NazroN ko churaate ho aise

by Ghulam Haider on October 26, 2008, 10:24:06 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 928 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
NazroN ko churaate ho aise jaise mujh se anjaan ho tum.
Kya ye hi mohabbat ka hai sila jaane kaise insaan ho tum.

Kya cheez mohabbat hoti hai kis ko kehte haiN log wafaa,
Kya dard-e-judaai hota hai kya tum ko khabar naa daan ho tum.

HaiN dil ko hazaaroN dard magar tumheN dekh ke sab mit jaate haiN,
Har dard ki tum hi davaa ho sanam har dukh ka mere darmaan ho tum.

Chaaha hai tumheN maiN ne kitna ye kehna mushkil hai lekin,
Jis dil ko koi armaan nahiN hai us dil ka armaan ho tum.

YoN to the base is dil meN sadaa dhaRkan ki tarah ai jaan-e-wafaa,
Lekin barsoN ke baad kahiN ab jaa ke huye mehmaan ho tum.

NahiN tum se koii gila mujh ko bas itna poochhna chaahoNga,
Tum bin maiN jiyoN to kaise jiyoN maiN jism hoN meri jaan ho tum.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
NAZRON SE JHALAKTA PYAR.. by punam in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 8 9 »
~Nazron se nazrein~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
NAZRON SE by saahill in English
!!lolup nazron se……!! by sarfira in Shayri for Khumar -e- Ishq
churaate ho(CSET) by MANOJ6568 in Shayri for Khumar -e- Ishq
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: October 28, 2008, 01:52:28 PM »
Reply with quote
NazroN ko churaate ho aise jaise mujh se anjaan ho tum.
Kya ye hi mohabbat ka hai sila jaane kaise insaan ho tum.

Kya cheez mohabbat hoti hai kis ko kehte haiN log wafaa,
Kya dard-e-judaai hota hai kya tum ko khabar naa daan ho tum.

HaiN dil ko hazaaroN dard magar tumheN dekh ke sab mit jaate haiN,
Har dard ki tum hi davaa ho sanam har dukh ka mere darmaan ho tum.

Chaaha hai tumheN maiN ne kitna ye kehna mushkil hai lekin,
Jis dil ko koi armaan nahiN hai us dil ka armaan ho tum.

YoN to the base is dil meN sadaa dhaRkan ki tarah ai jaan-e-wafaa,
Lekin barsoN ke baad kahiN ab jaa ke huye mehmaan ho tum.

NahiN tum se koii gila mujh ko bas itna poochhna chaahoNga,
Tum bin maiN jiyoN to kaise jiyoN maiN jism hoN meri jaan ho tum.
Itna hain kaha to de yeh bhi bata
Unke aashiq ho tum hai ya kadardaan ho tum
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #2 on: November 02, 2008, 02:18:33 PM »
Reply with quote
Jab kisi ko kisi se mohabbat ho aur mahboob uski mohabbat ki qadr na kare to dil ko takleef, hoti hai, dil shikaayat karta hai, lekin apne mahboob ko naaraaz bhi nahiN karna chaahta.
Isi khayaal ko lekar main ne ye ghazal likhi hai, jis meN shikaayat bhi, izhaare mohabbat bhi hai, dard-e-dil bhi hai....
pasand karne ke liye shukriya..
     "Haider"
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:14:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer