woh pad ke unke lafaz geeto mein khud ba khud muskarna
woh karna sakhiyon se baate baar unki ,jaan ke unka naam lab per lana
jahan bhi dekhi koi do nigaahe milti ,bas unke hi tasvur mein kho jaana
karungi mein mil ke unse baate kya kya?yeh soch ke sharmaana
karke apna solah singaar ,aaine mein khud ko unko dikhana
yun hi unke raaste se gujarte hue ,rumaal ka jaanbujh ke giranaa
hoti hai kaya yahi mohbbat ki nishaniyaa.n ........
sajan jara aake hamko samjhana....
wo raat mein teri yaad mein neendo ka ud jaana,
wo baithat baithay tere khawboo mein kho jaana.
wo talab ke kinare baithker patharoon ko fekna.
wo baar baar aapke intzaar mein ghadi ka dekhna.
aapke bare mein her kisi se poochna.
aapki her ek batein yaad rakhna.
aur.. kehna humne to lakhon mein aapko hi chuna hai
kuch aisa hi hota hai pyaar humne bhi yahi suna hai.
bahut khub kavi ji...
dekhte hain ab khuli aankho se khawab hum
na dil ki chein hai na neend aati hai
har pal dil mein ek meethi si kasak jaag jaati hai
dil karta hai ki aaj kisi ki bahon mein mar jaaye
koi fere mere gesuo.n mein ungliyaan pyaar se
aur koi mere kandhe per apna sirr rakh ke dhero baate kare
yadi yeh sab hain pyaar ki nishaniyaan toh aaj khuda hamari kher kare!!
aapne bhi bahut aacha likha hai..
aab to her waqt aapka hi khayal aata hai.
aapki baat sunney ko dil ye lalchata hai.
kertein hai kai miss-call ek hello sunney ko,
bahane dhoonte hai ek nazar tujhko dekhne ko.
peecha kertein hai tera tumko bina bitaye,
pyaar kertein hai bahut aap per bina jataye.
dil mujhse aaj bhi mera yaar mangta hai,
aapse aur... kuch nahi bas ye pyaar mangta hai.