Mohabbat-Wada nibhana

by shayar_dildaar on August 20, 2005, 08:04:40 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3760 times)
shayar_dildaar
Guest
Reply with quote
Na jane kyun ek pal k liye laga, yeh mohabbat dhakosle baji hain;
Na jane kyun laga aisa ki woh mohabbat se khel rahi hain.

Phir poocha apne aap se, kya woh aisa kar sakti hain;
Dil ne di awaaz, 'nahin', kyunki woh tumse saccha mohabbat farmati hain.

Phir kyun mukar jati hain mujhe zabaan dekar;
Yeh dil ruth jata hain unka ‘naa’ sunkar.

Aj maine unhe khub dant diya;
Phir yeh dil ne akele mein khub dard diya.

Dil ne kaha mujhse unhe dantna na tha;
Poonch lete ekbaar kya unpar koi aafath tha.

Maafi maang lenge kal unse hum;
Lekin wada na nibhane k liye tumse bahut khafa hain sanam.
Logged
Ghazal
Guest
«Reply #1 on: August 21, 2005, 02:17:08 PM »
Reply with quote
shayar bohot khoob

har pal tum hi tum mari nazar mein ho
tumhay itna chahty hai key tumhay khabar bhi na ho

zindgi tujhsey shuru tujh par khatam
her pal tum mary jiger mein raho

mohobat ki kasam naa kbhi jhooti ho
assi hamari mohobat ho
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #2 on: August 21, 2005, 05:16:06 PM »
Reply with quote
wah....bohat khoob shayar ji....and ghazal.........!!!!!!!!
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #3 on: August 21, 2005, 09:20:31 PM »
Reply with quote
thanx once again
Logged
Ghazal
Guest
«Reply #4 on: August 22, 2005, 04:18:15 AM »
Reply with quote
thx nidhi thx a lot

koshsh hamari jaari hai
hamy bhi kuch shyari ki bimari hai

shayar to nahi bas paygy hum
par shyari karna nahi chorygy
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #5 on: August 22, 2005, 02:46:54 PM »
Reply with quote
Good job Ghazal. Well since u call urself modern paroo, I thought y not consider Modern Paroo as a subject and conjure sumthing.......

Shayari yeh nahin koi bimaari;
Yeh Mohabbat ke alfaz hain tumhari.

Shayari se bayan karte hain hum apna dil -e-haal;
Agar yeh na hota to dil ka kon rakta khayal.

poocho apne dil se, 'kyun karta hain tu shayari';
Woh kahenga tumse, "zahir karta hoon dastaan humari".

Paroo kyun kehte ho apne aap ko;
Khush kismat ho jo tumne ishq kiya hain devdas ko.......
Logged
Ghazal
Guest
«Reply #6 on: August 24, 2005, 11:01:18 AM »
Reply with quote
thx shayar jii ya batany kaa
par ya andaaz hai hamra
shayari ko samjhny ka
janty hai hum ki shayari awaaz hai dil ki
lakin ya shayari hi to hai
jo shayar ko bimaar banati hai
or dil kaa haal samjhati hai
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #7 on: September 01, 2005, 09:12:46 PM »
Reply with quote
Good work
Logged
Ghazal
Guest
«Reply #8 on: September 03, 2005, 11:49:24 AM »
Reply with quote
mohobat wada nibhti nahi
mahboob nibhata hai
wada karna to sabko aata hai
magar wada nibhajana kisi ko nahi aata

kahty hai loog ki waada torny key liya hi bana hai
abb agar koi wada toor bhi day to issmy
us bichary ka kya gunha hai
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #9 on: September 06, 2005, 04:21:20 AM »
Reply with quote
Wada nibhana yeh mohabbat ka hai wasool,
Agar wada na nibha sako to tum jao humein bhool.
Fizul ishq karke kyun waqt mein barbaad Karu,
Wada nibhana siko janam, warna main kyun tumpar maru.
Logged
Ghazal
Guest
«Reply #10 on: September 06, 2005, 04:34:39 AM »
Reply with quote
accha likha hai apny mager

ishq kisi wady ka mohotaaj nahi hai
ishq to ishq hai koi tash nahi hai

mohobat  mein marna koi ahsaan nahi hai
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #11 on: September 06, 2005, 04:47:05 AM »
Reply with quote
Agar mil na sakhe unse, to kya hain yeh zindagi;
Iss baath ko woh zaroor samjhegi.
Iss liye kehta hu, wada nibhana hain zaroori,
Warna yeh zindagi hain adhuri.
Logged
Ghazal
Guest
«Reply #12 on: September 06, 2005, 05:39:50 AM »
Reply with quote
very nice

wada na karo ishq mein ger nibha na sako
mohobat to badnaam hai uaasy or badnaam na karo
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #13 on: September 06, 2005, 08:34:58 AM »
Reply with quote

     Ke yun wadon pe wade kiu uthate aur kia batate ho
     Kiya hai isk to sitam-e-isk se ghabrate ho
     Jab kia nahi bharosa to kaun sa isk farmate ho
     basa hai pyar har iradon me tum kiun wo wada bhul jate ho
     koi hogi aaisi majburi jisper wo aa nahi pate ho
     aare kho jau pyar me in wadon pe kiu rah jate ho.


Sorry shyar sirji , way of expression is not so polite may u wont like it but i have just tried to write somthing .
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:47:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer