mujhe ishtahaar si lagati hain, ye mohabbaton ki kahaniyan

by chiraaaaaaaaag on May 19, 2005, 08:55:01 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1208 times)
chiraaaaaaaaag
Guest
Reply with quote
yun hii besabab na phiraa karo, koi shaam ghar bhi raha karo
vo Gazal ki sachchi kitaab hai, use chupke chupke padha karo


koi haath bhi na milayega, jo gale miloge tapaak se
ye naye mizaaj ka shahar hai, zaraa fasale se mila karo


abhi raah mein kai mod hain, koi ayega koi jayga
tumhe jisne dil se bhula diya use bhulane ki duaa karo


mujhe ishtahaar si lagati hain, ye mohabbaton ki kahaniyan
jo kaha nahin vo sunaa karo, jo sunaa nahin vo kahaa karo


kabhi husn-e-pardaanashin bhi ho zara ashiqana libaas mein
jo main ban-savar ke kahin chalun, mere saath tum bhii chalaa karo


ye khizaa kii zard-si shaam mein, jo udaas ped ke paas hai
ye tumhare ghar ki bahaar hai, ise aansuon se haraaa karo


nahin behijaab vo chand sa ki nazar kaa koi asar nahin
use tanii garmi-e-shauq se badi der tak na takaa karo
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #1 on: May 19, 2005, 09:22:51 AM »
Reply with quote
kya baat hai Chiraag ji tttooooooooo good ........realy

isske aage hum kya likhe hum iss fasane ki
haath kaap rahe hai dil dadhak raha hai
ki jaise chin li ho humse takat kalam uthane ki
tere chiragon ki roshni itni jayada hai
ki mujhe dikhai nahi deti koi aur seh zamane ki
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #2 on: May 19, 2005, 10:32:23 AM »
Reply with quote
shukriya meharbaan aapko hamara kuch to pasand aaya
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #3 on: May 19, 2005, 10:37:33 AM »
Reply with quote
hume tuh aapki shayari kafi pasand aai hai jara se dino main chaa gaye hai aap

teri baaton se bikhri hai vo khusbu
jaise meri basti mehka gaya koi
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #4 on: May 19, 2005, 10:59:18 AM »
Reply with quote
poori zindgi jeete rahen hain isi kadar hum .....
laash dekh kar keh raho ho shandar hai
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #5 on: May 19, 2005, 11:10:58 AM »
Reply with quote
khudko laash kehke duniya ko samsaan na kar
ki aur bhi log haoi jo mar marke jite hai yahan
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #6 on: May 19, 2005, 11:22:43 AM »
Reply with quote
saaf zaahir hai nigahon se ki ham marate hain
muh se kahate huye ye baat magar darate hain

ek tasvir-e-muhabbat hai javanii goyaa
jis mein rangon ki ivaz Khunn-e-jigar bharate hain

jo bhi jaisa hai sab aap ki nazar karte hain
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #7 on: May 19, 2005, 01:17:17 PM »
Reply with quote
Quote from: "chiraaaaaaaaag"
yun hii besabab na phiraa karo, koi shaam ghar bhi raha karo
vo Gazal ki sachchi kitaab hai, use chupke chupke padha karo


koi haath bhi na milayega, jo gale miloge tapaak se
ye naye mizaaj ka shahar hai, zaraa fasale se mila karo


abhi raah mein kai mod hain, koi ayega koi jayga
tumhe jisne dil se bhula diya use bhulane ki duaa karo


mujhe ishtahaar si lagati hain, ye mohabbaton ki kahaniyan
jo kaha nahin vo sunaa karo, jo sunaa nahin vo kahaa karo


kabhi husn-e-pardaanashin bhi ho zara ashiqana libaas mein
jo main ban-savar ke kahin chalun, mere saath tum bhii chalaa karo


ye khizaa kii zard-si shaam mein, jo udaas ped ke paas hai
ye tumhare ghar ki bahaar hai, ise aansuon se haraaa karo


nahin behijaab vo chand sa ki nazar kaa koi asar nahin
use tanii garmi-e-shauq se badi der tak na takaa karo


wah chiraag ji,aapki ye kavita bhi bohat pasand aayi.
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #8 on: May 19, 2005, 05:06:36 PM »
Reply with quote
Woh dil-nawaaz to hain, lekin nazaar-shanaaz nahin

Mera ilaaz charagaar ke paas nahin


Guzaar rahein hain marhaalon se 'chiraag'

sahar ki aas to hai, zindagi ki aas nahin

(marhaalon =muflisee)
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #9 on: May 20, 2005, 04:19:42 AM »
Reply with quote
again very good

nigaahein sach bolti hai
ye dil ke bedh kolti hai
inse hi diwangi chati hai
ki inse hi aashiq nashe main dolte hai

Vo nazar se dil main utar gaye
hum ek aah bhi na bhar sake
kya alam tha na jane koi
vo jaan meri le gaye hum mar ke bhi jee gaye
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #10 on: May 20, 2005, 05:04:13 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
again very good

nigaahein sach bolti hai
ye dil ke bedh kolti hai
inse hi diwangi chati hai
ki inse hi aashiq nashe main dolte hai

Vo nazar se dil main utar gaye
hum ek aah bhi na bhar sake
kya alam tha na jane koi
vo jaan meri le gaye hum mar ke bhi jee gaye
ya, again very good chiraag ji.

very good sandhaya,excellent work.
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #11 on: May 20, 2005, 05:36:25 AM »
Reply with quote
sukhriya Nidhi JII ...........

Tere himaat afaji aisi hai jaise
gumon ke der main khusi koi
Logged
kaish lative
Guest
«Reply #12 on: May 20, 2005, 07:24:27 AM »
Reply with quote
Quote from: "chiraaaaaaaaag"
yun hii besabab na phiraa karo, koi shaam ghar bhi raha karo
vo Gazal ki sachchi kitaab hai, use chupke chupke padha karo


koi haath bhi na milayega, jo gale miloge tapaak se
ye naye mizaaj ka shahar hai, zaraa fasale se mila karo


abhi raah mein kai mod hain, koi ayega koi jayga
tumhe jisne dil se bhula diya use bhulane ki duaa karo


mujhe ishtahaar si lagati hain, ye mohabbaton ki kahaniyan
jo kaha nahin vo sunaa karo, jo sunaa nahin vo kahaa karo


kabhi husn-e-pardaanashin bhi ho zara ashiqana libaas mein
jo main ban-savar ke kahin chalun, mere saath tum bhii chalaa karo


ye khizaa kii zard-si shaam mein, jo udaas ped ke paas hai
ye tumhare ghar ki bahaar hai, ise aansuon se haraaa karo


nahin behijaab vo chand sa ki nazar kaa koi asar nahin
use tanii garmi-e-shauq se badi der tak na takaa karo


mujhe abhi tak sabse achhi shayri aap ki lagi. mera matlab yehan per jitne bhi hain unme.
jawab main baad me dunga
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #13 on: May 21, 2005, 02:35:54 PM »
Reply with quote
kaish sahaab aapko tootte darakth aache lagte hai kabhi jaab hara bhara tha bahutoon ka aasra hua karta tha subah se sham hone ka pata nahin chalta tha ..........................
 
par ab dua nikalti hai yahi dil se ki sehar ho jai
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:58:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer