Mohabbat Dilon Mein Zinda Ho To Zindagi Asaan Hai.........

by khwaish on May 18, 2009, 02:21:57 PM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3602 times)
Pooja
Guest
«Reply #30 on: December 20, 2009, 05:35:30 PM »
Reply with quote
Haqeeqat Ke Rang Mein Jo Khil Jaaye,
Kuch Aise Khwaab Lagte Ho,
Khuda Ne Bakshi Hai Jo Zindagi Meri Duayon Ko,
Unn Duayon Ka Jawaab Lagte Ho....

Teri Hi Justujoo Hai, Teri Hi Aarzoo,
Zindagi Ke Har Panhe Par Zikr Hai Aapka,
Meri Zindagi Ki Kitaab Lagte Ho....

Mumkin Hai Kabhi Main Khud Se Fareb Karoon,
Par Tujhse Waffa Na Karoon To Mar Jaau!!!
Meri Inn Ankhon Ke Aaene Mein Chehra Hai Aapka,
Nazrein Kehti Hai Ke Aap Hi Husn-e-Aaftaab Lagte Ho....

Jab se Aaye Ho Zindagi Mein,
Mehak Utha Hai Yeh Gulshan Mera!!!
Mere Iss Kaanton Se Bhare Gulshan Mein,
Aap Hi To Ek mehakta Hua Gulaab Lagte Ho.....

Khushiyon Ki Talaash Mein,
Bhatakta Raha Main Dar-Badar,
Tujhe Paakar Mehsoos Hua Hai Kuch Yuh,
Ke Aap Hi Haasil-e-inthekaab Lagte Ho....

Kehte Hai log Ke Apne Nek Karmo Ka Bhi,
Hisaab Hota Hai Khuda Ke Paas!!
Aap hi Mere Nek Karmo Ka Falsafa Ho,
Aap Hi Woh Hisaab Lagte Ho....

"Khwaish" Kehta Hai Ke Mohabbat Dilon Mein Zinda Ho To,
Zindagi Ka Safar Asaan Hai!!!
Aap Hi Suraj Ki Woh Pehli Kiran Ho,
Aap Hi Chandni Raat Ki Woh,
Chandni Mehtaab Lagte Ho....

         ~~~~~Khwaish~~~~~



what a Emotions..... bahoot khoob... bahoot khoobsurati se apne apni bhawnaao ko kavita mai utara hai... ek ek shabd apke dil ka haal kah raha hai... Good work..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #31 on: July 19, 2010, 07:01:23 AM »
Reply with quote
HUMARA KHAYAAL BHI AAPKE BAARE YEHI HAI
VERY NICE

Mere baare mein Aapka Yeh khayal Kaisa?? icon_scratch

Aapne Apna Waqt diya,Teh dil Se Shukriya Aapka.. icon_flower
Logged
a loner
Guest
«Reply #32 on: August 19, 2010, 06:24:15 AM »
Reply with quote
you are definetely a poet by heart,ijust love your poetries man.
keep on rocking
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #33 on: September 03, 2010, 06:50:56 PM »
Reply with quote
Bahot bahot khoob likha hai Khwaish bhai,awesome n touchy poem,very nice

Thankyou Sooooooooooo much Kaashji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #34 on: September 05, 2010, 06:34:09 PM »
Reply with quote
Haqeeqat Ke Rang Mein Jo Khil Jaaye,
Kuch Aise Khwaab Lagte Ho,
Khuda Ne Bakshi Hai Jo Zindagi Meri Duayon Ko,
Unn Duayon Ka Jawaab Lagte Ho....

Teri Hi Justujoo Hai, Teri Hi Aarzoo,
Zindagi Ke Har Panhe Par Zikr Hai Aapka,
Meri Zindagi Ki Kitaab Lagte Ho....

Mumkin Hai Kabhi Main Khud Se Fareb Karoon,
Par Tujhse Waffa Na Karoon To Mar Jaau!!!
Meri Inn Ankhon Ke Aaene Mein Chehra Hai Aapka,
Nazrein Kehti Hai Ke Aap Hi Husn-e-Aaftaab Lagte Ho....

Jab se Aaye Ho Zindagi Mein,
Mehak Utha Hai Yeh Gulshan Mera!!!
Mere Iss Kaanton Se Bhare Gulshan Mein,
Aap Hi To Ek mehakta Hua Gulaab Lagte Ho.....

Khushiyon Ki Talaash Mein,
Bhatakta Raha Main Dar-Badar,
Tujhe Paakar Mehsoos Hua Hai Kuch Yuh,
Ke Aap Hi Haasil-e-inthekaab Lagte Ho....

Kehte Hai log Ke Apne Nek Karmo Ka Bhi,
Hisaab Hota Hai Khuda Ke Paas!!
Aap hi Mere Nek Karmo Ka Falsafa Ho,
Aap Hi Woh Hisaab Lagte Ho....

"Khwaish" Kehta Hai Ke Mohabbat Dilon Mein Zinda Ho To,
Zindagi Ka Safar Asaan Hai!!!
Aap Hi Suraj Ki Woh Pehli Kiran Ho,
Aap Hi Chandni Raat Ki Woh,
Chandni Mehtaab Lagte Ho....

         ~~~~~Khwaish~~~~~


Mujhje to app shayar kamaal lagte ho!!!!  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
dil khush ho gaya.... bahoot khoob!!!
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 09:44:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer