Armaaan bana ke tujhe....
Iss Seene me Dafan kar lenge.....
kya armaan bnake rakha nahi gya dafan karne ka socha ye galat baat hai...rakhna hai kisi ko armaan banake taza rakho dafan karne se woh apke seene mein hi kahin kho jayega
HOsh fakta ho jayenge Dunia ke bhi.....
Jab log meri Mohabbat ke kisse sunenge......
hosh fakta hona muhabat pe i think jariuri nahi hai kyun ki pyar ...pyar pyar.. har tarah iske kai roop milte hai
Naazuk thi kitni tum.....
Aur hum kiss tarah Deewane hua karte the.....
apne title ko purnta deta sher ya kahun khyaal...jisne apki diwanagi ka raz khol diya ki aap unke nazuk pan ko dekh diwane ho gaye
Dekhna hamare jaane ke baad bhi.....
ASHIQUE tumse Pyar kia karenge......
jab uska pyar chala jaye jise koi pyar karta hai to ashiq se kya matlab haan...ye sher jara beparwaah sa laga
Yeh toh rishta hai Janmo ka Sanam......
Phir bhi aaj hum tumse ek baat kahenge.....
janamo ka rista sabhi kahte hai lekin kitne janam chal payega is janam ke alawa kisi ko khabar bhi nahi
Jab Jab Gul banke mehekogi tum......
Hum bhi Gulzar banke Pyar kia karenge......!!!!!!!
really bahut kuch kah gya hai ye sher...ek pyar mein dooba sher
bahut khuib likha hai ..bahut khubsurat hai andaz...aur ehsaas
meri daad is pyari rachna pe.....ab kuch in line s se aage
Yeh toh rishta hai Janmo ka Sanam......
Phir bhi aaj hum tumse ek baat kahenge.....
Jab Jab Gul banke mehekogi tum......
Hum bhi Gulzar banke Pyar kia karenge......!
jab tum seene mein mere sazake rah jaogi
ham bhi tumko pyar bahut har raat karenge
janmo ka kya kahun abhi ek janam sabhal jo jaye
tere kadmoin mein nyochhavar apna pyar karenge
gulshan ka gul kilta hai ek din murjha jata hai
ham to tere pyaar se har rageen bahar karenge
sakhi
Waaaah kaafi accha Sakhi....Kya Style se Dhajjiyaan udaayi hai....Really Amazing....Nice Job....!!!
Armaan jab banke rahogi tum Seene me.....
Toh koi Dakhal Andaazi hum pasand nahi karenge......
HOSH toh faQta honge hee Kismat ke bhi.....
kyunki hum Taah-Umar ek SaYe se Pyar karenge......
Jab Gujar jayenge hum iss Dunia se......
Toh ASHQIUE tujhe bhi Mumtaaz ki tarah Pyar karenge......
Janmo ki kya baat karti ho tum Sanam......
Radha-Krishan ki tarah hum bhi tumhe harr YuG pyar karenge.....
Haan Nazuki pe teri hua tha yeh Dil Ghayal mera.....
Aur hum bhi Shayad yoonhi tere Alfaazo me Badnaam rahenge....!!!!!!!