MOHABAT KA ASEER [Asghr

by Asghr on February 17, 2009, 07:57:36 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1724 times)
Asghr
Guest
Reply with quote

IN DINO KISI KI MOHABAT KA ASEER HOOHN MAIN
WO MERI RANI HAI UHS KA VAZEER HOOHN MAIN
JO KISI K PYAR MAIN JAL KAR RAKH HO CHUKA
AISA JALA HUA AIK SHREER HOOHN MAIN
MERE PYAR KO IK BAR AZMA KAR TO DAIKHAY
WO KYA JAANE WAFA KI AIK TASVEER HOOHN MAIN
MERE SAPNO MAIN WO AAH KAR KEHTI HAI
K UHS K KHWABOHN KI TABEER HOOHN MAIN
MUJE DUNIYA KI DAULAT SE BHLA KYA LAINA
PYAR KI DAULAT MANGNE WALA FAQEER HOOHN MAIN
AISA LAGTA HAI WO ABI MERE KAAN MAIN KEHE GI
ASGHR TOO MERA RANJAH TERI HEER HOOHN MAIN
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: February 17, 2009, 08:03:42 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah wah wah yah khumar-e-Ishaq ki kavita Misc main kyun Asghr ji!!! Agar appko sahi lage to main ise khumar-e-Ishaq main move karna chahti hu!!!!!

Hamesha ki tarah simple shabd, gahre arth,,, bahoot he pyari kavita likhi hai apne... ek ek shabd madhur sangeet ko mehsoos karata hua... bahoot khoob.. Good Work, Good Creation... Beautiful Thoughts.
Logged
Asghr
Guest
«Reply #2 on: February 17, 2009, 08:07:44 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah wah wah yah khumar-e-Ishaq ki kavita Misc main kyun Asghr ji!!! Agar appko sahi lage to main ise khumar-e-Ishaq main move karna chahti hu!!!!!

Hamesha ki tarah simple shabd, gahre arth,,, bahoot he pyari kavita likhi hai apne... ek ek shabd madhur sangeet ko mehsoos karata hua... bahoot khoob.. Good Work, Good Creation... Beautiful Thoughts.

plz do so ,i didnt think it was up to that standard, thanks Pooja ji.asghr
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: February 17, 2009, 08:09:26 PM »
Reply with quote
Moved in Khumar-e-Ishaq from Misc. By Pooja!!!
Logged
ANAAMIKA
Guest
«Reply #4 on: February 17, 2009, 08:49:23 PM »
Reply with quote
Asghrji achha lika he aapne....per main "ASEER" ka matlab nahi samaz saki..
Poetry me bhav aap ke bahoot ulte hain...

kram ya sequence kuchh jacha nahi..
'JAL KAR RAKH....JALA HUA SHAREER"
Iske baad kya bacha jo koi dekhega ?

Fir Tasveer tou haquikat nahi, aur sapno ka kya bharosa ?
Faqeer se aaj ki Heer NAHI kahegi,use tou daulat se he  hai lena dena...

Fir bhi khayaal apne apne hai...Bura mat lagyega, ye tou yu hi teeka kar di maine....Aal kal jamaana he kuchh aysa hai !!!

IN DINO KISI KI MOHABAT KA ASEER HOOHN MAIN
WO MERI RANI HAI UHS KA VAZEER HOOHN MAIN
JO KISI K PYAR MAIN JAL KAR RAKH HO CHUKA
AISA JALA HUA AIK SHREER HOOHN MAIN
MERE PYAR KO IK BAR AZMA KAR TO DAIKHAY
WO KYA JAANE WAFA KI AIK TASVEER HOOHN MAIN
MERE SAPNO MAIN WO AAH KAR KEHTI HAI
K UHS K KHWABOHN KI TABEER HOOHN MAIN
MUJE DUNIYA KI DAULAT SE BHLA KYA LAINA
PYAR KI DAULAT MANGNE WALA FAQEER HOOHN MAIN
AISA LAGTA HAI WO ABI MERE KAAN MAIN KEHE GI
ASGHR TOO MERA RANJAH TERI HEER HOOHN MAIN
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: February 17, 2009, 08:57:38 PM »

Ek baar phir se aapne bohot khoobsurat kalaam likha hai Asghr Ji....Is ke maa'ene gehre hain jinko samajhne ke liye insaan ko is ghazal ke ek ek sher ki gehraayi main jaana hoga.....aur tabhi har sher ka maqsad samajh aa sakta hai kisi ko.!!

Bohot Khoob Asghr Ji, yunhi likhte rahen !!
Logged
Asghr
Guest
«Reply #6 on: February 17, 2009, 09:05:53 PM »
Reply with quote
Ek baar phir se aapne bohot khoobsurat kalaam likha hai Asghr Ji....Is ke maa'ene gehre hain jinko samajhne ke liye insaan ko is ghazal ke ek ek sher ki gehraayi main jaana hoga.....aur tabhi har sher ka maqsad samajh aa sakta hai kisi ko.!!

Bohot Khoob Asghr Ji, yunhi likhte rahen !!
CELMIRA JI YEH APNI PASAND KI BAAT HAI,KISI AIK KO KOI BAAT ACHI LAGTI HAI TO DOOSRE KO WO ACHI NAHIN LAGTI WO KEHTE HAIN NA YOU CANT PLZ EVERY BODY ALL THE TIME.ASGHR
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: February 17, 2009, 09:11:28 PM »
Reply with quote

Mohabbat in dino jawaa.n hai
Mehka hua sa gulistaa.n hai

Hara bhara ek darakht wo jaise,
Jahan agar ye registaa.n hai

(Darakht = tree)

Zindagi uske bin taareek hoti,
Uske wajood se darakshaa.n hai

(Taareek = Dark; Darakshaan = Bright)

Koi aur manzar aankhon main nahin
Har taraf wo hi jalwa-numaa.n hai !!

Logged
Asghr
Guest
«Reply #8 on: February 17, 2009, 09:20:20 PM »
Reply with quote
Mohabbat in dino jawaa.n hai
Mehka hua sa gulistaa.n hai

Hara bhara ek darakht wo jaise,
Jahan agar ye registaa.n hai

(Darakht = tree)

Zindagi uske bin taareek hoti,
Uske wajood se darakshaa.n hai

(Taareek = Dark; Darakshaan = Bright)

Koi aur manzar aankhon main nahin
Har taraf wo hi jalwa-numaa.n hai !!

KYA BAAT HAI CELMIRA JI MAZA AAH GYA YOU HAVE MADE MY DAY KHUDA AAP KO SDAA KHUSH RAKHE.ASGHR
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: February 17, 2009, 09:31:00 PM »
Reply with quote
Bohot bohot shukriya Asghr Ji, taareef ka bhi, aur duaaon ka bhi.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: February 17, 2009, 10:39:10 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai... bahoot khoob celmira!!
Logged
pandit
Guest
«Reply #11 on: February 17, 2009, 11:09:05 PM »
Reply with quote

IN DINO KISI KI MOHABAT KA ASEER HOOHN MAIN
WO MERI RANI HAI UHS KA VAZEER HOOHN MAIN
JO KISI K PYAR MAIN JAL KAR RAKH HO CHUKA
AISA JALA HUA AIK SHREER HOOHN MAIN
MERE PYAR KO IK BAR AZMA KAR TO DAIKHAY
WO KYA JAANE WAFA KI AIK TASVEER HOOHN MAIN
MERE SAPNO MAIN WO AAH KAR KEHTI HAI
K UHS K KHWABOHN KI TABEER HOOHN MAIN
MUJE DUNIYA KI DAULAT SE BHLA KYA LAINA
PYAR KI DAULAT MANGNE WALA FAQEER HOOHN MAIN
AISA LAGTA HAI WO ABI MERE KAAN MAIN KEHE GI
ASGHR TOO MERA RANJAH TERI HEER HOOHN MAIN

gud one ashgar..Vazeer
Logged
Asghr
Guest
«Reply #12 on: February 18, 2009, 12:14:18 AM »
Reply with quote
thanks Padit ji.asghr
Logged
pandit
Guest
«Reply #13 on: February 18, 2009, 12:35:18 AM »
Reply with quote
thanks Padit ji.asghr

u most welcome asghr....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #14 on: February 18, 2009, 08:37:34 AM »
Reply with quote
waah Kya Khoob Ahsgr Bhaiya, Bohat Bohat Badhiya,.

And Nice One Talat Sis,.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:52:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer