nahi tumse mohhabat he,chaho toh kasam lelo

by Prateek Mardia on June 07, 2008, 06:40:58 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 5666 times)
Prateek Mardia
Guest
Reply with quote

Nahi tumse mohhabat he
Chaho toh kasam lelo
Mujhe nahi tumse mohhabat he
Chaho toh kasam lelo

Mohhabat paak hoti he
Nahi isme gila-shikwa
Pur mujhe tumse shikaayat he
Chaho toh kasam lelo

Roz khwaabon mein aati ho
Meri neende churaati ho
Fir chain aaye mujhe kaisey
Jub tum aanchal lehraati ho
Tumhe kaisi yeh aadat he
Nahi tumse mohhabat he
Chaho toh kasm lelo

Zamaane ke nashtar ko
Main hus-hus ke sehta hu
Sahaara aagosh ka teri
Meri banta ub taakat he
Nahi tumse mohhabat he
Chaho toh kasam lelo

Tera jalwa tera jaadu
Mere sur chadh ke bole he
Mere geeton ko bus tere
Adhron ki zarrorat he
Nahi tumse mohhabat he
Chaho toh kasam lelo

Teri aankhon mein jhanka to
Laga ganga ka paani he
Teri awaaz kaano mein lage
Koi meethi kahaani he
Dil jeet kur tmune sanam
Kya kar di ye haalat he
Nahi tumse mohhabat he
Chaho toh kasam lelo

Kyon hairaan hoti tum
Meri batoon ko sunkar ke
mohhabat naam kaise du
nahi mujhme himaakat he
Tumhe to poojta hu mein
Tu meri ‘ibaadat ‘ he
Nahi tumse mohhabat he
Chaho toh kasam lelo!


Prateek



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kasam tumhari jab tumse judaa hue by yasir_sensitive in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Tum Ager Mujh Ko Na Chaho To Koi Baat Nahi... by muneeb in Shayri-E-Dard
!! jo chaho nahi milta..!! by amrita in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Tumse kaho...Zaroori to nahi by RamSagar in Ghazals
!Manzur Nahi Thi Tumse Judai! by honeyrose in Shayeri for Dard -e- Bewafai
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: June 07, 2008, 07:39:35 PM »
Reply with quote
awesome........
bahoot khoob prateek ji......

bahoot hi khoob......
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #2 on: June 07, 2008, 07:58:35 PM »
Reply with quote
awesome........
bahoot khoob prateek ji......

bahoot hi khoob......

shukriya bekarar ji
bohut hi shukriya!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #3 on: June 07, 2008, 08:03:44 PM »
Reply with quote
bahoot hi sunder ye kavita hai chaho to kasam le lo............
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #4 on: June 07, 2008, 08:19:32 PM »
Reply with quote
bahoot hi sunder ye kavita hai chaho to kasam le lo............

kasam teri main kaise lu
nahi tujh pe bharosa he!
mera dil toot na jaaye
tera dil mom jaisa he
kalam yeh chooth na jaaye
tujhe aisa andesha he
tumhee se seekhtu hu main
yeh'jaise ko taisa he'!!

Prateek
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #5 on: June 08, 2008, 01:55:32 PM »
Reply with quote
Superb ...
Prateek jee.. bahut accha likha hai aapne...

Kitne bi kasam le lo

Mitane se jajbaat mita nahi karte
Shole bhujane se kabhi bhuja nahi karte
Ek bar dil mein ut jaate hai jo jajbe
Kisi ke dabane se wo daba nahi karte


Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #6 on: June 08, 2008, 06:54:00 PM »
Reply with quote
Superb ...
Prateek jee.. bahut accha likha hai aapne...

Kitne bi kasam le lo

Mitane se jajbaat mita nahi karte
Shole bhujane se kabhi bhuja nahi karte
Ek bar dil mein ut jaate hai jo jajbe
Kisi ke dabane se wo daba nahi karte




Jo jajbe dil mein uthte hain
wahi jajbaat bante hain
aag dil main lagti hain
to shole panapte hain
teri tasveer hain dil mein
pur fir bhee aisa kyon
hume intzaar rehta he
teri jhalak paane ko e-jaana
hum kitna tadap-te hain
nahi tumse mohhabat he
chaho to kasam lelo!

Prateek
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: June 09, 2008, 04:13:39 PM »
Reply with quote
 Giggle Giggle Giggle bahoot khoob!!
A wonderful creation  Applause Applause Applause
Superb!! dil khush ho gaya... kai baar pardi.. ek ek line aor baad ke diye jawab sabhi ek rythem main.. wow!! Too Good Prateek ji!!
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #8 on: June 09, 2008, 07:39:24 PM »
Reply with quote
Giggle Giggle Giggle bahoot khoob!!
A wonderful creation  Applause Applause Applause
Superb!! dil khush ho gaya... kai baar pardi.. ek ek line aor baad ke diye jawab sabhi ek rythem main.. wow!! Too Good Prateek ji!!

bahut dhyan se padhne ke liye,bahut saara shukriya ,pooja ji.

tumhaari khilkhilaahat ye
mujhe kitna satati he
tumhe andaaz he iska
yeh dhudkun ruk si jaati he
hansi mein uda do tum
ya muskura ke sharmao
tumhaari yeh ada zaalim
nahi mujhko lubhati he
nahi tumse mohhabat he
chaho to kasam lelo!

Prateek
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: June 09, 2008, 07:54:23 PM »
Reply with quote
kya baat hai!! bahut khoob prateekji..aapne ishq ke khumar mein doobkar likha hai..sach mein, bahut ache CHAAHE TO KASAM LELO..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: June 09, 2008, 07:55:03 PM »
Reply with quote
Prateek ji,
jab se apki kavita pardi, kalam chah rahi thi ki kuch likhein.. chah kar bhi bhawnaye nahi la pa rahi hu main.. aor bin bhawnao ke sahbd, shabd rah jaate hai.. kavita nahi ban paati...

so kuch shabdo ko ek sath yaha likhne ki koshish kar rahi hu:
Hume he chahte ho
Yah dil janta hai
Maana hai hume apna
Nahi to kasam le lo

Nahi yah baat hoti to
Nahi phir baat hoti wo
Kahon hume apne dil ki
Nahi to kasam le lo

Khawabo mai satate hai
Nindo ko churate hai
Hansi apni se app bhi to
Humari needein churate ho
Agar inkaar hai isse
To chalo phir kasam le lo

Apni her baat manwate ho
Kabhi is paar, kabhi us paar bulate ho
Kabhi yah bahana banate ho
Kabhi wo bahana sunate ho
Maana hai hume apna
Nahi to kasam le lo

Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #11 on: June 09, 2008, 08:06:48 PM »
Reply with quote
kya baat hai!! bahut khoob prateekji..aapne ishq ke khumar mein doobkar likha hai..sach mein, bahut ache CHAAHE TO KASAM LELO..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


bahut bahut shukriya khwaish ji-aapne samay diya is prayas ko bhee.

mujhe doobna aata nahi
main to samandar hu
dhoondate ho kyon mujhe
nazre ghumaakar youn
mehsoos kar lo bus sanam
tere hi andar hu
nahi tumse mohhabat he
chaho to kasam lelo!

Prateek


 
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #12 on: June 09, 2008, 08:08:45 PM »
Reply with quote
Prateek ji,
jab se apki kavita pardi, kalam chah rahi thi ki kuch likhein.. chah kar bhi bhawnaye nahi la pa rahi hu main.. aor bin bhawnao ke sahbd, shabd rah jaate hai.. kavita nahi ban paati...

so kuch shabdo ko ek sath yaha likhne ki koshish kar rahi hu:
Hume he chahte ho
Yah dil janta hai
Maana hai hume apna
Nahi to kasam le lo

Nahi yah baat hoti to
Nahi phir baat hoti wo
Kahon hume apne dil ki
Nahi to kasam le lo

Khawabo mai satate hai
Nindo ko churate hai
Hansi apni se app bhi to
Humari needein churate ho
Agar inkaar hai isse
To chalo phir kasam le lo

Apni her baat manwate ho
Kabhi is paar, kabhi us paar bulate ho
Kabhi yah bahana banate ho
Kabhi wo bahana sunate ho
Maana hai hume apna
Nahi to kasam le lo



aapke nirantar prayas aur sada-hausla afzahi ka asar he yeh.aapne khoob likha he.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #13 on: June 09, 2008, 08:16:06 PM »
Reply with quote
yeh aaina tumse kya
kehta khaas he humdum
sawarna aur itarna hain
to rukh apna idhar kar lo
chamak chehre pe laani he
to mere dil me dekho tum
na kehna isey dillagi
nahi isme koi harkat he
nahi tumse mohhabat he
chaho to kasam lelo!

Pratek
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: June 09, 2008, 08:16:55 PM »
Reply with quote
bahut dhyan se padhne ke liye,bahut saara shukriya ,pooja ji.

tumhaari khilkhilaahat ye
mujhe kitna satati he
tumhe andaaz he iska
yeh dhudkun ruk si jaati he
hansi mein uda do tum
ya muskura ke sharmao
tumhaari yeh ada zaalim
nahi mujhko lubhati he
nahi tumse mohhabat he
chaho to kasam lelo!

Prateek

Meri is khilkhilhat mai
Teri he to shrarat hai
Tere her ek andaaz pe
Jaan meri niyochawar hai
Unhi mere anchal tale
Teri her ek raat ho
Khamoshio main doobi
Bin kahein her baat ho
nahi ho jo yakin tumko
to chalo phir kasam le lo

Hume he chahte ho
Yah dil janta hai
Maana hai hume apna
Nahi to kasam le lo
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 03:14:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer