Mohabbat ek hakikat hai......

by bhambra on June 25, 2005, 07:13:29 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 23
ReplyPrint
Author  (Read 25300 times)
mrugeshparikh
Guest
«Reply #90 on: July 01, 2005, 08:58:56 AM »
Reply with quote
BAHUT DOOR JANE KO JEE CHAHTA HAI
UNHE AZMAANE KO JEE CHAHTA HAI
HUME UNSE KOI SHIKAYAT NAHIN HAI
YOOHIN ROTE JAANE KO JEE CHAHTA HAI
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hakikat mein Gar wo by harashmahajan in Ghazals
hakikat by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
Muhabbat ki hakikat by thycreator in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
***HAKIKAT***_________Baadal by baadal102 in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Hakikat-e-Fasana by sanchit in Shayeri for Dard -e- Bewafai
sandeepparker
Guest
«Reply #91 on: July 01, 2005, 09:38:25 AM »
Reply with quote
nice yaar parikh.. kya baat hai great one

Hawaoon Main Mehsoos, Hoti Hai Uski Khushboo,
Dil Main Aik Diya, Jalta Hai Uske Ke Naam Ka.
Kya Se Kia Ho Gaye Chahat Main Unki,
Hum Ko To Dosto Khabar Tak Na Hui.
(nm)
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #92 on: July 01, 2005, 09:59:31 AM »
Reply with quote
ishq hota hi aisa hai
jo sar chad ke bolta hai
honth chup bhi ho chahe
nigahon se sab raaj kholta hai
kya khoob hai iski rangeeniyan
isme ashiqh bina biye hi jumta hai
Logged
mrugeshparikh
Guest
«Reply #93 on: July 01, 2005, 10:01:14 AM »
Reply with quote
HAR RAAT DIYE SE SAJA RAKHI HAI,
HAR HAWA SE SHART LAGA RAKHI HAI,
JANE KIS GALI SE GUZRE DOST MERA
HAR GALI PHOOLO SE SAJA RAKHI HAI.
Logged
bhambra
Guest
«Reply #94 on: July 02, 2005, 07:27:11 AM »
Reply with quote
Nice Sandeep, Sandhya & Paarikh...

Kabhi na socha tha maine,
Ke hamare beech itni darmiyan hogi,
Sach bata, Mujhe e janneman
Dil ki kisi kone mai, yeh judaai
tujhe bhi badi rulati hogi.
Logged
bhambra
Guest
«Reply #95 on: July 02, 2005, 07:30:57 AM »
Reply with quote
Mohabbat kabhi marta nahin, ya to mitata hai.
Deke aashiq apna dil, luthta nahi, lutata hai.
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #96 on: July 02, 2005, 07:40:03 AM »
Reply with quote
usko bhi rulati hai judai teri
ki phir bhi vo kuch kar nahi sakti
mar sakti hai tere liye vo
par tere liye aahe tak vo bhar nahi sakti
Logged
bhambra
Guest
«Reply #97 on: July 02, 2005, 07:45:18 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
usko bhi rulati hai judai teri
ki phir bhi vo kuch kar nahi sakti
mar sakti hai tere liye vo
par tere liye aahe tak vo bhar nahi sakti


Good, but i don't think so, anyway...
Aakhir kyun aisa hota hai,
Koi ishq main kyun itna tadapta hai,
Deke apna dil-o-jigar,
Koi kyun yeh dard leta hai?
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #98 on: July 02, 2005, 08:03:14 AM »
Reply with quote
well bhambra and sandhaya

unn chand sitaaron key bikhrey huey shahron mai..
unn noor ki kirnon ki Thahri hui lahron mai...
Thahri hui nahron mai, soiee hui lahron mai
ai khizr-e-haseen ley chal! ai ishq kahin ley chal!

aankhon mai samaai hai ik khwaab-numaa duniya
taaron ki tarah raushan mahtab numaa duniya
jannat ki tarah rangeen shadaab numaa duniya
lillah wahin ley chal! ai ishq kahiN ley chal!
(nm)
Logged
bhambra
Guest
«Reply #99 on: July 02, 2005, 08:44:35 AM »
Reply with quote
Mujhe wo aaj bhi bahot yaad aatey hai,
Uski wo mushkurana, wo sharmake aankhen jhukana,
Ek sath nange paon wo baarishme bhighna,
Ushki Chote chote baton pe ruthna, phir manana,
Wo har ek pal jo maine betaya unke sang,
Yadden banke mere dil may rehete hai.
Mujhe wo aaj bhi bahot yaad aatey hai.
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #100 on: July 02, 2005, 08:54:53 AM »
Reply with quote
wow yaar great bhamo..

kabhi din ki dhoop mein jhoom ke, kabhi shab ke phool ko choom ke
yun hi saath saath chalen sada, kabhi khatam apna safar na ho......
kabhi yun bhi aa meri ankh mein, ke meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat nawaz de, magar uske baad saher na ho......
Logged
bhambra
Guest
«Reply #101 on: July 02, 2005, 09:46:39 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandeepparker"
wow yaar great bhamo..

kabhi din ki dhoop mein jhoom ke, kabhi shab ke phool ko choom ke
yun hi saath saath chalen sada, kabhi khatam apna safar na ho......
kabhi yun bhi aa meri ankh mein, ke meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat nawaz de, magar uske baad saher na ho......

Thanks! You wrote nice too...

Hum Tumse Mohabbat Karke Sanam,
Duniya Ka Fasana Bhool Gaye
Aankhon Se Teri Ek Jam Piya
Phir Hosh Mein Aana Bhool Gaye

Jab Dekh Li Teri Mast Nazar
Maikhane Ka Rasta Chhodh Diya
Zulfon Pe Teri Jab Aankh Padhi
Sawan Ka Zamana Bhool Gaye

Aye Husn Teri Ulfat Ne Hamein
Pahuncha Diya Aisi Manzil Pe
Kadmon Pe Tere Ek Sajda Kiya
Phir Sar Ko Uthaana Bhool Gaye.

NM
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #102 on: July 02, 2005, 09:56:31 AM »
Reply with quote
Quote from: "bhambra"
Quote from: "sandeepparker"
wow yaar great bhamo..

kabhi din ki dhoop mein jhoom ke, kabhi shab ke phool ko choom ke
yun hi saath saath chalen sada, kabhi khatam apna safar na ho......
kabhi yun bhi aa meri ankh mein, ke meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat nawaz de, magar uske baad saher na ho......

Thanks! You wrote nice too...

Hum Tumse Mohabbat Karke Sanam,
Duniya Ka Fasana Bhool Gaye
Aankhon Se Teri Ek Jam Piya
Phir Hosh Mein Aana Bhool Gaye

Jab Dekh Li Teri Mast Nazar
Maikhane Ka Rasta Chhodh Diya
Zulfon Pe Teri Jab Aankh Padhi
Sawan Ka Zamana Bhool Gaye

Aye Husn Teri Ulfat Ne Hamein
Pahuncha Diya Aisi Manzil Pe
Kadmon Pe Tere Ek Sajda Kiya
Phir Sar Ko Uthaana Bhool Gaye.

NM
very nice bhambra.
Logged
nikki
Guest
«Reply #103 on: July 02, 2005, 09:58:42 AM »
Reply with quote
Quote from: "bhambra"
Quote from: "sandeepparker"
wow yaar great bhamo..

kabhi din ki dhoop mein jhoom ke, kabhi shab ke phool ko choom ke
yun hi saath saath chalen sada, kabhi khatam apna safar na ho......
kabhi yun bhi aa meri ankh mein, ke meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat nawaz de, magar uske baad saher na ho......

Thanks! You wrote nice too...

Hum Tumse Mohabbat Karke Sanam,
Duniya Ka Fasana Bhool Gaye
Aankhon Se Teri Ek Jam Piya
Phir Hosh Mein Aana Bhool Gaye

Jab Dekh Li Teri Mast Nazar
Maikhane Ka Rasta Chhodh Diya
Zulfon Pe Teri Jab Aankh Padhi
Sawan Ka Zamana Bhool Gaye

Aye Husn Teri Ulfat Ne Hamein
Pahuncha Diya Aisi Manzil Pe
Kadmon Pe Tere Ek Sajda Kiya
Phir Sar Ko Uthaana Bhool Gaye.

NM


bahut hi acha likha hai aap dono ne.......
Logged
bhambra
Guest
«Reply #104 on: July 02, 2005, 10:00:01 AM »
Reply with quote
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake
Main Woh Ek Musth-E-Gubaar Hoon.

Mera Rang Roop Bigad Gaya
Mera Yaar Muhjse Bichad Gaya
Jo Chaman Fiza Mein Ujad Gaya
Main Usi Ki Faasle Bahar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon

Main Kahan Rahoon Main Khahan Basu
Na Yeh Mujhse Khush Na Woh Mujhse Khush
Main Zamin Ki Peet Ka Boj Hoon
Main Falak Ke Dil Ka Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Pade Faatiha Koyi Aaye Kyon
Koyi Chaar Phool Chadaye Kyon
Koyi Aake Shama Jhalaye Kyon
Main Woh Be-Kasi Ka Mazaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake
Main Woh Ek Musth-E-Gubaar Hoon.[NM]
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 23
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:38:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer