::::::::: my frnd ::::: aniza

by fakharenaveed on May 05, 2005, 02:19:18 AM
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 4121 times)
fakharenaveed
Guest
Reply with quote
kisi terang kisi sar khushi mein  rehta tha
ye kal ki baat hai dil zindgi mein rehta tha
bass ik shaam bari khamashi se toot gya
humain jo maan teri dosti pe rehta tha
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
-:::::: WhO Is YoUr BeSt FrNd oN YoIndiA ::::- by fakharenaveed in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 3  All »
-::::::::: aniza ::::: by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
wording bye aniza by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
frnd by yoshiki in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
All 4 frnds & frnd of all................ by archana.jsr in English
fakharenaveed
Guest
«Reply #1 on: May 06, 2005, 02:12:03 AM »
Reply with quote
be etbaar  waqat pe jhunjhla k ro pare
kho kar kabhi usay to kabhi pa kar ro pare
khushiaan humare paas khan mustaqal rahin
baher kabhi hanse bhi to ghar aa k ro pare
kab tak kisi k sogh mein roain gay beth kar
hum khoud ko kitni baar ye samjha k ro pare
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #2 on: May 08, 2005, 01:51:58 AM »
Reply with quote


wo larki bhi aik ajeeb paheli thi.
piyasay hount thay aankh jesay sumander thi.
suraj is ko dekh k peela parta tha.
wo sarma ki dhoop mein dhul kar nikli thi.
us ko apne saaye se bhi dar lagta tha.
suraj k sehraa mein wo thanha hirni thi.
aate jaate mosam is  ko daste tahy.......
hanste hanste palkoun  se ro parti thi....
door se ujray mander jesa ghar us ka.
wo apne ghar mein akloti devi thi.
tyez hawa ko rook k apne anchal per.
souke phool ikthay karti phirti thi,
sab par zaaher kar deti thi bhed apna.
sab se ik tasveer chupaye rakhti thi.
kal sham chakna chuur hua tha dil us ka.
ya phir pehli baar wo khoul k rooyi thi.
mohsan =kia jane kioun dhoop se beparwa .
wo apne ghar ki dehleez pe bethi thi !
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #3 on: May 08, 2005, 01:56:29 AM »
Reply with quote
hum log na thay aisay
hain jesay nazar aate
ae waqat gawai de
hum log na thay aisay
ye shehar na tha aisa
ye roog na thay aisay
divaar na thay rishtay
zindaan na thi basti
khuljaan na thi hasti
youn mot na thi sasti
ye aaj jo souart hai
halaat na tahy aisay
tafreeq na thi aisi
sanjoog na thay aisay
ae waqat gawai de
hum log na tahy aisay



aniza
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #4 on: May 12, 2005, 02:35:39 AM »
Reply with quote
KOUCH DER INTAZAR KARAIN
chalo kouch der intazar karain
shayed k us  k dil se badgumani ki baraf pigal jaae
shayed k us ki ana ka souraj aik din dhal jaae
shayed k wo kouch hum se mine ko machal jaae
chalo kouch der intazar karain
ho sakta hai wo ana ki dewaar gira dalye
ho sakta hai wo ehad-e-dosti nibha dalye
ho sakta hai wo humain aakhri baar bula dalye
chalo kouch der intazar karain
mumkin hai apni qismat mein mein bhi koi kamal ho jaae
us ka dil bhi humari tarha dard se nidhaal ho jaae
chalo kouch der intazar karain
muqadar ki taareek  raatoun k jaane ka
us bichray dost k lot aane ka
us ko bhi kheyal aaye humain maanay ka
chalo kouch der intazar karain.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #5 on: May 12, 2005, 08:29:51 PM »
Reply with quote
kaise kahoon ki dil ko teri justuju nahin
yeh aur baat hai ki meri kismat mein tu nahin
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #6 on: May 13, 2005, 09:10:18 PM »
Reply with quote
hamare dil ka aalam aap dil se apne samjhiye
hum ne aap ko dil diya aap humein bhi dil dijiye


humein pata hai hamara dil aap ke liye kitna bekaraar hai
aap to lekin kabhi nahin aaye phir bhi humein aap ka intezaar hai


yeh kaisa hai aalam yeh kaisa hai muskil
jitna bhi samjhe nahin maanta mera dil.


kaise kahoon ki dil ko teri justuju nahin
yeh aur baat hai ki meri kismat mein tu nahin
Logged
TERA_ASHIK
Guest
«Reply #7 on: May 14, 2005, 03:29:14 AM »
Reply with quote
Quote from: "fakharenaveed"
kisi terang kisi sar khushi mein  rehta tha
ye kal ki baat hai dil zindgi mein rehta tha
bass ik shaam bari khamashi se toot gya
humain jo maan teri dosti pe rehta tha


tum hame nahi chahati khair
koi gamm nahi
par tughe  hum bhool gaye
aise hum  nahi
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #8 on: May 14, 2005, 09:23:18 PM »
Reply with quote


Meri zindagi ke saath
yun to guzre hai her ek pal khushi ke saath
phir bhi koi kami si hai kyu zindagi ke saath

rishtey,wafayaan,dosti sab kuch to paas hai
kya baat hai pata nahi dil kyu uddaas hai

her lamha hai haseen nayi dilkashi ke saath
phir bhi koi kami si hai kyu zindagi ke saath

chahat bhi hai sakoon bhi dilbari bhi hai
aankhoon mein khuwaab bhi hai loboon par hansi bhi hai

dil ko nahi hai shikayat kisi ke saath
phir bhi koi kami se hai kyu zindagi ke saath

socha tha jaise waise ji jewan to hai magar
ab aur kisi ki talaash main bechain hai nazar

qudrat ki to meherbani hai darya dili ke saath
phir bhi koi kami se hai kyu zindagi je saath......

Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #9 on: May 17, 2005, 01:16:36 AM »
Reply with quote
Har koi pyar ke liye tarapta hai,
Har koi pyar ke liye rota hai,
mere pyar ko galat mat samajna,
pyar to dosti mein bhi hota hai
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #10 on: May 17, 2005, 08:43:15 PM »
Reply with quote
Har kartey mein woh yun basi,
Ki dil-e-khoon to abb pani hai.
Yeh umar guzar jaye kehtey-suntey,
Jisey kehtey woh kahaani hain.
Agar bura na maan ley woh,
To bant laytey hain jo rawani hai.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #11 on: May 18, 2005, 07:26:39 PM »
Reply with quote
hamein maut par yakeen hai,
par un par bhi aetbar hai ,
dekhte hain kaun aata hai pehle
kyun ki dono ka hi intzar hai.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #12 on: May 21, 2005, 11:44:56 PM »
Reply with quote
Uski parwah kyun karein jo humari na karey,
Uska humsafar kaisey ho jo musafir na baney.
Jo khud besahara ho zindagi ke safar mein,
Kaho bhala woh kaisey kisi ka sahara baney.
Logon ka milna to sanson ki tarha hota hai,
Zindagi mein aana jana bhala kaisey na rahey.
Humsa koi aur zamaney mein hai bhi yan nahi,
Agar kisi ko mauka nahi dogee to janogi kaisey.
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #13 on: May 22, 2005, 04:56:05 AM »
Reply with quote
Quote from: "fakharenaveed"
kisi terang kisi sar khushi mein  rehta tha
ye kal ki baat hai dil zindgi mein rehta tha
bass ik shaam bari khamashi se toot gya
humain jo maan teri dosti pe rehta tha


aapni dosti  k iman per dagg na laga a dost,


kuch to kami tere me bhi hogi,....
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #14 on: May 22, 2005, 08:18:38 PM »
Reply with quote
Tanhai Mein Waqt Guzara Karte Hain
Har Din Har Pal App Ko Yaad Kiya Karte Hain
Hum Jaante Hain Par Ghar Wale Batate Hai Ke
Hum Neend Mein Bhi App ka Naam Liya Karte Hai
Logged
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 25, 2024, 01:12:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer