Mohabbat-Khwab

by shayar_dildaar on September 05, 2005, 12:03:06 PM
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13
ReplyPrint
Author  (Read 12125 times)
shayar_dildaar
Guest
«Reply #165 on: June 12, 2006, 06:20:43 PM »
Reply with quote
Sangy jii and Vicky toh mahan hain...Ek k baad ek likhte hi rehte ho aap log...Behtareen dosto...Enthusiasm aise hi rakhna...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
khwab by sbera in Miscellaneous Shayri
Khwab by qqplus in Shayri for Khumar -e- Ishq
khwab by ajju_sweet in Miscellaneous Shayri
khwab by abeera in Shayri for Khumar -e- Ishq
sangy
Guest
«Reply #166 on: June 13, 2006, 10:18:57 AM »
Reply with quote
Quote from: "vicky AKELA"

bahut khubsoorat likha hai aapne SANGY JI.......
shukriya SHAYAR JI.......

Ek har ada par teri, jaan chidakte hain hum,
husn ko tere raat aur din, tak-te hain hum.....

mile hain aap jabse, rangeen hai yeh zindgi,
isliye bepanah mohabbat tumse karte hain hum....

jhuki nazren phir utha ke yun katl karna tera,
isi andaaz per to sanam, aapke marte hain hum....


am back...  :D

adayein tho thi, yeh haseen hui aapke pyaar mein..

dil tho tha, yun dhadakna jaan gaya tere ishq mein..

nazrein tho jhukthi thi sharmse,
yun nazar uta kar vaar karna, katl-e-aam karna
seekha gaya nazar tere deedar mein...

ab kahiye janaab-e-ala  :wink:
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #167 on: June 13, 2006, 04:22:39 PM »
Reply with quote
kya baat hain...Dono sawaal jawaab ka silsila shayari k zariye..awesum!!!
Logged
sangy
Guest
«Reply #168 on: June 13, 2006, 06:54:10 PM »
Reply with quote
Quote from: "shayar_dildaar"
kya baat hain...Dono sawaal jawaab ka silsila shayari k zariye..awesum!!!


 :D kya karen shayarji... aap bhi tho kuch kahiye na
Logged
nazaakat
Guest
«Reply #169 on: June 13, 2006, 07:56:51 PM »
Reply with quote
Wah wah Wah!!!!!!
Kya baat hain vickyji n sangji....Good going.....
keep it up guyz.......... Usual Smile
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #170 on: June 14, 2006, 03:33:45 AM »
Reply with quote
Khwaab, bass khwaab banke reh gayi ho tum;
Lamhe, woh haseen lamhon ki yaad banke reh gayi ho tum;

Armaan, bass mere dil ke armaan ban k reh gayi ho tum;
Jazbaat, mere jazbaat ki wajah banke reh gayi ho tum;

Aashique, bass aashique karna sikha gayi ho tum;
Shayari, bass 'dildaar' ki shayari banke reh gayi ho tum.....
[/color]
Logged
sangy
Guest
«Reply #171 on: June 14, 2006, 09:37:07 AM »
Reply with quote
Quote from: "shayar_dildaar"
Khwaab, bass khwaab banke reh gayi ho tum;
Lamhe, woh haseen lamhon ki yaad banke reh gayi ho tum;

Armaan, bass mere dil ke armaan ban k reh gayi ho tum;
Jazbaat, mere jazbaat ki wajah banke reh gayi ho tum;

Aashique, bass aashique karna sikha gayi ho tum;
Shayari, bass 'dildaar' ki shayari banke reh gayi ho tum.....
[/color]

bahut hi badiya shayarji..  :D

dekha tujhe tho e-sanam
inn aankhon mein sapne jaag utte..
dil-e-nadaan par yeh hogaya hain kya sitam
ki ab tho armaan bhi bhadak utte..

kaisa hain yeh jazbaat, yeh kaisa hain nasha
behak ke humko iss madhhoshi mein, ab tho aatha hain mazaa..
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #172 on: June 14, 2006, 04:58:28 PM »
Reply with quote
Good 1 sangyjii...
Logged
sangy
Guest
«Reply #173 on: June 14, 2006, 05:31:14 PM »
Reply with quote
Quote from: "shayar_dildaar"
Good 1 sangyjii...


shukriya shayarji...  :D
Logged
nazaakat
Guest
«Reply #174 on: June 15, 2006, 04:16:43 AM »
Reply with quote
Quote from: "shayar_dildaar"
Khwaab, bass khwaab banke reh gayi ho tum;
Lamhe, woh haseen lamhon ki yaad banke reh gayi ho tum;

Armaan, bass mere dil ke armaan ban k reh gayi ho tum;
Jazbaat, mere jazbaat ki wajah banke reh gayi ho tum;

Aashique, bass aashique karna sikha gayi ho tum;
Shayari, bass 'dildaar' ki shayari banke reh gayi ho tum.....
[/color]


Kitna pyaara shayari hain shayarji.....
Liked it...... Usual Smile
Logged
nazaakat
Guest
«Reply #175 on: June 15, 2006, 04:21:53 AM »
Reply with quote
Quote from: "sangy"
Quote from: "shayar_dildaar"
Khwaab, bass khwaab banke reh gayi ho tum;
Lamhe, woh haseen lamhon ki yaad banke reh gayi ho tum;

Armaan, bass mere dil ke armaan ban k reh gayi ho tum;
Jazbaat, mere jazbaat ki wajah banke reh gayi ho tum;

Aashique, bass aashique karna sikha gayi ho tum;
Shayari, bass 'dildaar' ki shayari banke reh gayi ho tum.....
[/color]

bahut hi badiya shayarji..  :D

dekha tujhe tho e-sanam
inn aankhon mein sapne jaag utte..
dil-e-nadaan par yeh hogaya hain kya sitam

Good one sangy ji.... Usual Smile
ki ab tho armaan bhi bhadak utte..

kaisa hain yeh jazbaat, yeh kaisa hain nasha
behak ke humko iss madhhoshi mein, ab tho aatha hain mazaa..
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #176 on: June 15, 2006, 11:05:58 PM »
Reply with quote
Shukriyan Naaz
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #177 on: June 17, 2006, 10:58:12 AM »
Reply with quote
Quote from: "sangy"
Quote from: "vicky AKELA"

bahut khubsoorat likha hai aapne SANGY JI.......
shukriya SHAYAR JI.......

Ek har ada par teri, jaan chidakte hain hum,
husn ko tere raat aur din, tak-te hain hum.....

mile hain aap jabse, rangeen hai yeh zindgi,
isliye bepanah mohabbat tumse karte hain hum....

jhuki nazren phir utha ke yun katl karna tera,
isi andaaz per to sanam, aapke marte hain hum....


am back...  :D

adayein tho thi, yeh haseen hui aapke pyaar mein..

dil tho tha, yun dhadakna jaan gaya tere ishq mein..

nazrein tho jhukthi thi sharmse,
yun nazar uta kar vaar karna, katl-e-aam karna
seekha gaya nazar tere deedar mein...

ab kahiye janaab-e-ala  :wink:


shukriya SHAYARJI aur NAZAAKAT JI.....

Yeh mohabbat ka asar hai, sanam teri aadon me,
kisi ke pyar ka suroor chhaya hai, in fizaon me.....

dil to dhadakta tha, ab baaten karne laga hai mujhse,
kaise yeh kashish hai, in dhadkano ki aawaz me....

vaar karke aankhon se, phir katl mujhe kar jati ho,
yeh kaise hai shararat, kaise shokhi hai teri nigahon me...
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #178 on: June 17, 2006, 04:55:13 PM »
Reply with quote
kya baat hain Vicky sahab....
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #179 on: June 18, 2006, 03:22:56 PM »
Reply with quote
bahut shukriya SHAYAR JI aur GUM JI...
Logged
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:34:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer