NAZM : HASRAT ... ZARRAA

by zarraa on March 24, 2016, 04:57:08 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 821 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
Reply with quote
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye

rukh-e-roshan ki tapish le ke jalaaya keeje
lab ki raNgeeniyoN se surkh banaaya keeje
zulf ki raat ke saaye meiN sajaaya keeje

narm sargoshi ke jhoNkoN se pareeshaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye


hai n do din ka junooN ye to muhabbat bhi naheeN
us taraf rabt hai thorha sa ke nisbat bhi naheeN
aur maaloom koyee wasl ki soorat bhi naheeN

ho tawakko n jinheiN dil meiN wo armaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye


kitni taareek hai har chaah ye ujli kab hai
jaane kitne haiN fareb is meiN ye asli kab hai
ishq ka naam tamanna hai tasalli kab hai

khud ko be-zauq hi rakhiye ke pashemaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye


dil n duniya se laga aur uthaaya n gaya
haal apna n sunaaya ke chhupaaya n gaya
jis ko paaya n gaya us ko bhulaaya n gaya

ab kahaaN ja ke rakheiN jism kahaaN jaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye


kis ki yaadoN se hai raNgeen tera saada jamaal
teri tanhaaiyoN meiN saath chale kis ka khayaal
paas hote to tumheiN poochh bhi leta ye sawaal

n mileNge wo jawaaboN ka bhi imkaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye


yooN to kitne haiN yahaaN chaaraghar aage mere
zakhm aise ke nazar un ko n aate mere
ab to nashtar koyee seene meiN chala de mere

dil ko mehsoos ho kuchh is meiN wo saamaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye


- zarraa
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #1 on: March 24, 2016, 08:03:07 PM »
Reply with quote
bahut bahut umdah waah waah waah.
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
                      Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sbechain
Guest
«Reply #2 on: March 24, 2016, 08:57:02 PM »
Reply with quote
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye
 kya ye waqayi aap ne hi likha hai icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

to bus hazat aarzu-e-farozaa.n rakhiye .Insha allah khair hogaa icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!


rukh-e-roshan ki tapish le ke jalaaya keeje
lab ki raNgeeniyoN se surkh banaaya keeje
zulf ki raat ke saaye meiN sajaaya keeje

narm sargoshi ke jhoNkoN se pareeshaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye

 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard  ban kar shamaa roshni nahin denaa mujhe !
                                          jalaa kar khud ki shakhsiyat nahin jeenaa mujhe!!



hai n do din ka junooN ye to muhabbat bhi naheeN
us taraf rabt hai thorha sa ke nisbat bhi naheeN
aur maaloom koyee wasl ki soorat bhi naheeN

ho tawakko n jinheiN dil meiN wo armaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye

Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard mere huzur qissa hijr ke raat kaa bhi mohabbat ko sunaa rakhiye!



kitni taareek hai har chaah ye ujli kab hai
jaane kitne haiN fareb is meiN ye asli kab hai
ishq ka naam tamanna hai tasalli kab hai

khud ko be-zauq hi rakhiye ke pashemaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye

Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard billi se angoor naa toote to khhatte ho gaye per haan tasalli rakhiye ke kabhi angoor ki beti se mulaaqaat ho jaaye gi!


dil n duniya se laga aur uthaaya n gaya
haal apna n sunaaya ke chhupaaya n gaya
jis ko paaya n gaya us ko bhulaaya n gaya

ab kahaaN ja ke rakheiN jism kahaaN jaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye

Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard aisa karo jaan mere paas rakh do aur jism apne ghar pe rakh do baat  zindagi kahin aur mohabbat kahin aur !


kis ki yaadoN se hai raNgeen tera saada jamaal
teri tanhaaiyoN meiN saath chale kis ka khayaal
paas hote to tumheiN poochh bhi leta ye sawaal

n mileNge wo jawaaboN ka bhi imkaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye

haan ji tum hi ho ab tum hi ho meri zindagi  Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard ashiqui 2 ke khayaalo.n ne naa tumhe.n jeene diya naa marne. haaye re afsoos !


yooN to kitne haiN yahaaN chaaraghar aage mere
zakhm aise ke nazar un ko n aate mere
ab to nashtar koyee seene meiN chala de mere

dil ko mehsoos ho kuchh is meiN wo saamaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye

main tabeeb-e-mohabbat hoon ji per mere paas tumharaa ilaaj hi nahin hain kyon ke is subject me.n main fail ho gai thi Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!


- zarraa




zarra ji iss nazm ki taarif karna mere bus me.n nahin hai sirf rau deti hoo.n jo ke ye bhi kaafi nahin hai aap to aap ho kyaa kahoon mazaa aa gayaa ji padh ke icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: March 25, 2016, 01:42:18 AM »
Reply with quote
laajawaab waah waah
Logged
aarzoo-e-arjun
Khususi Shayar
*****

Rau: 69
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 12 hours and 49 minutes.

i want to live my life through my words and voice.

Posts: 1065
Member Since: Feb 2016


View Profile WWW
«Reply #4 on: March 25, 2016, 05:15:33 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause
Bahut khoobsoorat janab..


Plz urdu ke meaning bhi likha keejey..  Mujh jaise ko arth jaanne me aasaani hogi janaab.
Logged
Ram Saraswat
Khususi Shayar
*****

Rau: 26
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 7 hours and 12 minutes.

Posts: 999
Member Since: Apr 2008


View Profile
«Reply #5 on: March 25, 2016, 06:18:12 AM »
Reply with quote
ho tawakko n jinheiN dil meiN wo armaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye
 Applause Applause Applause Applause

Bahut Khoob Zarraa Ji waah
Logged
Maaya
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
3 hours and 22 minutes.

Im nothing without you

Posts: 105
Member Since: Mar 2016


View Profile
«Reply #6 on: March 25, 2016, 08:32:03 AM »
Reply with quote
Too long poem but impressive with some difficult words
Well over all its nice poem
Logged
Rustum Rangila
Yoindian Shayar
******

Rau: 128
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 16 hours and 31 minutes.

Posts: 2534
Member Since: Oct 2015


View Profile
«Reply #7 on: March 27, 2016, 07:04:45 AM »
Reply with quote
Bahot khooob waaaaah waah  Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Mast Khalander
Maqbool Shayar
****

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
2 days, 11 hours and 42 minutes.

PhoolNahiMeraDilHai

Posts: 902
Member Since: Jul 2013


View Profile
«Reply #8 on: March 27, 2016, 11:18:03 AM »
Reply with quote
Masssssst hai  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:01:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer