Mizaaz Tumhari Udaasi Ka

by Nirbhay on March 01, 2007, 06:41:53 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1917 times)
Nirbhay
Guest
«Reply #15 on: June 23, 2007, 05:13:06 AM »
Reply with quote
Shukriya Mohtarma!!!

Quote from: "Roja"
Aur toda kareeb ho jata
Pyar tera naseeb ho jata

Rang tera ajeeb ab dekhu
Rang mera ajeeb ho gaya

Pyar tera agar mujhe milta
Bada khushnaseeb ho jata

Janti gar gareeb pyare hai
Mai kasam se gareeb ho jata

Phool hai "Roja" ek dali ke
Kyu alag hai naseeb ho jata?



:arrow: Aapki Peshkash Bhi Behtareen Hai..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
!!.AShiQue-e-Mizaaz.!! by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq
~*ShOcKeD.... on Shayaraana Mizaaz*~ by Shikha12 in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 3  All »
Mera mizaaz chodiye/ ......................PWFs by pankajwfs in Ghazals « 1 2  All »
Mausam Ka Mizaaz...........Touhid by Mohammad Touhid in Miscellaneous Shayri
Nirbhay
Guest
«Reply #16 on: June 23, 2007, 05:35:48 AM »
Reply with quote
Door Hi sahi Par Tum mere kareeb Sii ho
Khush Na sahi, par Khush naseeb Sii Ho

Aaine mein Dekhti Ho Chehra apna
Koi Kuch Keh de, aur wo Tumhari Tareef sii Ho

Muhobaat Kisiki Tum Jo paaye Na sake
Bikharti Rutt, Tum Hareef Sii Ho.

Ishq Kya Jaane Kisi Jaati Ka Darja.H
Gareebi Aor Ameer Sabb Ek Sii Ho

Mujhko Dekh Kar Dil Ko Tasalli de lo
Khush Na sahi, par tum Khush naseeb Sii Ho....
Logged
Roja
Guest
«Reply #17 on: June 24, 2007, 10:36:17 AM »
Reply with quote
hmmm...  Puzzled ! Neer..... Keep flowing.... Usual Smile

Kabhi yu bi aa meri aankh main
Ke meri nazar ko khaber na ho
Mujhe ek raat nawaz de
Magar us ke baad sehar na ho

Woh bara Rehim-o-Kareem hai
Mujhe ye sift bhi aata hai
Tujhe bhoolne ki dua karu
Toh dua main meri asar na ho

Kabhi din ki dhoop main jhoom ke
Kabhi shab ke phool choom kar
Yu hi Saath Saath chale sada
Kabhi katam apna safar na ho

Mere pass mere Habib aa
Zara aur dil ke Kareeb aa
Tujhe dharkanon main basa lu Mai
Ke bicharne ka kabhi darr na ho
 :razz:  :razz:

Roja
[/color]
Logged
Nirbhay
Guest
«Reply #18 on: June 25, 2007, 03:25:40 PM »
Reply with quote
Bohat hi khumaar Bhari kalam, Aafreen!!!
------------------------------------------------

Bohat Likhey hain aaj Jazbaat-e-dil
Unhein zara gour se nazar karna

fursat miley na miley milney ki
Tanhai mein mujhe yaad zuroor karne

Waise to Khudai apni muhabaat ke kaam na aayi
Par apne milan ki sajni, fariyad zarur karna

Badaa Haseen lagta hai Khwaab raat ka
Bahoon mein bharna, Tere sath safar karna.

Ho Khwabon mein hi sahi, par sath tumhara
Mere Dilbar tujhe apni Nazron mein bharna

Dhadkane mil gayin hain tujhse ae habib dil ki
Abb mushkil hai Dil se Dhadkan ka Bichadna!!
[/color]
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:56:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer