Milte agar hum

by Pooja on January 17, 2008, 12:04:38 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2565 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
Milte agar hum to kaya haal hota
Soch soch kar yahi boora hai mera haal hota

Dhadkati dhadkano ka shor hota
Nachta man ka more hota

Lub kahte hue rukte, khamoshi ka sath hota
Kahte kahte ruk jaati juban, bechaini ka raag hota

Najro se najro ka phir takraar hota
Milte gale ya hatho main hath hota

lagte jab tere seene se, badan mai sihran ka raj hota
Kampkapate hontho pe tere hontho ke sungam ka saz hota

Thirkate tan se anchal ka hataaw hota
Madhuban mai mehkata her ek khawab hota

Milte agar hum to kaya haal hota
Soch soch kar yahi boora hai mera haal hota!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tum hi milte to accha tha by yasir_sensitive in Ghazals
Manzil Milte Milte Reh Gai by Devdas_online in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Jab bhi milte the...Ajanabi ki tarah milte the by zahidbarelvi in Shayri for Khumar -e- Ishq
ghar nahin milte. by yati_om in Ghazals
Tum hi milte to acha tha! by ehsaas chahat ka in Share: Poetry of Pain
honeyrose
Guest
«Reply #1 on: January 17, 2008, 09:13:15 AM »
Reply with quote
Bohat acha likha hai pooja aapne  Usual Smile
Logged
jassworld
Guest
«Reply #2 on: January 17, 2008, 10:05:15 AM »
Reply with quote
Pooja ji kya likha hai aapne...hum to kayal ho gaye aapke...
Aise hi likhte rahiye..!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: January 17, 2008, 03:49:35 PM »
Reply with quote
thanks honey and Jass!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: January 17, 2008, 03:51:32 PM »
Reply with quote
Very nice Pooja....jazbaaton ka bohot achcha expression hai poem main.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: January 17, 2008, 03:55:36 PM »
Reply with quote
Thanks Talat!!!

Logged
FArah
Guest
«Reply #6 on: January 17, 2008, 04:41:41 PM »
Reply with quote
ONSAY NHI MILAY TU ZINDA HE HUM
WARNA NA ARZOO HOTI NA JAN HOTI
-------------------------------
EK AHSAS NA ZINDA RAKHA H
WOH BHOOK NH PR  PYAS H
MIT JATI AGR YAH PAYS
TU BATA KY TUJHAY JENAY KI AS HOTI?

BUHAT HI KHUBSURAT LIKHA H AP NA POOJA GEE.ASSAY HI LIKHATY RAHA KARAY.BEST WISHES

Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: January 17, 2008, 04:44:40 PM »
Reply with quote
Thanks FArah.. nice lines
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #8 on: January 17, 2008, 10:33:08 PM »
Reply with quote
Again Beautifully Crafted PoojaJi.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: January 17, 2008, 10:36:11 PM »
Reply with quote
bahoot bahoot shukaria Ravi ji!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: January 18, 2008, 02:43:44 AM »
Reply with quote
Milte agar hum to kaya haal hota
Soch soch kar yahi boora hai mera haal hota

Dhadkati dhadkano ka shor hota
Nachta man ka more hota

Lub kahte hue rukte, khamoshi ka sath hota
Kahte kahte ruk jaati juban, bechaini ka raag hota

Najro se najro ka phir takraar hota
Milte gale ya hatho main hath hota

lagte jab tere seene se, badan mai sihran ka raj hota
Kampkapate hontho pe tere hontho ke sungam ka saz hota

Thirkate tan se anchal ka hataaw hota
Madhuban mai mehkata her ek khawab hota

Milte agar hum to kaya haal hota
Soch soch kar yahi boora hai mera haal hota!!!


Milte agar hum to pyar bara shaam hota
Dil main pyar hai wo haqikat main bayan hota

Mann ka panchi chitchor bana hota
Preet ke mare mai mer jau... aisa haal mera hota

Chudiyan khankati sharmati "Roja" ka haal hota
Dekhu piya ki ek jalak, magar,
Chehra mera ghoongat main chupa hota

Mukh chupaye payal bajaye nain se ki ishara hota
Mann piya piya pukara hota

Raat ka tara ishara bana chand bana humjoli re..
Laaj ke mare chehra piya ke seene main chupaya hota


Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: January 18, 2008, 05:15:08 PM »
Reply with quote
WAH Roja bahoot hi khubsurat likha hai!!

Milte agar hum to kaya ahsaas hota
Dhadkate dil mai kaya kaya zazbaat hota

Behte ankho se ansoo, ya lub khilkhilate
Ya dono ke sungam ka, ek sath ahsaas hota

Karte dher sari baatein, ya chup muskurate
Chalte sath sath aor hatho mai hath hota

Rukte phir bahane se, dekhene ko ankhien
Nigaho hi nigaho main, umardta wo pyar hota

Baith kar kahin, seene se tere lag jaate
Ruk jaaye ab pal yahin, aisa vichar hota

Milte agar hum to kaya ahsaas hota
Dhadkate dil mai kaya kaya zazbaat hota…….
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: February 21, 2008, 04:58:47 PM »
Reply with quote
Bahut khooob pooja...rojaji aapne bhi bahut acha likha hai..

pyaar karte ho par iss baat se
phir anjaan kyon ban jaate ho...

jaanta hoon, aapke dil ki dhadkan ki
bhi tez hoti hai ishq mein,
par kabhi khud ko kyon nahi sunate ho??

samaj nahi aata, mera imtehaan lete ho
ya khud ko aazmaate ho??

zubaan ko apni khamosh rakte ho to kya hua??
aankhon se to pyaar jhalkate ho...

jinhe aap ke bin jeena na aaye
unhe hi kyon tadpaate ho??

Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: February 21, 2008, 05:07:16 PM »
Reply with quote
shukaria khwaish ji!!! bahoot acha likha hai apne!!

Likhne ka mood nahi, phir bhi koshish kar rahi hu:

Pyar ko juban se samjhaye  kyun
Ahiq ko na sataye, kyun tongue3

Dil ki dhadkano mai ragini hai teri
Phir tujh ko hi yah geet sunaye kyun

Imteehan Husan leta raha hai Ashiq ka
Phir humse yah sawal, kyun

Pad lete ho ankhia jo app humari
Phir humari khamoshi per aitraaz, kyun

Jo jee nahi sakte bin humare
Unke honto per bhi nahi ikraar, kyun
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #14 on: December 29, 2008, 11:20:44 AM »
Reply with quote
Milte agar hum to kaya haal hota
Soch soch kar yahi boora hai mera haal hota

Dhadkati dhadkano ka shor hota
Nachta man ka more hota

Lub kahte hue rukte, khamoshi ka sath hota
Kahte kahte ruk jaati juban, bechaini ka raag hota

Najro se najro ka phir takraar hota
Milte gale ya hatho main hath hota

lagte jab tere seene se, badan mai sihran ka raj hota
Kampkapate hontho pe tere hontho ke sungam ka saz hota

Thirkate tan se anchal ka hataaw hota
Madhuban mai mehkata her ek khawab hota

Milte agar hum to kaya haal hota
Soch soch kar yahi boora hai mera haal hota!!!

wah wah kya khayal hain...aur kya khubsoorti se unhe sabdon me sajaya hai aapne
Padh kar outhti he tarange dil me
ye to kamaal hai.....kamaal hai!!!

Tarango se nikli ye kuchh panktiye....

Milte agar hum to missal-e-yaar hota
Sharamo-haya se ye gaal laal hota

Aankho-he-aankho  me ikrar hota
Isharo-isharo me jab baat hota

Labo pe  tere-mere  rukhsar hota
Shiharte badno me gazab ka taap hota

Mahakta gulshan aur khumaar hota
Har taraf bus mauseme bahaar hota

Milte agar hum to bus ye haal hota
Soch soch kar jiya mera bekarar hota

Anaam
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:04:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer