morey piya hain door......

by mudassirali on July 07, 2010, 04:07:58 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1199 times)
mudassirali
Guest
Reply with quote
assalamalaikum, yeh mainey ek ladki ki apney zindigi bhar key hamrahi sey juda honey par woh kya soch sakti ,ko dhyan mein likhi hai ummeed hai pasand aayeygi.

 :'(morey piya hain door nazar sey, door des ja baithey hain
aahein hoon leti chup hoon rehti, aaoonga jab woh kehtey hai

patiyan likh kar in ansuan ki, kagaj bhigoya karti hoon
pagal hai tu, kyun roti hai, mujh sey phir woh kehtey hai

raat raat bhar, jaag jaag kar aaney kay din ginti hoon
ab aaoonga tab aanoonga, mujh bholi ko yoon kehtey hai

rahat nahin hai, sukoon mera cheen liya us zalim ney
dhang sey tum khaana peena, hanstey hanstey kehtey hai
 
maalum hai mujhey, andaza hai, dukh mein woh bhi to rehtey hain
par apney dil ka haal woh kyon nahin mujh sey kehtey hain.

(mudassir)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Paas hoke bhi door hain by poem143s in Shayri for Dard -e- Judai
Manzilein door hain... by diya786 in Miscellaneous Shayri
wo buhat door hain (NM) by vb in Miscellaneous Shayri
Hum Unse Door rehte hain by raahgir in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Door ke dhol sab suhane hain by Iftakhar Ahmad in Kaifiyaat-ae-maye
Ghulam Haider
Guest
«Reply #1 on: July 08, 2010, 12:13:09 AM »
Reply with quote
assalamalaikum, yeh mainey ek ladki ki apney zindigi bhar key hamrahi sey juda honey par woh kya soch sakti ,ko dhyan mein likhi hai ummeed hai pasand aayeygi.

 :'(morey piya hain door nazar sey, door des ja baithey hain
aahein hoon leti chup hoon rehti, aaoonga jab woh kehtey hai

patiyan likh kar in ansuan ki, kagaj bhigoya karti hoon
pagal hai tu, kyun roti hai, mujh sey phir woh kehtey hai

raat raat bhar, jaag jaag kar aaney kay din ginti hoon
ab aaoonga tab aanoonga, mujh bholi ko yoon kehtey hai

rahat nahin hai, sukoon mera cheen liya us zalim ney
dhang sey tum khaana peena, hanstey hanstey kehtey hai
 
maalum hai mujhey, andaza hai, dukh mein woh bhi to rehtey hain
par apney dil ka haal woh kyon nahin mujh sey kehtey hain.

(mudassir)
Bhai Mudassir Ali baRe jazbaat se likha hai aapne. Aap ka andaaz bohot pasand aaya. Likhte rahiye.
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #2 on: July 08, 2010, 03:57:18 AM »
Reply with quote
 Applause Applause
good one friend
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: July 08, 2010, 05:41:02 AM »
Reply with quote
Nice one Ali Ji
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #4 on: July 08, 2010, 06:24:50 AM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB ANDAZ HAI AAP KA MUDASSIR SAHEB!
ISI SE MUTALLIQ KUCH MERI JANIB SE BHI..........

JANE KOUN GALI ME CHODI TUNE RAIN GATHARIYA
KIS SE POOCHOON, KIT JAON ,MANN KAISE SAMJHAOON
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:05:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer