>>>>Mohabbat Ki Lagi Hai Pyas<<<<<

by waheed_rose2004 on April 09, 2006, 08:32:47 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4825 times)
waheed_rose2004
Guest
Reply with quote
Ko-ee Husn-e-Jahan Aa-ai To BolooN
Ke Dil Mein Phool Khil Ja-ai To BolooN

Muhabbat Ki Lagi Hai Pyaas Kab Se
Sharab-e Ishk Mil Ja-ai To BolooN

Woh NazroN Mein Nazar Ko Daalte Hain
Magar Dil Dil-Se Mil Ja-ai To BolooN

Nazar Ke SaamNe Rahta Hai Aksar
Agar Dil Mein Utar Ja-ai To BolooN

Rahe Hein Umr Bhar Jo Saath Me-re
Mohabbat Ki QaSam Kha-ai To BolooN

Mohabbat Ka Junoon Aa-ai Jo Lab Tak
Wisaal-e Yaar ho Ja-ai to BolooN

Jiski AankhoN Mein Bhara Ho 'NAJM' Pyaar
Mujhko Aisa Ko-ee Mil Ja-ai To BolooN......nm
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mere Hothon Pe Pyas rahne do.....! by sharmaarunkumar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Chahat Ki Pyas by Meena in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Tadpaane lagi hai bohot dil ke yeh lagi...!! by Talat in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
PYAS KAM NA HO by SARVESH RASTOGI in Shayari-e-Parastish « 1 2 3  All »
mohabbat hone lagi hai.........(ambu) by ambalika sharma in Shayri for Khumar -e- Ishq
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: April 09, 2006, 08:58:37 AM »
Reply with quote
Nice Waheed Bhai,..

Tumhari Mohabbat Ki Pyaas Ko Hum Bhujayeinge,..
Tumse Milne Hum Tumhari Khwabon Mein Aayeinge,..
Tumhare Dil Ke Kisi Kone Mein Hum Apna Ghar Banayeinge,..
Tumhari Khushi Hi Hamare Liye Sab Kuch Hai,..
Agar Tumhari Raahon Mein Andhera Ho To Roshni Ke Liye Hum Khud Ko Jalayeinge,..
Hum Khud Ko Bhula Denge Magar Tumhe Na Bhool Payeinge,..
Ye Wada Hai Hamara Tumse Marte Dum Tak Wafa Nibhayeinge,..
Gar Karogi Ki Tum Fareb Humse Hum Us Dukh Se Hi Marrhayeinge,..

______________________-Azeem-________________________
Logged
roshni246
Guest
«Reply #2 on: April 09, 2006, 09:33:49 AM »
Reply with quote
bhai jaan apki shayarion ka jawab nahi !!! greattttttttttt!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #3 on: April 09, 2006, 11:03:09 AM »
Reply with quote
Wa wa!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #4 on: April 09, 2006, 11:17:35 AM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
Ko-ee Husn-e-Jahan Aa-ai To BolooN
Ke Dil Mein Phool Khil Ja-ai To BolooN

Muhabbat Ki Lagi Hai Pyaas Kab Se
Sharab-e Ishk Mil Ja-ai To BolooN

Woh NazroN Mein Nazar Ko Daalte Hain
Magar Dil Dil-Se Mil Ja-ai To BolooN

Nazar Ke SaamNe Rahta Hai Aksar
Agar Dil Mein Utar Ja-ai To BolooN

Rahe Hein Umr Bhar Jo Saath Me-re
Mohabbat Ki QaSam Kha-ai To BolooN

Mohabbat Ka Junoon Aa-ai Jo Lab Tak
Wisaal-e Yaar ho Ja-ai to BolooN

Jiski AankhoN Mein Bhara Ho 'NAJM' Pyaar
Mujhko Aisa Ko-ee Mil Ja-ai To BolooN......nm


Fantastic Waheed bhai.....Kya kahein lafz nahi rahe.....

Yeh mahobbat ki Pyaas lagi hai aise......
Manzilon ke raste me Sanam ki nafrat khadi ho jaise....

Teri Mahobbat ke Jashan me diye toh Roshni de rahe hain.....
Par lagta hai Shayaron ki Basti mein kisi ne aag lagayi ho jaise....!!!!!!
Logged
chitra
Guest
«Reply #5 on: April 09, 2006, 11:40:05 AM »
Reply with quote
Wah waheed jee.......ab shabd to hai nahi mere paas....realy bin bole hi.....jadu...!!!

Neer jee, jaanasheen jee, BD jee aapne is basti mein aag lagaa dee...!!!

hum bhi kuchh......!!!

Teri lagaai aag mein chupchap sulgati hoon
jal ke  bhi Nasha_e_isqh aur jawaan karti hoon

samne samandar machal  ke bulaaye jata hai
fir bhi mohbbat ki lagan mein pyaasi rhati hoon

Arzoo hai Ta-umar saath rahke mazile paane ki
Mohbbat ki  kasam khaa ke aaj SANAM kahti hoon
Logged
Sameer_love_1921
Guest
«Reply #6 on: April 09, 2006, 11:59:50 AM »
Reply with quote
Quote from: "chitra"
Wah waheed jee.......ab shabd to hai nahi mere paas....realy bin bole hi.....jadu...!!!

Neer jee, jaanasheen jee, BD jee aapne is basti mein aag lagaa dee...!!!

hum bhi kuchh......!!!

Teri lagaai aag mein chupchap sulgati hoon
jal ke  bhi Nasha_e_isqh aur jawaan karti hoon

samne samandar machal  ke bulaaye jata hai
fir bhi mohbbat ki lagan mein pyaasi rhati hoon

Arzoo hai Ta-umar saath rahke mazile paane ki
Mohbbat ki  kasam khaa ke aaj SANAM kahti hoon


Subbhaan Allah Chitra ji Dil jeet liya aapne hamara
Logged
rockindia
Guest
«Reply #7 on: April 09, 2006, 01:32:48 PM »
Reply with quote
So nice Badnaam, chitra, Waheed and Janashee
Teri mohabbbat ki pyas me.............
Zindgi jee raha hun bas eshi aas me..........
Milagi meri mohabbat tere dil ki aghaz me.......
Kiyun mein baitha hun bas eshi kyas me...........
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #8 on: April 10, 2006, 05:26:30 AM »
Reply with quote
Thnx Chitra ji and Rocky......Welcome to Yoindia Sameer....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: April 10, 2006, 10:02:12 AM »
Reply with quote
Shukriya Chitra And Rock Bhai,..

Wo Tere Chupke Se Sharmaana,..
Mujhe Dekh Kar Muskuraana,..
Jab Main Aajaoon Bin Kahe,,.
To Tera Ghabrana,..
Kaise Bhoola Doon Main In Adaon Ko,..
Yahi To Meri Mohabbat Ki Nishaanian Hain,..
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #10 on: April 10, 2006, 10:47:17 AM »
Reply with quote
kya baat hai bahut khoob likha sabne.. waheed ji, janasheen ji, chitra ji, badnaam ji, rocky ji.. subhan allah...
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #11 on: April 10, 2006, 10:51:35 AM »
Reply with quote
Mohabbat ki pyas jo lag jaaye ek baar,
Bujhti nahi badti hai chahe dekho unhe hazaaro baar,
Kaatil hain woh hamare unhe yeh ilm nahi,
Is saans ke saath chalta hai naam unka har baar,
Ek mulakaat jo ho jaaye unse
Keh denge hum dil ki kahani in nazron se baar baar,
Tumhe basaya hai jism mein apne rooh ki tarah
Chahe le lein hum  laakh janam  tumhari hi rooh milegi har janam mein baar baar...

gesu's koshish!!!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: April 10, 2006, 10:54:06 AM »
Reply with quote
Shukriya Gesu Bhai,..

Hum To Likhne Ke Kabeel Nahi The,..
Aur Na Socha Kabhi Likhenge,..
Ye To Sara Khel Mohabbat Ka Hai,..
Warna Hum Bhi Soch Mein Hote,..Ke Kya Likha Hai,..?
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #13 on: April 10, 2006, 07:03:38 PM »
Reply with quote
Shukriya  all....   and  wonderful  reply..  all   friendsssss
Logged
chitra
Guest
«Reply #14 on: April 11, 2006, 07:24:43 AM »
Reply with quote
Mohbbat ne saari pyaas badaai hai
mujh jaise jahil ko bhi shayri sikhayi hai
iske junoon mein duniya ki kya baat
iske dum pe to zindaa aaj bhi khudaai hai
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:31:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer