Mohabbat-izhaar

by shayar_dildaar on August 16, 2005, 06:07:12 PM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 37
ReplyPrint
Author  (Read 37110 times)
anitha
Guest
«Reply #105 on: December 13, 2005, 10:22:00 AM »
Reply with quote
laa jawaab badnaam shayar ji....everyone here have really done well....keep it up Usual Smile

kyon hai pyaar itni hosh udaane waali
na rahe hosh kiseeko kiseeki
kitna hai madhosh karne waali yeh pyaar
hai kush naseeb woh jisse miljaaye yeh pyaar
fariyaad hai mile har kiseeko apna pyaar
jo karein dilse apne aapko uske pyaar ke hawaale....mere yaar
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #106 on: December 15, 2005, 01:52:49 AM »
Reply with quote
Cool and good badnaam shayarji and anithaji.. Beyond excellence both of you...
Keep smiling..
---Shayar_dildaar
[/color]
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #107 on: December 15, 2005, 04:35:57 AM »
Reply with quote
Today i wanna share some lines of Mirza Ghalib.....these are really fantastic................................


Koi umeed bar nahi aati
Koi soorat nazar nahi aati
Maut ka ek din mauyaan hai
Neend kyon raat bhar nahi aati
Aaage aati thi hale dil pe hansi
Ab kisi baat par nahi aati
Janta hoon sababe-toota-zahad
Par tabiet idhar nahi aati
Hai kuch aisi hee baat
Jo chup hoon,warna kya baat karni nahin aati
Kyon na cheekhoon ki yaad karte hain
Meri awaaz gar nahi aati
Marte hain aarzoo me marne ki
Maut aati hai par nahi aati
Kaba kis muoonh se jaoge Ghalib
Sharm tumko magar nahi aati

Really gr8
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #108 on: December 15, 2005, 06:07:00 PM »
Reply with quote
Bohut khoob. I really appreciate it becoz u shared with us the works of one of the gr8 shayars. Agar kuch aur aise shers tumhein millein to zaaroor post karna, aur romantic zaroor rakhna...Keep smiling...
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #109 on: December 18, 2005, 06:46:25 PM »
Reply with quote
Andaaz apna dekhte hain aaine mein woh
Aur yeh bhi dekhte hain ke koi dekhta na ho..
[/color]

---Disclaimer: This is not my composition..
Its by: 'Nizaam Rampuri''
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #110 on: December 22, 2005, 05:42:54 AM »
Reply with quote
Izhaar-e-ishq nahin mushkil,
Agar mohabbat hain aadil...

Kyun darta hain kehne se apne dil ka haal,
Bol de e-aashique, tera ishq hain kamaal...

Keh daal, bepanah ishq tu karta hain,
Duniya k har sitam ko tu seh sakta hain..

Dil uska bhi tere pyar mein sataeygi,
Woh bhi tere nazdeek ana chahegi...

Pyaar se usse bahoon mein zakad le,
Apne Ishq ka izhaar tu ek baar kar le....
[/color]
Logged
anitha
Guest
«Reply #111 on: December 22, 2005, 05:56:30 AM »
Reply with quote
wowwwww...it is beautiful shaayari

gr8 work shayar dildaar ji

koi na hoga jisse nahi iska intezaar
har kissiko kar raha hai yeh bada bekaraar
jo aaye humaare paas, lekhe apne baahon mein hume
sunaade apni dilki haal aur khode apne aapko in aankon mein
chupaaloongi usse, na door hone doongi kissi haal mein apne aapse
par hai intezaar uska, ki ek baar woh aake karde apni pyaar ka izhaar humse
Logged
nazaakat
Guest
«Reply #112 on: December 22, 2005, 07:02:26 PM »
Reply with quote
wah!!!bahoot khub anithaji n shayarji.....
extremely good...
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #113 on: December 25, 2005, 05:11:47 PM »
Reply with quote
Gr8 anithaji...  gr8 stufff...
Logged
anitha
Guest
«Reply #114 on: December 29, 2005, 04:44:40 AM »
Reply with quote
thank u nazaakat ji aur shaayar ji..
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #115 on: December 31, 2005, 08:25:55 AM »
Reply with quote

Happy New Year Friends...Khub khushiyan manao aur dusro ko khushiyan bhi do...Love u all...


Shukriyan iss mohabbat ka kijiye,
Naye saal mein, kuch pyaar ka maza lijiye..
Izhaar-e-ishq karna zaroor,
Ho tum sabh ka pyaar manzoor...
[/color]
Logged
tanhachand
Guest
«Reply #116 on: January 02, 2006, 06:38:21 AM »
Reply with quote
Quote from: "shayar_dildaar"
Unke dil ke bechaini ko samjh sakta hu main;
Mohabbat jo karti hain mujhse, sirf unke liye hu main.

Aj kehti hain mujhse, ‘rehna chati hu tumhare saath’;
‘Mehfooz lagta hain jab hota hain tumhare haathon mein haath’.

Bahut khush hu main jo unhone mujhe iss kabil samjha,
Ab karna chahta hu unhe jeevan k liye apna.

Unhe darr hain ki koi aur na le jaye unhe,
Maine kaha unse,‘majhal hain kissi main, jo haath bhi lagaye tumhe’.

Ajeeb sa mugroor tha mere iss jawab mein;
Sach kehta hu kadardaan, unhe pana chahta hu main.

Mohabbat jab kar liya hain, to unhe haasil bhi kar lenge,
Pyaar karte hain unse, unke ghar jakar kahenge.

Mumkin ho mera yeh pyaar bhara khwab;
Ibadat karna zaroor dilwalo, shukriya iske liye janaab.




aameen!!!!!
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #117 on: January 03, 2006, 06:15:37 AM »
Reply with quote
This one is for the guy who wants to desperately propos her but just can't gather the courage to walk upto her and talk to her..

Nazron se nazre milaye,
Ishq ko nazron se zaahir karwaye,
Magar Izhaar na kar paye,
Yeh ishq kyun itna tadpaye....

Kyun main tumse keh nahin pata,
Iss haal-e-mohabbat ko, samajh nahin pata,
Tumhari hasi mujhe deewana kar de,
adayen tumhari, hosh udha de...

Kwabon mein bhi tum ati ho,
Pyaar bhari nazron se, kuch keh jati ho,
Aaj mein tumse zaroor keh dunga,
Iss bechaini ko aur nahin sahunga...
[/color]
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #118 on: January 03, 2006, 06:33:41 AM »
Reply with quote
wow kyabaat hai dildaar ji aap to ek ke baad ek koob  shayari  likh rahe hain woh bhi superb

AISE HI LIKHTE RAHIYE!!!!!!!!!!!!!!
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #119 on: January 05, 2006, 12:41:20 AM »
Reply with quote
Thanx for the appreciation..Gesujiiii....
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 37
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 08:19:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer