Mohabbat Ik Naazuk Si Larki Hai...

by Aryaan on July 29, 2006, 07:53:56 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
ReplyPrint
Author  (Read 5981 times)
Aryaan
Guest
Reply with quote
Tumhein yeh kis ne keh diya aakhir
Keh!
Kisi resturant ke kisi tareek goshey mein
Baith kar madham sargoshiyon mein
Muskurate labon se baat karna
Aur icecream ke cup mein chamach chalaate huwe
Khwahish-e-dil ko zubaan par le aana
Mohabbat hai?

Balkeh mohabbat tau
Door daraaz kisi wehshi Qabeele mein koyi chalaak si devi
Jo tumhari anaa ko apne jaado se yun Qaid karti hai
Keh tum apna saara gham bhool jaate ho
Mohabbat mann ka sacha sauda hai
Jisey..
Bazaar mein baicha nahi karte
Mohabbat ik naazuk si larki hai
Jisey rulaaya nahi karte
Mohabbat ko yun zaya nahi karte
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Naazuk ho tum Sanam....!!!! by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
JITTA THA HAR BAAR IK NAAZUK SA SIKANDAR KOI,, by guhar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
naazuk by saahill in Share:Love Poetry
naazuk hothon ko by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
Badi naazuk hai ye manzil mohabbat ka safar hai by @Kaash in Share Video
sanya310
Guest
«Reply #1 on: July 29, 2006, 10:15:23 PM »
Reply with quote
this is so beautiful! i love the last 5 lines the best...thought the whole thing is superb...so touching yar!
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #2 on: July 29, 2006, 10:30:34 PM »
Reply with quote
Bohat Khoob AryaanJi!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: July 30, 2006, 01:06:53 AM »
Reply with quote
Thanks a lot Sanya & Ravi...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: July 30, 2006, 01:18:34 AM »
Reply with quote
bahut khoob Aryaan ......mohabbat kya hai ...kuch main bhi in lines mein likhne ki koshish karti hun... :D

jab kabhi koi bhawara kali ko chumata hai
jab yeh sara alam  mehekne lagata hai
 jab bhi koi panchi hawa ko cheerta hai
jab bhi badal bikhar ke bheegne sa lagata hai
raat mein aankhe jinke khawab dekhti hai
subeh fir unki hi tasveer se fir baat karti hai
tab tera hona main mehsus karti hun
kya yehi hi mohabbat hai main aaj tujhse yeh puchti hun!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: July 30, 2006, 02:15:54 AM »
Reply with quote
Bohat shukriya Ranjana, Bohat khubsoorat lines likhi hain aap ne bhi... Usual Smile
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: July 30, 2006, 07:01:45 AM »
Reply with quote
shukriya Aryaan ..... Usual Smile
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #7 on: July 30, 2006, 07:27:19 AM »
Reply with quote
aryaan aur... ranjana ji aap dono  ne bahut aacha likha hai....
ek kosis humari bhi.

badalon ki ote se jub chand dekhkta hai humein.
sard hawaon ka jhoda jub chedata hai humein.
teri yaadon ki man mein ek ajeeb si jaagti hai.
jaise samander mein koi madmast machli bhaagti hai.
baichain ho jaata hai man usko paas bulao yaaroon
kya yahi ishq hai humko batlaaoo yaaroon.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: July 30, 2006, 07:35:43 AM »
Reply with quote
bahut khoob kavi ji.....shukriya .. Usual Smile

kabhi yun hi bethe bethe dil dharak sa jaata hai
naam unka baar baar hamare labo per aata hai
kho jaate hain hum yun hi unke tasvur mein
aur yun hi koi awara hawa sa jhonka
badan mein sihran si bhar jaata hai
dil karta hai ki woh samet le apni bahaon mein
aur keh de kaano mein koi meethi si baat
kya yahi hota hai mohabaat karne walo ka haal
kya yahi hota hai jise sab kehte hain pyaar ...??
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #9 on: July 30, 2006, 07:49:02 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"

bahut badiya ranjana ji..

koi kuch bhi keh na de aaj unki shaan mein,
her gum gawara hai humein unki ek muskaan mein
ek baar dil kyn unki justjoo chahta hai,
her roz fariyaadon mein kyn unko maangta hai.
per saamne jaana kyn is dil ko duswaar hota hai.
dharakta hai ye dil kyn? kya yahi pyaar hota hai.
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #10 on: July 30, 2006, 07:49:28 AM »

«Reply #11 on: July 30, 2006, 10:53:52 AM »
Reply with quote
bahut khoob kavi ji.....

ek beqarari si chhaa jaati hai
bas tanhaai hi dil ko bhaati hai
dil aksar udas sa ho jaata hai
kya karte honge woh?bas yahi khayal dil mein aata hai
kabhi unko dekh le achank se toh dil dharak sa jaata hai
lab hote hain khamosh aur dil nazaro se baat kar aata hai
ek meetha meetha sa dard har waqt khumar sa ban kasak jagata hai
kya yahi hota hai pyaar...............................Huh?Huh??
zamaana toh pyaar karne walo ka yahi haal batata hai
Logged
nikki
Guest
«Reply #12 on: July 30, 2006, 12:38:46 PM »
Reply with quote
simply gr8 Aryaan ji, Ranjana di n Bhondo ji...
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #13 on: July 30, 2006, 01:03:32 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
bahut khoob kavi ji.....

ek beqarari si chhaa jaati hai
bas tanhaai hi dil ko bhaati hai
dil aksar udas sa ho jaata hai
kya karte honge woh?bas yahi khayal dil mein aata hai
kabhi unko dekh le achank se toh dil dharak sa jaata hai
lab hote hain khamosh aur dil nazaro se baat kar aata hai
ek meetha meetha sa dard har waqt khumar sa ban kasak jagata hai
kya yahi hota hai pyaar...............................Huh?Huh??
zamaana toh pyaar karne walo ka yahi haal batata hai

bahut aache ranjana ji...

bas uske ek deedar ke liye pagal sa hona.
chup chap bithna, usay yaad kerna aur... rona.

aapne khoon se usko chitthiyan dena.
uske sare dukho ko aapne per lena.

ussay gussa hona aur... usay manana.
uske liye kai dino tak bhookha reh jaana.

uske liye bhondu aaj bhi aapna wajood khota hai.
mujhe batao ki to kya yahi pyaar hota hai
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #14 on: July 30, 2006, 01:04:29 PM »
Reply with quote
thank you nikki ji... aap bhi kuch likhiye.
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 03:11:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer