Mohabbat-Sirf unke liye

by shayar_dildaar on August 14, 2005, 10:10:38 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 27
ReplyPrint
Author  (Read 29250 times)
shayar_dildaar
Guest
Reply with quote
Kaise Kahu kitna tadap uthta hain yeh dil;
Duur rehna unse kitna hain mushkil.

Soochta hu laut jau unke Saahil;
Lekin kambaqt yeh taalim hain jaahil.

Mohabbat hain unka mere dil mein Sarbasar;
Unke bina yeh zindagi hain zeher.

kaisa saajish hain ye o mere khudha;
Kabh samjhega tu yeh aashiq ka jazbah;
Ab nahin reh sakta unse mein judaah.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
UNKE LIYE KYA RONA by VIKRANT in Shayri-E-Dard
unke liye kya rona jinke aashiq hazaar hai by neha17 in Shayri for Dard -e- Judai
unke liye jo duniya se udas hai!!!!! by deepak_mittal143 in Shayri-E-Dard
MERE KHAWAB UNKE LIYE by amarhellboy in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mohabbat Sirf Wo Jiska Anjaam Mohabbat hai by @kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
shayar_dildaar
Guest
«Reply #1 on: August 22, 2005, 03:22:55 PM »
Reply with quote
Mohabbat ka aabid hoon mein accha;
Ishq farmata hoon apne jaan se saccha.

Koi fikar nahin kya ho anjam;
Main na hone dunga iss pyaar ko badnaam.
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #2 on: September 01, 2005, 09:31:04 PM »
Reply with quote
Mohabbat karna sikhaya, tumne mujhe,
Ab haasil karna chata hu tujhe.

Koi baat nahin, tu mujhse duur rehti hain,
Iss dil mein tere liye pyaar ka suroor hain.

Saccha Mohabbat karta hoo, main nahin darunga,
"Masters" khatam karke tujhse nikaah zaroor karunga.
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #3 on: September 08, 2005, 04:09:08 AM »
Reply with quote
Iss tarah humse naraaz na raho;
Pyaar karta hu tumse, kuchto ab kaho.

Maafi maangta hu apne galti k liye,
Ab to samjho jaanu, yeh dil hain sirf tumhare liye.

Maanta hu galti apni, ab to maaf kar do;
Iss tarah sabke samne humein na galat samjho.

Dard karta hain mera dil, aapke naraz hone se;
Aapke mohabbat k liye taras gaya, rokiye iss dil ko fanaa hone se.
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #4 on: September 22, 2005, 09:03:44 PM »
Reply with quote
yeh kambaqt dil ko aaj samjha raha tha,
Kyunki padne mein maza nahin aa raha tha.

Kaha dil se, kabhi to unki yaad se bahar nikal,
Bechara rooth gaya mujhse aur kehne laga,
'kyun todh raha hain yeh unke yaadon ka mahal'.

Aj tak koi nuksaan bhi to nahin hua,
Kuch mithe pal ko phir se jii to liya.
Shayad thik farmata hain yeh dil mujhse,
Kya karre, khub mohabbat bhi karta hain unse.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: September 22, 2005, 09:21:19 PM »
Reply with quote
wahkaya zazbaat hai!!!! bahoot khoob shayar_dildaar!!

Rub se karegy dua, tuje tera payar mille
Rakhana Irada pakka, jo chahe wo hi Nikah mai mille!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #6 on: September 23, 2005, 12:09:03 AM »
Reply with quote
Ger mahobaat bhara hai dil tera toh na tok isey,
Dilbur ko yaad kare aur dhadakane lage toh na rok isey,
Galati dil ki nahi yeh dosh nazaron ka hai,
Jisane dekha sapana mahobaat ka hai.

Pyaar khuda ki sabase badi nymat hai tujhe,
pyaar ho dil main aur dur ho dilbur toh kaise kuchh sujhe!


-- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
shyara_neelam
Guest
«Reply #7 on: September 23, 2005, 03:30:20 AM »
Reply with quote
WONDERFUL...shayarji...

Kaha dil se, kabhi to unki yaad se bahar nikal,
Bechara rooth gaya mujhse aur kehne laga,
'kyun todh raha hain yeh unke yaadon ka mahal'.
---ABSOLUTELY SUPERB!!!!!
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #8 on: October 01, 2005, 01:42:38 AM »
Reply with quote
Main teri mohabbat mein pagal ho jaonga,
mujhe aisa lagta hain, tujhe kaisa lagta hain.

mera yeh haal hua tujhe milne se,
rehti hain teri tasveer harpal mere  aankhon mein.


This is a part of a song from from tridev. [/b]
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #9 on: October 26, 2005, 03:50:09 PM »
Reply with quote
Har taraf phaili huiyee hai chaandni hi chaandni
Jaise woh khud saath hain, unki jawani ke saath
 
- 'Makhdoom Mohiuddin'
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: October 26, 2005, 04:10:55 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai bahoot hi khoob!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #11 on: October 26, 2005, 04:16:38 PM »
Reply with quote
Nazar Nazar Se Baat Karti Hai
Na Jaane Kyun Aaj Zindagi Aahein Bharti Hai

Koi Dil Main Utar Raha Hai Iss Mausam Main
Saansein Tej Tej Meri Chalti Hai

Uske Pyaar Ne Mujhe Bigoya Hai Aise
Saath Uska Abh Zindagi Maangti Hai

Nahi Raha Khudka Koi Kaabu Mujhpe
Hukam Uska HI Saansein Maanti Hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: October 26, 2005, 04:25:50 PM »
Reply with quote
Nice badnaam_shayar!!!

door rah kar wo sataaty hai
passs akar muchal jaaty hai!!
kabhi duppta, kabhi mera chehra
hatho mai lekar, kai sawal puch jaaty hai!!

Dharkane kabhi dorrati hai to kabhi thum jaati hai
Sun kar unke sawaal, najare meri jhuk jaati hai!!
hokar madhosh, yah ankhein band ho jaati hai
Lipat kar unke seene se, her sawal ka jawab de jaati hai!!!
Logged
nazaakat
Guest
«Reply #13 on: October 28, 2005, 11:56:54 AM »
Reply with quote
bahoot yaad ati hain woh lamhe jo saath saath guzaare the hum...
udas ho jati hoon to saheliya puchti hain kisne kiya hain mera eh haal...
ab kaise samjhau unhe kitni acchi lagti hain kisi ki hone ka eh ehsaas har pal...
:D  :D
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #14 on: October 30, 2005, 07:27:44 AM »
Reply with quote
Hey Nazaakat nice 1.
Main teri mohabbat mein pagal ho jaonga,
Main teri nighahon se ghayal ho jaonga,

Deewana aaj nahin to kal ho jaonga,
tere dil mein jakar tujhe zaroor mein tadapaunga.

Jee chahe teri aankhon main kho jau,
Aaj abhi issi waqt tujhe mil jau.

Kab taq aakhir hum ek dusre ko milne k liye tadapenge,
Kab sawan ayega aur pyaar k badal barsenge.

Tujh bin labh par aur koi naam nahin ata,
Ab mere dil ko chain nahin ata.

Main teri mohabbat mein pagal ho jaonga,
Mujhe aaisa lagta hain, tujhe kaisa lagta hain.


--This is a part of a song from Tridev slightly by me. Its my favourite song.
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 27
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:42:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.09 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer