Mohabbat Ik Naazuk Si Larki Hai...

by Aryaan on July 29, 2006, 07:53:56 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 6065 times)
tabassum shakeel
Guest
«Reply #45 on: August 06, 2006, 01:21:58 PM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Tumhein yeh kis ne keh diya aakhir
Keh!
Kisi resturant ke kisi tareek goshey mein
Baith kar madham sargoshiyon mein
Muskurate labon se baat karna
Aur icecream ke cup mein chamach chalaate huwe
Khwahish-e-dil ko zubaan par le aana
Mohabbat hai?

Balkeh mohabbat tau
Door daraaz kisi wehshi Qabeele mein koyi chalaak si devi
Jo tumhari anaa ko apne jaado se yun Qaid karti hai
Keh tum apna saara gham bhool jaate ho
Mohabbat mann ka sacha sauda hai
Jisey..
Bazaar mein baicha nahi karte
Mohabbat ik naazuk si larki hai
Jisey rulaaya nahi karte
Mohabbat ko yun zaya nahi karte


kya khoob likhaten hain aryan kamaal ka likha hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Naazuk ho tum Sanam....!!!! by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
JITTA THA HAR BAAR IK NAAZUK SA SIKANDAR KOI,, by guhar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
naazuk by saahill in Share:Love Poetry
naazuk hothon ko by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
Badi naazuk hai ye manzil mohabbat ka safar hai by @Kaash in Share Video
Pooja
Guest
«Reply #46 on: August 06, 2006, 03:21:25 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Aryaan, Ranju, Dost Kavi, Anjani and Tabu....sabhi ne bahoot ach alikha hai
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #47 on: August 06, 2006, 07:59:39 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
Quote from: "anjani_si"
Quote from: "ranjana"
shukriya Aryaan ...bahut khoob anjani ....

ek naam hai jo dil per likha ha sa hai
dil ab uske pyaar mein duba hua sa hai

rehti hai unki suart bas meri nighaao.n mein
bas woh hi woh mere dil mein basa hua sa hai

hai yahi pyaar toh yeh ab unse hi hua hai
mere dil ka ha chain sakun unse ab juda hua sa hai


likh liya hai uska naam apne dil mein
karliye hai unhone humhe apne baas mein

logh kehte hain issi ehsaas ko kehte hain pyar
kya saach mein hum bhi hogaye hain ashiqoon ki mehfil mein


wonderful ....bahut khoob anjani .....

jab yeh ishq janun ban jaata hai
toh dil ko bahut tadpaata hai

bechain ho kar dhoondati hai nigahaae.n unko
ek jahalk unki mil jaaye bas yahi khayaal dil mein aata hai

har waqt khoye khoye se hum rehte hain
aur naam hamara ishq karne walo diwaano ke saath liya jaata hai

ranju and bhondu too good....:D:D:D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #48 on: August 07, 2006, 01:39:15 AM »
Reply with quote
Quote from: "BHONDU"
Quote from: "ranjana"
ghir ke aayi hain fir se sawan ki ghaatye
koi aa ke mere uljhe se gesuo.n ko suljhaye
mehek raha hai aaj badan tere hi janun se
yeh pagal bana rahi hai mujhe madmast hawe.n
hai sard aaj kuch bheege se masoum ki fiza
koi toh aake aaj in jajabato ko pighla jaaye
hoti hai kya yahi mohbbat
koi toh aake ab is pehali  ko suljhaaye


bahut aacha likha hai ranjana ji...
kya hoti hai ye mohabbat hum aaj bhi ye jaan na paaye hai.
kuch bade aadmiyon ne humein bas kuch kisse sunaye hai.
chand lafzon mein unhone ye raaj khola tha.
mohabbat mein badi kasis hoti hai bas yahi bola tha.
kuch tane bane yaad mein unki bunte jaa rahe  hai.
ishq hai unhe humse ye sunte jaa rahe hai.
unske saath hi marne ka humara wada hai.
ab to mohabbat kerne ka humara bhi irada hai.


shukriya pooja and anjani .....bahut khub kavi ji...

bethe bethe yun hi dil ghabaraane lagta hai
yaad koi mujhko apna sa aane lagta hai
hoti hun jab mein udas toh wo mujhe hasaane lagta hai
mere har dukh ko wo apna banaane lagta hai
kahene ko toh naam nahi hai is rishte ka
fir bhi is begaani si duniya mein ek wo hi apna lagta hai
yahi preet ka bandhan mujhe us se jod jaata hai
mere dil mein deep mohbbat ka wahi toh jalaata hai
hai yadi yahi pyaar toh mujhe ab unse pyaar hua jaata hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #49 on: August 07, 2006, 03:32:59 AM »
Reply with quote
Bohat shukriya Tabassum & Pooja...
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #50 on: August 12, 2006, 09:01:16 AM »
Reply with quote
Ranjana JI bahut aacha jawab diya hai.humne bhi mohabbat ko ladki ki tarah soocha to dekha ki,

Haan mohabbat sach mein ek nazuk si ladki hai,
jo nazare milti hai to sharma jaati hai.
dekhti hai usay aachanak to ghabra jaati hai.
ye yauvan ki umar mohabbat ke dil mein umang uthti hai.
pyaar ki baatein bhi mohabbat badi sharmaker kerti hai.
ghant uske saath milne ka intzaar kerti hai.
aur... bas zara si baat per ye ghantoo raoti hai
sach mein mohabbat ek nazuk si ladki hai.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #51 on: August 12, 2006, 09:57:19 AM »
Reply with quote
bahut khoob kavi ji ......sach mein bahut mohbbat ek najuk si larki hai ..bahut sunder ..........

hai yeh ek najuk si cheege mohbbat
jo jara si thokar lagane si tut jaati hai
isko sambhal lene dil mein ek aaiene ki taraha
jara si pade daraar toh ismein tasveer bikhar si jaati hai
hai yeh sharamo haya ke parde mein simati hui si
basa lo is ko palko mein toh dil mein utar jaati hai
haan mohbbbat sach mein ek najuk si larki hai
iske daaman se wafa ki kushbu si aati hai
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #52 on: August 13, 2006, 05:51:41 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
bahut khoob kavi ji ......sach mein bahut mohbbat ek najuk si larki hai ..bahut sunder ..........

hai yeh ek najuk si cheege mohbbat
jo jara si thokar lagane si tut jaati hai
isko sambhal lene dil mein ek aaiene ki taraha
jara si pade daraar toh ismein tasveer bikhar si jaati hai
hai yeh sharamo haya ke parde mein simati hui si
basa lo is ko palko mein toh dil mein utar jaati hai
haan mohbbbat sach mein ek najuk si larki hai
iske daaman se wafa ki kushbu si aati hai


ladki nazuk hai aur... singaar kerti hai,
dil mein basati hai aur.. pyaar kerti hai.
nazuk hai riston ki tarah chutne se ghabrati hai,
nazuk hai sapno ki tarah tootne se dar jaati hai.
jo aaj bhi ishq ki galiyon mein idhar aati hai
wo aaj bhi badal ki gadgarahat se sihar jaati hai.
sach mein ye nazuk si ladki mohabbat hi hai.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #53 on: August 13, 2006, 06:09:43 AM »
Reply with quote
jab bhi koi awaz koyal si fizaao.n mein gunj uthati hai
jaise koi pyaar ki shama dil mein jal si uthati hai
dil gaata hai jab mohbbat ka nagma koi
ek hook si seene mein uthne lagti hai
ek dhuaan sa sulagne lagta hai dil mein
aur bas nighaa unke aane ki aahat per lagi rehti hai
sab ke dil ko bebas sa kar deti hai yeh
sach mein yeh mohbbat cheege hi kuch aise hai
ek najuk si komal si yeh apni hi duniya mein basti hai
yeh mohbbat ek najuk si larki hai ..........
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #54 on: August 13, 2006, 01:24:39 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
jab bhi koi awaz koyal si fizaao.n mein gunj uthati hai
jaise koi pyaar ki shama dil mein jal si uthati hai
dil gaata hai jab mohbbat ka nagma koi
ek hook si seene mein uthne lagti hai
ek dhuaan sa sulagne lagta hai dil mein
aur bas nighaa unke aane ki aahat per lagi rehti hai
sab ke dil ko bebas sa kar deti hai yeh
sach mein yeh mohbbat cheege hi kuch aise hai
ek najuk si komal si yeh apni hi duniya mein basti hai
yeh mohbbat ek najuk si larki hai ..........


last ki 4 lines bhut aachi lagi..

uske liye mannato ko maangna aur bhooka rehna.
uski ek choti si khusi ke liye her dard sehna.
bas uske liye hi dil se samjhute karna.
thoda sa manane ke liye bin baat ka jhagarna.
ye sab mohabbat ki yaadein hai.
us najuk si ladki ki baatein hai.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #55 on: August 13, 2006, 05:02:05 PM »
Reply with quote
har lamha har pal yeh rut pyaar ki meri seheli hui
mehek iski ishq ke baag mein faili si hui
jab se hua hai deedar unka
kadam tikate   nahi hain jameen  per
jaise koi dulhan nayi naveli si hui
ek lafaz  mohbbat ka uske rukhsaaro per chamakata raha
sach mein yeh mohbbat ek najuk si koi natkhat peheli si hui
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #56 on: August 17, 2006, 12:28:47 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"

har lamha har pal yeh rut pyaar ki meri seheli hui
mehek iski ishq ke baag mein faili si hui
jab se hua hai deedar unka
kadam tikate   nahi hain jameen  per
jaise koi dulhan nayi naveli si hui
ek lafaz  mohbbat ka uske rukhsaaro per chamakata raha
sach mein yeh mohbbat ek najuk si koi natkhat peheli si hui


bahut aache...

mohabat ek nazuk si peheli hai chah ker bhi jise suljha nhi paa raha hu.
kahi chute hi tootker na bikher jaaye isi sooch mein ulajhta jaa raha hu.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #57 on: August 18, 2006, 05:03:17 AM »
Reply with quote
yeh raha hai mohbbat ki kai uljhan yahan  mil jaayegni
mohbbat  ek najuk si larki hai apni najkuta se dil per chhaa jaayegi
banegi fir koi kahaani do dilo ke milne se
aur sari fiza mein apne pyaar se meheka kaa jaayengi
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #58 on: August 18, 2006, 01:00:28 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"

yeh raha hai mohbbat ki kai uljhan yahan  mil jaayegni
mohbbat  ek najuk si larki hai apni najkuta se dil per chhaa jaayegi
banegi fir koi kahaani do dilo ke milne se
aur sari fiza mein apne pyaar se meheka kaa jaayengi



bahut acha likha hai aapne

kaash milti mujhe kahi mohabbat
to main us mohabbat se mohabbat kerta,
palko mein bitha ker rakhta usko.
us nazuk ladki ki ibaadat main din raat kerta
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #59 on: August 18, 2006, 01:04:19 PM »
Reply with quote
Quote from: "BHONDU"
Ranjana JI bahut aacha jawab diya hai.humne bhi mohabbat ko ladki ki tarah soocha to dekha ki,

Haan mohabbat sach mein ek nazuk si ladki hai,
jo nazare milti hai to sharma jaati hai.
dekhti hai usay aachanak to ghabra jaati hai.
ye yauvan ki umar mohabbat ke dil mein umang uthti hai.
pyaar ki baatein bhi mohabbat badi sharmaker kerti hai.
ghant uske saath milne ka intzaar kerti hai.
aur... bas zara si baat per ye ghantoo raoti hai
sach mein mohabbat ek nazuk si ladki hai.


wah bhondu ji kya socha hai aapne....... :D
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:39:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer