat hi nahin ,
jisme milan ki koi tadap na ho.

naam hai milan samarpan ka,
aur mohabbaht iski pooja,
milan wo rang hai mohabbat ka,
jiske rang sa na rang koi dooja.

****************************** jiya ....


Logged
paani
Guest
«Reply #9 on: July 02, 2007, 06:01:58 AM »
Reply with quote
Quote from: "Jiya"


Kahun kya usMilan ke liye main,
Jab Nazre Nazron se takraayi thin,
Jaise Duniya kahin Ruk si gayi,
jab Jhuka ke Palke wo Muskuraai thi.

Kahun kya us Milan ke liye main,
Jab mere Haatho mein Haath usne diya tha,
Jaise wo Ghadiyan kahin Tham si gayi thin,
Jab ek Sundar Safar mein usne mera saath diya tha.

Kahun kya us Milan ke liye main,
Jab Labo ne Labo ko chhua tha,
Jaise Dhadkan kahin Ruk si gayi,
Jab Hajaaro Janamo ko meine uske saath Jiya tha.

Kahun kya us Milan ke liye main,
Jab do Jism ek Jaan hue the hum,
Jaise Raat kahin Tham si gayi,
Jab Pyaar ke Saagar mein yun doob gaye the hum.........

Kahun kya us Milan ke liye main ,.......
Kahun kya is Milan ke liye main,..........


-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-..-.-.-.--.-.-.-.-.-.-.jiya


So good to read
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:37:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer