Mohabbat-izhaar

by shayar_dildaar on August 16, 2005, 06:07:12 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 37
ReplyPrint
Author  (Read 37143 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: September 20, 2005, 07:57:03 PM »
Reply with quote
Good one!!
Logged
shyara_neelam
Guest
«Reply #16 on: September 22, 2005, 05:39:48 PM »
Reply with quote
THANX SHAYARJI....
JO CHAND LINE AAP MERE LIYE LIKHE BAHUT ACHHA LAGA...
Logged
shyara_neelam
Guest
«Reply #17 on: September 22, 2005, 06:10:01 PM »
Reply with quote
wah!!! kya baat hain shayarji...bahut khub!!!

Mujhe lagta hain, yeh pagalpan hain,
Lekin dil kehta hain, 'yeh tera deewanapan hain'.
-these 2lines r very nice..

mohhabat karnewala humesha dil jo kahte hai wohi karte hain...
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #18 on: September 22, 2005, 08:31:43 PM »
Reply with quote
Bahut sahi farmaya aapne neelamji. Pyaar mein insan kuch bhi haasil kar sakta hain. Bahut taqat hain mohabbat mein.

Waqt ka koi hosh nahin;
Dil ka bhi koi dosh nahin.
Ab kya kehna iss dil ko,
Jab mujhe mohabbat karne ka koi afsos nahin.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: September 22, 2005, 08:33:40 PM »
Reply with quote
Good lines shayar_dildaar ji!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #20 on: September 23, 2005, 01:26:53 AM »
Reply with quote
"mujhe mohabbat karne ka koi afsos nahin." -- Bahot achhe Shayarji.

Dil per kiska zor chala hai jo yeh man jayega,
Ismey woh tadap hai, jo khuda se bhi lad jayega,

Dilko apane haal pe chhod diya maine, Bahot achha tarana hai yeh,
Mehboob se pyaar ka izhaar karlo, warna tadapane naya bahana hai yeh!

-- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
shyara_neelam
Guest
«Reply #21 on: September 23, 2005, 01:14:55 PM »
Reply with quote
GOOD WORK!!! PUJAJI,BENAMJI ND SHAYAR_DILDARJI...

CHALO DUB JATE HAIN PYAAR KE AISE SAGAR MEIN..
JAHA BASS ARMANO KI SAHIL HOTEY HAIN..
JISE CHUTE HI SARGAM BAAJ UTHTI HAIN DIL KI..
SANGEET SE BHI MITHI AUR SURELA AWAAZ HOTI HAIN JISKI..

SO....HOWZ THIS REPLY SHAYARJI Huh???
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: September 23, 2005, 02:36:42 PM »
Reply with quote
It tarap mai atta ab maja hai
jo haal tera wo hi to mera hai
phir bhi tere chahre per, mera yah sawal
har baat se wakif hai, phir kayun bana anjaan!!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #23 on: September 23, 2005, 03:01:18 PM »
Reply with quote
Maana ke nigaho ki baatain nigahon main samajha di tune,
Lekin humdard, apane hothon ko kyun si liya hai tune,
Ikrar-e-mahobaat zuban bhi kare, deewane ki arzu hai,
Yakin hai humey fir bhi dil kahera hai yeh ikarar teri zabani sune!

-- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #24 on: September 23, 2005, 04:05:31 PM »
Reply with quote
Lajawab likha hain sabhi ne. Neelamji u have written very well. Benam and Pooja are always good as usual.  Hats off to all of u.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: September 23, 2005, 04:11:01 PM »
Reply with quote
Shukariyan Shayar ji!!!!

Dhurv apke jawab mai:

kayon Ishaq ajj Husan se, aise takraya hai
Ik taraf dil de raha hai dastak, doosry taraf haya ka gahra saya hai
na kuch kahty banata hai, ajj maine apni najro ko uthaya hai
na daal bedardi aise waqat mai, jawab ankhon mai pani ban kar ayya hai!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #26 on: September 23, 2005, 04:21:07 PM »
Reply with quote
-- Kuddos to everyone in here specially to shayar_dildaar for such wonderful thoughts and Neelamji ----

-- Excellent Pooja  this one is for you ---

Shabanam ko ankhon se na chhalakane dena,
Smbhalo inhe kahin ke na Qayamat ho jayena!
Na tha irada ke tera imtihaan main lun,
Per Kya karun ikarare mahobaat sune bina raha jayena!

-- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #27 on: September 23, 2005, 05:32:03 PM »
Reply with quote
Unke aanshuo ki kimat na pucho, anmol hain woh,
Ek ek boondh mohabbat k liye hain jo.

Inn aansuo ko dil mein daba kar rakhna nahin aasan,
Saccha mohaabat ka hain woh pehchan.

Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: September 23, 2005, 05:47:10 PM »
Reply with quote
Bahoot khoob shayar_dildaar!!! bahoot acha likha hai apne!!!

Man ke moti, ankho ki shabnam ban jaaty hai!!
Dil ki juban kabhi to dil ka pegaam ban jaaty hai

Husan ki awaz kahin to Ishaq ka aggaaz ban jaty hai
rok le jo ruthy mahboob ke kadam, yah wo janjaal ban jaaty hai!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #29 on: September 23, 2005, 06:11:13 PM »
Reply with quote
Kis andaz main woh apana rukh batate hai,
Arz kisi aur kiya hai aur nishana mujhe banaya hai!

-- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 37
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 25, 2024, 01:04:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer