<>*Mujhe Apna Bana Jao Na !!!*<>

by *KasaK*....Dil Ki on July 15, 2010, 10:32:50 AM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 4515 times)
waquif ansari
Guest
«Reply #15 on: July 16, 2010, 11:57:05 AM »
Reply with quote
Mohtarma KasaK Dil Ki Saheba! Adaab!

Aapki khoobsurat tehreeroN meiN aik jaan hai. Kya baat hai, bahut achchha likhti haiN aur dil se likhti haiN. Aisi khoobsurat tehreer k liye mubaarakbaad k saath hazaaroN daad qubul kareN. Aapki tehreeroN se mehzooz hokar aur aapke qaafiye aaona, jaaona par turant aik ghazal kah di jise maiN ne yooN to yoindia par post kar diya hai lekin maiN ye chaah raha hooN ke aapki tehreeroN ke neeche ise post kar dooN. Lijiye ye ghazal aapki samaa-at ke hawaale karta hooN:

A ! nazar se nazar milaao na
Tirchhi nazroN se gul khilaao na

Tum ko apna bana liya hum ne
Tum bhi apna hameiN banaao na

Door tak haath thaam kar mera
Ishq ki rasm kuchh nibhaao na

Dekho taRpeNge raat bhar yooNhi
Is qadar zulm dil pe Dhaao na

Aa gaye ho hamaari khwaboN meiN
Zindagi meiN chale bhi aao na

Ab mulaaqaat phir kahaN hogi
Chupke chupke mujhe bataao na

Door kyuN ho hamaari nazroN se
Aao WAQUIF qareeb aao na

(Waquif Ansari)

Mujhe Apna Bana Jao Na !!!

Apne Ehsaas Se Mujhe Sparsh
Kar Jao Na
Tum Mujhe Chhu K Kundan
Bana Jao Na!!!

Sajna Sawarna Bhul Chuki Hun
Yaadon Mein Teri
Tum Apne Haathon Se Mujhe
Saja Jao Na !!!

Ye Hawaein Udake Le Jati Hain
Aanchal Mera
Isse Thamlo... Mujhe Mehfuuz
Kar Jao Na !!!

Main Shama Ban Jal Rahi Hun
Kabse Tere Liye
Tum Bhi Parwane Ban Mujh
Par Mandrao Na !!!

Naam Ret Par Nahin Apne Dil
Par Likha Hai Maine
Tum Bhi Apne Dil Par Meri
Tasveer Sajao Na !!!

Raatein Kat Rahi Hain Sirf
Tere Intezar Mein
Tum Aa Jao Aur Mujhe Apna
Bana Jao Na !!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
apna bana lo by gstyagi in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Apna Bana Lo by ehsaas chahat ka in Share:Love Poetry
Mujhe Apna Bana Lo by ehsaas SK ka in Share Video
***Apna Bana Lo*** by AVTAR RAYAT in Share:Love Poetry
Mujhe Apna Bana Lo..!!.....................Shireen Hakani by Shireen Hakani in Shayri for Khumar -e- Ishq
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #16 on: July 16, 2010, 12:15:14 PM »
Reply with quote
ufffffffffff........itni tareeffff.....
iss layak main hun kabhi socha nahin tha....lagta hai aaj udne lagungi.....bht bht shukruya aapka waquif ji k aapne itna pasand kiya mere likhe ko.....
aapki tareef ne to hausla badha diya ji....


aakne jo gazalpesh ki hai  usi andaaz me kehna chahungi kuch.....

rasmon ko chhod k tod k tum
mujhe ab apne ghar le jao na

mujhe mang lo zaalim zamane se
na maane zamana to isse lad jao na

ye  paak mahobbat hai mere sanam
aaj iski ibaadat tum kar jao na

khuda ki neymat se mile ho tum mujhe
ab karo na ruswa aao mere ban jao na...!!
[/color]
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #17 on: July 16, 2010, 12:48:50 PM »
Reply with quote
Wah bahot khoob Kasak ji aur Waqif ji. Kamaal ki shyari hai.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #18 on: July 16, 2010, 01:54:45 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
bahut bahut shukriya Kasak ji... !!! aur bahut hi khoob likha hai aapne...!!!

ye nazar hi to hai jo be-imaan ho jaati hai,
jab kisi se kisi ko mohabbat ho jaati hai,

lab khamosh rehte hain khauff-e-inkaar se,
par ishaaron se wo sab sach keh jaati hai,

haal kuch aisa hai aaj hamaari dhadkano ka,
na kuch keh paati hai na chup reh paati hai,

haale-e-dil aapka bhi kuch hamare jaisa hi hai,
kuch aise shabd hain jo hothon pe aati jaati hai,

nazrein to aapki bhi kuch kam nahi hain yaar,
aapki khaamoshi bhi bahut kuch keh jaati hai...


*****HRIDAY*****

uffffffffff.........kya khubbb kaha hai ji......mahobbat ka izhaar bhi aur issraar bhi...badhiya ji bht badhiya....

aaj aapki nazar kuch beimaan hui hai
jab se aapki  nazrein humse char hui hai

keh rahi hain ye kai aise afsaane
jinse hamari palkein sharm se bezaar hui hai

hothon ka kampkampana kuch iss tarah ka hai
jaise hamare labon se inki kai baat hui hai

ab to churalo hume apne aap se k
hamari har dhadkan ab tumhare naam hui hai
[/color]
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #19 on: July 16, 2010, 02:28:05 PM »
Reply with quote
Beintehaan Khubsoorat aur Dil ko Chhoo Jane wali Peshkash Hai Kasak Ji.. Ek Ek Lafz Mohabbat Ke Ehasaason se Bhara hai.. ek Behad hu Pyaar bhari Peshkash hai aapki.. Applause Applause

Daad Kubool karen Dil se..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Kapil Bhai & Waquif Ji.. aapne Bhi Kamal likha hai.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #20 on: July 16, 2010, 02:35:35 PM »
Reply with quote
waahhhhh....Hriday ji.......haal e dil kya khub kaha hai....

nazar jhukti hai fir uth jati hai
uss chehre pe na jane kyun atak jati hai

mud mud k dekhti hain rasta unka
jab unki gali se ye guzar jati hai

dhadkane badh jati hain dekhte hi unko
unki nazar bhi kuch mujhe aazmati hai

sharm se palkein ho jati hain bhaari
na chahke bhi samne unke jhuk jati hai

lub karna chahte hain dheron baatein
awaaz gale me hi dab k reh jati hai

wo jab guzar jate hain paas se hamare
har dhadkan sirf unke surr sajati hai...!!!
[/color][/color]
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #21 on: July 18, 2010, 05:30:31 AM »
Reply with quote
bahut khoob Kasak ji... aapke jawaab ka bhi jawaab nahi... bahut khoobsurat alfaazon me aapne mohabbat ko pesh kiya hai... bahut khoob...!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

kuch kuch haal hamara bhi hai tumhaare jaisa,
jab se mohabbat hui hai jaane ye asar hai kaisa,

qaboo hamare dil pe bhi nahi raha ab to hamara,
ab to har mausam lagta hai humein sawan jaisa,

suraj ki pehli kiran jo chhoo ke aati hai tumhe,
mere liye wo laal rang bhi hai indradhanush jaisa,

har rang tumse hai, har khushi bhi tumhi se hai,
jab se mili ho humse tum hamara haal hai kuch aisa...


*****HRIDAY*****
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #22 on: July 18, 2010, 05:48:32 AM »
Reply with quote
Wow bahut khoob Kasak ji,mindblowing creation,wonderful lines by Ansari ji ad Kapil ji,aap sabhi ne bahut khoob likha icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause Usual Smile
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #23 on: July 18, 2010, 05:53:47 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Mann ji...!!!

Beintehaan Khubsoorat aur Dil ko Chhoo Jane wali Peshkash Hai Kasak Ji.. Ek Ek Lafz Mohabbat Ke Ehasaason se Bhara hai.. ek Behad hu Pyaar bhari Peshkash hai aapki.. Applause Applause

Daad Kubool karen Dil se..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Kapil Bhai & Waquif Ji.. aapne Bhi Kamal likha hai.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #24 on: July 18, 2010, 05:54:19 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Madhu ji... aapko bahut din baad Yo me dekh k achcha laga...!!!

Wow bahut khoob Kasak ji,mindblowing creation,wonderful lines by Ansari ji ad Kapil ji,aap sabhi ne bahut khoob likha icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause Usual Smile
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #25 on: July 18, 2010, 12:30:17 PM »
Reply with quote
Kahin koi mujhe apna bana na le....... Giggle Giggle Giggle

Yaar es episode ka shirshak ye hona chahiye tha......Ekta kapoor

Yaar Kasak Aur Kapil chha gaye ho tusi,,,,,
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #26 on: July 18, 2010, 07:08:44 PM »
Reply with quote
hahahahahahaha... Koyal ji tusi bhi great ho.... thanx a lot dear... bahut bahut shukriya ki aapne ise apna waqt diya aur padha... bahut bahut shukriya dear...!!!

Kahin koi mujhe apna bana na le....... Giggle Giggle Giggle

Yaar es episode ka shirshak ye hona chahiye tha......Ekta kapoor

Yaar Kask Aur Kapil chha gaye ho tusi,,,,,
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #27 on: July 18, 2010, 07:16:01 PM »
Reply with quote
ufffffffff kya kahen kya khuubb kaha hai aapne Klaskar ji.....

mehak gai hain saansein aur nikhar gaye hain hum
dekha hai jab se tumne kuch sanwar gaye hain hum

rehte the khoye khoye hamesha hi gumsum
ab to khilkhilate rehte hain har pal hum

sambhal sambhal kar sehme se chalte the raahon me hum
ab to ladkhada rahe hain kyun hamare kadam

aanchal sambhalne ki nahin thi soch kabhi humme
aaj ghanto aaine me khudko niharte rehte hain hum

ek bar hai jo mili jo aapse meri nazar
tab se hi kuch yun badal gaye hain hum...!!!!
[/color]
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #28 on: July 18, 2010, 07:49:28 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Shukriya Kasak ji.... aur bahut hi pyaara jawaab diya hai aapne bhi... aapka jawab madhoshi se bhara huwa hai... bahut hi khoob sarkaar... bahut khoob likha hai aapne...!!!


kehte hain mere dost ab ye, tu raha nahi pehle jaisa,
kaise unko sach me bolun, mil gaya hai koi aap jaisa,

har haqeeqat aap hi ho, khwaabon me bhi aap hi ho,
dost na samajh sakenge ki kyun hai mera haal aisa,

unse bas main itna kehta, kuch nahi hai baat yaaron,
kyun nahi samajhte ho tum, mai hoon ab bhi pehle jaisa,

baat na chhipi thi unse aur na chhipa paaye hum,
kehte hain dost mere ki ho gaya hai kuch ishq jaisa,

hosh ek pal ka nahi mujhe, aur sabra ek pal ka nahi,
aankhen kholu ya ho band har sama dikhe aap jaisa,

saanson me bhi aap hi ho, dhadkano me bhi aap hi ho,
subah se lekar shaam tak ab har peher me aap hi ho,

din bhi lagta aap jaisa , raat bhi hai aap jaisa,
aasma kya zameen kya hai ye jahaan lage aap jaisa,

sach kahun to, ab to main bhi main nahi hoon,
haal kuch aisa hai jaana sab lage hai aap jaisa...


*****HRIDAY*****
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #29 on: July 18, 2010, 08:05:40 PM »
Reply with quote
aahaaaaaaaa.......deewana kar degi aapki shayri to hume........
kya khub bayan ki hai naye naye pyaar me fase ki halat.....
waahhhhh klaskar ji waahhhhh......gudguda gai dil ko aapki ye peshkash.....

yun na samjho aap k sirf aapka hi haal hai aisa
ab to meri sakheyaan bhi kahti hain mujhe aisa waisa

kehti hain kyun badli hai tu
kyun uljhi si rehti hai tu
baat baat pe ghabrati
fir kyun sharma jati hai tu
bikhre bikhre baal thi rakhti
ab kyun inhe sanwarti hai tu
aankhon meye laali liye
kispar bijli girati hai tu
main kuch bhi na keh pati
bas chup hi reh jati
palkein na main utha pati
warna wo sab ye jaan leti

jaise radha k dil me base hain mohan waisa
nazron me basa hai mere ek chehra aap jaisa...!!!
[/color][/color]
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 09:04:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer