~~:Pachhta Rahi hoon:~~!!

by chitra on March 18, 2006, 02:00:05 PM
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17
ReplyPrint
Author  (Read 10230 times)
HumTum is back
Guest
«Reply #225 on: March 30, 2006, 05:26:07 PM »
Reply with quote
Chitra G

Shayaad woh samjhta ho aap ko lekin majboor ho
Uski dil mein bhi aap ki tamaana e hasil jaroor ho
Din raat bas aap ke naagmaat ko gata to hoga
Lekin jane kyaa upper wale ko manzoor ho !!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Duub rahi hoon dekho by sahil_17n in Shayri for Khumar -e- Ishq
mai khushnaeeb hoon jo watan me hoon by hind_ka_rind in Shairy-E-Watan
MIL RAHI HOON ROZ... by guhar in Miscellaneous Shayri
muskura rahi hoon by shahida.manha in Shayri-E-Dard
chitra
Guest
«Reply #226 on: March 31, 2006, 08:29:17 AM »
Reply with quote
Samjhta wo to ek baar to mud ke dekhta
haal kya hai mera  judai mein kabhi to puchhta
mod liye har raste usne berukhi se mujhse door
saath deti uska jeevan bhar wo majboori kahta
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #227 on: March 31, 2006, 12:41:06 PM »
Reply with quote
Quote from: "rockindia"
Quote from: "chitra"
Quote from: "rocki ji"

tujh ko aate hii nahiin chhupane ke andaaz abhii
mere siine men hain larzaaN terii aavaaz abhii

us ne dekhaa hii nahiin dard kaa aaGaaz abhii
ishq ko apanii tamannaaon pe hai naaz abhii

tujh ko manzil pe pahuNchane kaa hai daavaa ham_dam
mujh ko anjaam nazar aataa hai aaGaaz abhii

mere chehare kii hansii rang-e-shikastaa meraa
tere ashkon men Tabassum kaa hai andaaz abhii


Humne isqh kar liya par jataana na aaya
tere ashiyane ko jal ke bhi mahkaana na aaya

aagaz mein dard mere bhi utna hi tha
tumhi ko mera man  mahsoos karna na aaya

jo davva kiya tune mere hum dam manzilo ka
bin tere wo rasta mujhe nazar kabhi na aaya

in ankho mein tera hi chehra baasa tha E sanam
tumhi ko meri nazaro mein dekhna na aaya


Kash aap yeh ishq humse jata pate........
Pyar kitna hai es aseem gherai mein yeh jaan jaate....

Es dil ka dard-e-aghaaz kash ke tum jaan pate........
Meri ishq ke seemao se kash tum bandh jaate.........

Kaise pyar ki tinko ko samet ke banaya yeh ashiyana yeh tum jaan pate.
Es adhure ishq mein haal dil ke ashiyane ka jaan jate......

Abb arzoo bas ek es dil uth rahi hai........
Chod jaaon yeh duniya jisme meri mohabbbat ujad rahi hai....
 :cry:
majboori ka naam mat do ye rista bahut paak hai
tum nibha nahi sakti thi is riste ko
sanam ye baat bahut saaf hai
Logged
rockindia
Guest
«Reply #228 on: April 01, 2006, 07:49:16 AM »
Reply with quote
Thnx Mohsin
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #229 on: April 01, 2006, 08:57:05 AM »
Reply with quote
Quote from: "chitra"
HUM TUM ji.....

Banaa lo us sapne ko aaj haqiqat
nahi to berahm waqt yu hi gujar jayega
meri trah adhuri rah jayegi apki chaht
gar apse izhaar nahi kiya jayega
lagta hai tujhe mohabbat ho gai
magar teri wafa so gai hai
tu mat loot kisi ke asiyane ko
ye bahut bada gunah hota hai
Logged
rockindia
Guest
«Reply #230 on: April 01, 2006, 01:22:19 PM »
Reply with quote
bewafa hum na they kabhi,
phir bhi hum akele hain,
pyar ko humarey aaj tak,
samja na koi sab to humare dil se khele hain.

anjaan yaadon mein ab bhi yeh dil khoya hai ....
anjaan yaadon ke sharey hi dil, kaaton par bhi soya hai....
sab hans rahe they pir bhi, yeh dil jaaney kyun roya hai.
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #231 on: April 03, 2006, 01:22:19 PM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum is back"
Quote from: "chitra"
HUM TUM ji.....

Banaa lo us sapne ko aaj haqiqat
nahi to berahm waqt yu hi gujar jayega
meri trah adhuri rah jayegi apki chaht
gar apse izhaar nahi kiya jayega


Chitra G

Brosa hai yaar pe aur kismat pe aitbaar hai
kabhi adura nahi rehta hota jo sacha pyaar hai
woh aayegi bechain ho ke mere agosh mein
mujhe to faqt ussi lamhe ka intzaar hai !!
wafa ki batein sare mahboob karte hai
magar wo kam hi hote hai jo wade nibhaya karte hai


samjhe mere dost hum tum
Logged
chitra
Guest
«Reply #232 on: April 03, 2006, 01:23:05 PM »
Reply with quote
Quote from: "rocki jee"


bewafa hum na they kabhi,
phir bhi hum akele hain,
pyar ko humarey aaj tak,
samja na koi sab to humare dil se khele hain.

anjaan yaadon mein ab bhi yeh dil khoya hai ....
anjaan yaadon ke sharey hi dil, kaaton par bhi soya hai....
sab hans rahe they pir bhi, yeh dil jaaney kyun roya hai.


tammna_E_dil ki samjhi thee maine
kadam bhi milaaye the saath meine
naiyya fir bhi paar nahi lagi meri
jo tufaano mein saath chhod diya tune

kai dino baad aaj dekhi ye mahfil maine
tadap tere dil ki aaj mahsoos kee hai meine
ab bhi waqt hai thaam lo sare aam isse
teri aur aaj jo haath pyar ka badaaya hai maine
Logged
chitra
Guest
«Reply #233 on: April 06, 2006, 04:31:17 PM »
Reply with quote
kai dino se ek uljhan thee jisme uljhi ja rahi thee
beqaraar chahto ka koi kinaara dhundh rahi thee
door ho gya tu kyo mere khwabo ki haqiqat se
aur uljh gyi ye zindgee jo ab suljhne hi jaa rahi thee
Logged
chitra
Guest
«Reply #234 on: April 06, 2006, 04:52:16 PM »
Reply with quote
Yu hi yaado mein zindagee gujar jayegi
khawabo mein hi rooh tujhse mil payegi
koi nahi kya rasta humare milne ka
ke tere milne se hi baicheni khatam ho payegi
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #235 on: April 06, 2006, 05:35:47 PM »
Reply with quote
chitra ji, mohsin mery dost... aur majid bhai bahut ache...bahut acha likha hai aap sab ne....
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #236 on: April 06, 2006, 05:42:27 PM »
Reply with quote
KYA KAHUN KYA HAI MOHABBAT KA FAREB-E-YAAR,
DEKHTA HOON JIS TARAF, KHUD HI NAZAR AATA HOON MAIN........

JAAM GIR PADTA HAI SANAM, TERE MILNE KI BECHAINE ME,
TERI AAKHEN DEKH KAR, NASHE ME AA JATA HOON MAIN.......
Logged
chitra
Guest
«Reply #237 on: April 07, 2006, 02:18:35 PM »
Reply with quote
thanks majid jee...vicki jee..mohsin jeee.....

aap ne rally bahoot hi achchha likha hai.....!!!

majid jee apne jo kasma wali baat likhi hai.....sidhe dil tak pahunch gyi...kya baat hai...!!

vicki jee aap humesh ki trah mujhse naraz...challiye maanaa leti hoon

Ye jaam nasheele tere laboo ko chhune se hai
khushboo mere badan mein tere kareeb aane se hai
koi shikaayak naa rakho aaj humse in faslo ki
abhi chale aate hai tere ashiyane mein bahke se
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #238 on: April 08, 2006, 08:59:41 AM »
Reply with quote
Labh zakhmi hai jo tere
Madhoshi mujh par bhi toh chaahi hai

Jo khusbu tere badan mein hai
Toh mehek teri mainne bhi churai hai

Faslon ke doran jo tardpe ho tum
raatein jaag kar maaine bhi beetai hain

Dil jo tera bechain hai mere liye..
Toh seene mein aag mainne bhi lagai hai...!!!


Bhut khoob dosto... bhut accha chal raha hai yeh thread.. :D nice work Guys... keep going  :arrow:
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #239 on: April 08, 2006, 09:10:34 AM »
Reply with quote
wah wah superbzzzzz jeet.....
Logged
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:28:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer