*Nagme Tumare*

by Roja on December 09, 2006, 02:22:38 AM
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17 18 ... 21
ReplyPrint
Author  (Read 16588 times)
Roja
Guest
«Reply #195 on: July 14, 2007, 06:19:57 PM »
Reply with quote
Hey sanam, sun lo meri pukar

Neend aaye toh kwaab aaye
Kwaab aaye toh tum aaye
Par tumhari yaad main
Na neend aaye na kwaab aaye
[/color]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tumare Jagaa by apnaa_koi in Shayri for Khumar -e- Ishq
~Tumare Bina~(NM) by Sonia01 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
*Aapke Nagme* by Roja in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Tumare her dard ko by anmolarora in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Roja
Guest
«Reply #196 on: July 18, 2007, 12:50:10 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
nice ji....

Zindagi Se Sabhi Ko Mohabbat Hoti Hai
Par Zindagi Kisi Mehbooba Nahi Banti Hai.
Tamanna Lekar Jite Hain Aksar Log
Par..e..Dost Har Kisi Ki Tamanna Puri Nahi Hoti Hai.

Thanks Majid... Long time no see??.. Keep coming
Logged
Roja
Guest
«Reply #197 on: July 18, 2007, 12:56:16 PM »
Reply with quote
Mohabbat guzre lamhon ka fasana yaad kar baiti
Tamanna aise main teri hamein nashaad kar baiti

Zamana sadiyon se ulfat ka dushman taak dekha hai
Murade mangne aao khuda napaak dekha hai
Sharafat chup ke gairat main wafa berbaad kar baiti
Tamanna aise main teri hamein nashaad kar baiti

Sabhi begana kehte hai sahara kaun de hum ko
Jawani batake gardish main guzara kaun de hum ko
Kisii pe haq nahi apna garaj azaad kar baiti
Tamanna aise main teri hamein nashaad kar baiti

Shamma pe jalte parwanon ki turbat benisha.n payee
Lutakar dil ke armanon ko "Roja" ka aankh ber aayee
Muqaddar zindagi ke gham kaja ke daad ker baiti
Tamanna aise main teri hamein nashaad kar baiti

Mohabbat guzre lamhon ka fasana yaad kar baiti..
Tamanna aise main teri hamein nashaad kar baiti..

[/color]
Logged
Roja
Guest
«Reply #198 on: July 19, 2007, 11:58:19 PM »
Reply with quote
Sajna...

Teri aankhon main umeed mangi thi..
Phir udasi kyu mili?

Teri bahon ka sahara chahi thi..
Phir tanhayee kyu mili?

Tumhare chahat ki wafa chahi thi..
Phir bewafayee kyu mili?

Tumhare sathy jeene ki kasam mangi thi..
Phir akele jeene ki saza kyu mili?

Kyu?

 sad5  sad5
[/color][/size]
Logged
Nirbhay
Guest
«Reply #199 on: July 23, 2007, 06:43:47 PM »
Reply with quote
Iss dil mein bhi kuch hansratein baaqi hai
Teri wafaa ka abhi karna hissab baaqi hai

Jo sawaal tumhare Dil ki tadap ne hain puche
unki wafaa mein likhna hisaab, abhie baaqi hai.

Shyahi sookh bhi jaaye kal mere loutne takk
tu ghabrana nahi, mere ragon mein lahu abhie baaqi hai.

Iss dil mein bhi kuch hansratein baaqi hai
teri wafaa ka abhie karna hisaab baaqi hai.

iss Zindagi ki khatam nahi kitaab yahin
paane dilchasp abhie palatne baaqi hai.

teri wafaa ka abhie karna hisaab baaqi hai.
Logged
Roja
Guest
«Reply #200 on: July 23, 2007, 11:51:13 PM »
Reply with quote
hmmm lovely Neer...

Sapno main mere tum aate ho
Aur mujh ko rula kar jate ho
Mai lakh sadayein deti hu
Tum chup reh kar tadpate ho..

Kya hai ye khata chahat meri
Jo paa na saku ulfat teri
Ye dhuri mujhe bhi khalti hai
Par samjo tum meri majboori
Tum se pyara mujhe koyee nahi
Tum phir bhi kyu tarsate ho..

Dil chahata hai tera saath rahe
Tere hathon main mera haat rahe
Kho jau mai teri bahon main sajna
Aur tum herdam mere pass rahe
Aankhon main tumho ho ... Dil main tum
Mere her nagmein main tum...
Phir bhi kyu mujhe tukrate ho?Huh?

[/color][/size]
Logged
Roja
Guest
«Reply #201 on: August 02, 2007, 02:12:20 PM »
Reply with quote
Mai chalak jati hu, aankhon se sagar ki tarah
Meri aankhon main tu bewaqt ka kohram na de
Na mujhe chand ki kwayish hai na sitaron ki
Mai hu prem diwani... koyi ilzam na de..
[/color]
Logged
Roja
Guest
«Reply #202 on: August 03, 2007, 06:06:20 PM »
Reply with quote
Lagta hai ab mere pyar ko woh bhi samajne lage hai
Meri wafa ko dekh woh bhi wafa karne lage hai

Jis tarah mai unko dekhe bina tadapti hu
Usii tarah woh bhi mere liye tadapne lage hai

[/color][/size]
Logged
Roja
Guest
«Reply #203 on: August 03, 2007, 06:06:20 PM »
Reply with quote
Jab talak na dekhu unko kuch bhi nahi mai kha sakti
Na umeed hokar sochti hu, unhe ab nahi mai pa sakti

Chahe taras khakar hi ki thi usne wafa humse
Un wafawon ko is dil se nahi mai bhula sakti..
[/color][/size]
Logged
Roja
Guest
«Reply #204 on: August 03, 2007, 06:06:20 PM »
Reply with quote
Lagta hai ab mere pyar ko woh bhi samajne lage hai
Meri wafa ko dekh woh bhi wafa karne lage hai

Jis tarah mai unko dekhe bina tadapti hu
Usii tarah woh bhi mere liye tadapne lage hai

[/color][/size]
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #205 on: August 05, 2007, 08:02:54 AM »
Reply with quote
Roja ji bahoot khoob....dono tehreereiN bahoot ho oomda ahsaas liye hue haiN....daad kabool kareiN ..

Harash
Logged
Roja
Guest
«Reply #206 on: August 05, 2007, 10:56:21 AM »
Reply with quote
Quote from: "harashmahajan"
Roja ji bahoot khoob....dono tehreereiN bahoot ho oomda ahsaas liye hue haiN....daad kabool kareiN ..

Harash

Thank you thank you Harash ji...
Kuch aap b apna chap chor jate aur maza aajata...
Logged
Roja
Guest
«Reply #207 on: August 05, 2007, 10:58:07 AM »
Reply with quote
Phool khilte hai jaise, sawan ke aane per

Khil jata hai dil, sajan ke aane per...!!
[/color][/size]
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #208 on: August 05, 2007, 11:20:13 AM »
Reply with quote
Roja ji adaab....maiN aake beech aya hooN...nahiN jaanta aapko...ki maiN kis Roja se mukhatib hooN....kyuiNki Roja naam se bahoot hi shayra net per mouzood hooN...our kai mere kareeb se Guzri haiN our unki dili shayari ka nasha sa liya hai....Mujhe khushi hogi our chaooNga ki agar aapka thoda sa taruuf mere liye ho jaye toh mere ilm  maiN ijafa ho jayega....aapki is is mehfil-e-yarana maiN shayad hum bhi lutf uthha sakeiN.....

Achha likhtihaiN aap bhi ...jitna pada pursakooN hi laga.....aapne chaha so likhta hooN....

KyuiN saye de bhi AsqoN ko chhupate ho tum
Rote ho to kyuiN chiraagoN ko bhujate ho tum

YuiN toh kehne ko bhi aaj kutchh nahiN bacha
Apna banaker bhi har waqt kyuiN rulate ho tum

YuiN toh kehte ho sazan ke aane per khilta hai dil
Phir bhar-bhar ke iljamoN se kyuiN nehlaate ho tum

Harash
[/i][/size]
Logged
Roja
Guest
«Reply #209 on: August 05, 2007, 11:30:06 AM »

Thanks aapne mere kehne per mehfil sajadiya
apne beautiful lafzon main...
(hmm... roja ek hi hai aur wo mai  :twisted: )

Andhere ho ujale ho, jeena to hoga
Jehrabe-game mohabbat-peena to hoga

Na dekhe tujhe to chain aata nahi "Harash"
Per kya kare tujhe bhulana to hoga

Tum hol ya na ho, teri yaaden to hogi
Seene main ek dil, diwana to hoga

Dil to hai pagal aur nadaan "Roja"
Samjhe ya na samjhe, samjana to hoga..
 
 :wink:  :wink:
[/color][/size]
Logged
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17 18 ... 21
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:50:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer