"mohabbat mai ab wo pehli si baat kahan"

by aaina on February 14, 2009, 10:09:13 AM
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 4932 times)
aaina
Guest
«Reply #30 on: February 18, 2009, 01:50:38 PM »
Reply with quote
Thanks aaina ji

Wo meri yadoon ke samandar me,
Har pal lehar banke uth ne laga,
Na jane kab is bhawar me mai kho jau,
K ab rishta saans ka zindegi se toot ne laga !!

kia baat hai salma ji........bhut khoob

tootte rishton ka nigehbaan koi to ho
tapti doop mai sayebaan koi to ho
is dard ke safr mai akele hain aslam
aap na nhi, zulf sahi, meherbaan koi to ho
Logged
Roja
Guest
«Reply #31 on: February 18, 2009, 02:02:38 PM »
Reply with quote

very nice Roja sis!

Thanks dear
Logged
Roja
Guest
«Reply #32 on: February 18, 2009, 02:03:27 PM »
Reply with quote
kia baat hai salma ji........bhut khoob

tootte rishton ka nigehbaan koi to ho
tapti doop mai sayebaan koi to ho
is dard ke safr mai akele hain aslam
aap na nhi, zulf sahi, meherbaan koi to ho

Wah bahut accha likha hai aapne aaina  Thumbs UP
Logged
angel4u
Guest
«Reply #33 on: February 18, 2009, 03:56:45 PM »
Reply with quote
kia baat hai salma ji........bhut khoob

tootte rishton ka nigehbaan koi to ho
tapti doop mai sayebaan koi to ho
is dard ke safr mai akele hain aslam
aap na nhi, zulf sahi, meherbaan koi to ho

Dard ka safar tanha kate to kya hua,
mere saath teri di hui amanat to hia,
ye aansu hai tohfe meri wafaon ke,
isi bahane in aankhon mein harkat to hia...
Logged
salma786
Guest
«Reply #34 on: February 18, 2009, 04:10:18 PM »
Reply with quote
Shukriya aaina ji
Logged
salma786
Guest
«Reply #35 on: February 18, 2009, 04:22:50 PM »
Reply with quote
Dard ka safar tanha kate to kya hua,
mere saath teri di hui amanat to hia,
ye aansu hai tohfe meri wafaon ke,
isi bahane in aankhon mein harkat to hia...


Tanhaiyon ki parwa gar hum chahat se pehle kiya karte,
To tere diye dard ko seene se na lagaya karte,
Gar teri bewafaai pe hum khoon ke ghoot piya na karte,
To zillat se girte huye bhi teri yado ko uthaya na karte!
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #36 on: February 18, 2009, 04:25:21 PM »
Reply with quote
nice one salma ji and angel ji,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #37 on: February 18, 2009, 04:26:37 PM »
Reply with quote
Tanhaiyon ki parwa gar hum chahat se pehle kiya karte,
To tere diye dard ko seene se na lagaya karte,
Gar teri bewafaai pe hum khoon ke ghoot piya na karte,
To zillat se girte huye bhi teri yado ko uthaya na karte!

Tanhaiyon ka dhuwan bhi utha aaj kuch is lehje se,
Ke hum iske pichhe ki aag ko dhundte chale gaye,
Laga aaj pyaara is tanhaiyon ke aalam me dard ka simatna,
har ek warq me tujhe lapet ke hum likhte chale gaye...
Logged
salma786
Guest
«Reply #38 on: February 18, 2009, 05:19:20 PM »
Reply with quote
Tanhaiyon ka dhuwan bhi utha aaj kuch is lehje se,
Ke hum iske pichhe ki aag ko dhundte chale gaye,
Laga aaj pyaara is tanhaiyon ke aalam me dard ka simatna,
har ek warq me tujhe lapet ke hum likhte chale gaye...



Tanhaiyoon ki gode me ab rate sogayi hai,
Tere sang bitaye lamhe dhundli hogayi hai,
Na puch phir bhi q zindegi khamosh hogayi hai,
Teri yaado ke sath meri saanse bhi khogayi hai!
Logged
salma786
Guest
«Reply #39 on: February 18, 2009, 05:20:10 PM »
Reply with quote
Thanks anjaan ji
Logged
Roja
Guest
«Reply #40 on: February 18, 2009, 05:27:45 PM »
Reply with quote

Tanhaiyoon ki gode me ab rate sogayi hai,
Tere sang bitaye lamhe dhundli hogayi hai,
Na puch phir bhi q zindegi khamosh hogayi hai,
Teri yaado ke sath meri saanse bhi khogayi hai!


Bahut khoob Salma Applause Applause
Logged
aaina
Guest
«Reply #41 on: February 19, 2009, 06:45:00 AM »
Reply with quote
Dard ka safar tanha kate to kya hua,
mere saath teri di hui amanat to hia,
ye aansu hai tohfe meri wafaon ke,
isi bahane in aankhon mein harkat to hia...


wah wah kia baat hai angel ji....................bhut khoob

wo samajh jaye ishara koi aisa daina
usko khat likhna to mera bhi hawala daina
is qayamat ki jab us shoq ko aankhain di hain
ey khuda khaab bhi daina to nirala daina

                (NM)


Logged
Talat
Guest
«Reply #42 on: April 21, 2009, 07:46:03 PM »
Reply with quote
"mohabbat mai ab wo pehli si baat kahan"

shayad ke mukaalma un waqton mai bhi kaha jata rha hoga
jin waqton ki hum duhaaii daite hain..............................
mohabbat na kabhi badli hai aur na kabhi badlegai
ye ek aisa jazba hai jo har kisi ke dil mai jawaan rehta hai
haan! shkalain zaroor mukhtalif ho sakti hain..................
ek maa apni aulaad se jitna piyaar un gaye waqto mai karti
hogi ya youn kahiye ke karti thi
aaj bhi waisa hi hai,,,,,,,,,,,,,,,,
uski mamta mai na kahbi kami aayi thi aur na kabh ayegi
aur agar kabhi aisa hua bhi to shayad wo is zameen par
zindagi ka aakhri lamha hoga.......................................
youn to bayaan karne ko bhut se rishte hain, jaan ek mehboob
apni mehbooba ke liyn chaand taare tod laane ki baat hamesha se
kehta aaya hai aur isko mumkin bhi banaya hai
ek bhan apne bhai par apni poori kayenaat nichawar karne ko us dour mai bhi
tayyar thi aur aaj bhi waisa hi hai aur yahi haal bhai ka bhi
dost jo kal thay wahi aaj bhi hain unki wafaon ki qasmai us dour mai bhi kahyi jatai rhi hain aur yahi haal aaj bhi hai.............................................. .....
to phir kahan hai kami?
ibadat, jazba,ehsaaas, izhaar, khyaal, firkr ye sab lafz mohabbat ki tarjumaani karte hain kia inka wajood kham ho gaya hai?
mere kehne ka matlab sirf yahi hai ki ye jo mukaalma(mohabbat mai ab wo pehli si baat kahan) hum kehte rhete hain, ye shayad sirf apni baat mai wazan paida karne ke liyn kaha jata hai na ki hume is baat par yaqeen ho ke dar asal aias hai.............................................. .................................
mohabbat zindabaad thi aur rhegi chahain wo koi bhi dour ho,
kahiye aur kehte rhhiye magr dil aapka bhi jaanta hai ki ye mukaalma apna wajood nhi rakhta.

Allah haifz..............wish u all a very happy valentine day, wish ur valentine kiyonki mohabbat ko izhaar ki zaroorat hoti hai.......................................

Very well said Aslam Ji
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #43 on: April 23, 2009, 11:02:45 AM »
Reply with quote
Very well said Aslam...
Logged
Dr.imi
Guest
«Reply #44 on: September 07, 2013, 10:47:30 PM »
Reply with quote
[/s][/b]Mohabat Me Bebasi He Mila Karti Hai,
Zindagi Jaise Jisam Say juda Hova Karti Hai,

Tum Wo Bebasi Ki Baton Ko Theek Say Na Bata Pao Gay,
Aj Roo Kar Ansuon Me Mohabat Ko Phir Say mitao Gay,

Janta Hai Dil Tere Babasi Ko Lekin,
Jo Sach hai us Ko Aj bhi Zuban Par na Lao Gay

Kis Kadar Mohabat Me Imtihan Leti ho,
Eak Dil Tota Hai Or Kitno K Dilon Say Kel Pao Gay,

Jazbat Me Bikhar Rahi Jo Aj Zindagi Tumhari,
Babasi ka Naam De Kar Mohabat Ko Khod Ko He Tanha Pao Gay...

Dil K AnSu.... Posting U Angel
Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:17:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer