Pal bhar ka saath..

by nadeem1992 on September 03, 2006, 10:19:42 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1937 times)
nadeem1992
Guest
Reply with quote
Umar ka bharosa kya?
pal bhar ka saath ho jaaye...

Aik baar akaile mein
un se mulaqaat ho jaaye...

Saare chirag gul kar ke
un ka haath thaam loon...

Unse lipat ke baitha hoon
aur zindagi tamam ho jaaye...

Nadeem
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Umar bhar ka saath by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
Pal bhar ka tum agar saath de do by chahat in Shayri for Khumar -e- Ishq
~Zindagi Bhar Ka Saath~ by honeyrose in Shayri-E-Dard
Umar Bhar Ka Saath by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
JO SAFAR BHAR NA CHALE SAATH USE HUMSAFAR HUM KAISE KAHE by Kumar Anubhav in Shayeri for Dard -e- Bewafai
nadeem1992
Guest
«Reply #1 on: September 03, 2006, 11:18:12 AM »
Reply with quote
Shukriya Majid...
Logged
nikki
Guest
«Reply #2 on: September 03, 2006, 11:25:33 AM »
Reply with quote
yahan shayari kahan hai...hehe ..good job Nadeem..

saare zamane ki khushi to nahi maangi humne
pal bhar ka saath maanga tha
woh karte rahe jhoothe vaade humse
humne unse sacha ikraar maanga tha
Logged
nadeem1992
Guest
«Reply #3 on: September 03, 2006, 11:48:22 AM »
Reply with quote
Kaash tu mujh se do baat karle,
Agar mere liye pyar hai to  izhar kar le,
lekin lagta hai tujhe mujhse pyar nahin,
Izhaar nahin to kam se kam inkaar to karle...
Logged
nikki
Guest
«Reply #4 on: September 03, 2006, 12:12:32 PM »
Reply with quote
nice both of u...

dil ki baatein batayi nahi jaati
sachi mohabbat jatayi nahi jaati
ikraar karne ki koshish to karte hain humdum
magar lakh koshish ke baad bhi
dil ki baat zubaan par layi nahi jaati
Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: September 03, 2006, 12:24:51 PM »
Reply with quote
thank u Majid sahib....nacheez ustad kab se ho gayi???

hum jhoothi kasmein khaate nahi
agar na nibhana hota saath to
aapke sang itni door takk chale aate nahi
Logged
nadeem1992
Guest
«Reply #6 on: September 03, 2006, 12:37:33 PM »
Reply with quote
Wah niki ji aur majid bhai.. kya baat hai...

kabhie kitabon main phool rakhna,
kabhie darakhton pe naam likhna,
hamein bhi yaad hai woh ab tak...
nazar se harf-e-salaam likhna....
Logged
nikki
Guest
«Reply #7 on: September 03, 2006, 12:38:46 PM »
Reply with quote
tahe dil se shukriya .....aapne bahut acha likha hai...aaj to aap kamaal kiye ja rahe hain...

safar ki manjil ka to pata nahi
magar yeh rah-e-guzar ka saath acha lagta hai
main tumhein jaanti to nahi hun achi tarah se
magar dil tumhara sacha lagta hai
Logged
nadeem1992
Guest
«Reply #8 on: September 03, 2006, 12:46:08 PM »
Reply with quote
Niki Ji.. inspiration ki zaroorat hai.....aap aur majid bhai ka saath kaafi hai inspiration ke liye...

Woh is tarah mere barabar se guzre...
adayen sambhale nigahen jhukayen...
tere ru-baru agar nazar mutmaeen ho...
to seene mein dil bhi dhadhak ne na paaye...
Logged
nikki
Guest
«Reply #9 on: September 03, 2006, 12:52:37 PM »
Reply with quote
wowww nice one Nadeem ji....aree hum to hamesha hazir hain doston ka saath dene ke liye..magar kya karein kambakht waqt hi nahi milta...

aapke dil ki dhadkno ki awaaz suni hai humne
inmein hamara naam sunayi deta hai
woh koi aur nahi aap hi ho
jiska chehra humein har khoab mein dikhayi deta hai
jo har pal mujhse baatein karta hai
jo hardam mere paas dikhayi deta hai
Logged
nadeem1992
Guest
«Reply #10 on: September 03, 2006, 12:59:50 PM »
Reply with quote
yehi to baat hai nikki ji... waqt hi saath hanin deta...

Baad muddat mulaqaat ka silsila shuru ho raha hai...
khiza-o mein jaise haseen koi phool khil raha hai...

Aaye ho ab to phir na jaane ka koi vaada to kar lo..
hum bhi kasam uthaye tum bhi irada to kar lo...

khuda kare qayamat tak ab tumhara saath rahe...
mere jeene ka ab bas tu hi ek bahana rahe....
Logged
nikki
Guest
«Reply #11 on: September 03, 2006, 01:01:04 PM »
Reply with quote
meharbani ..shukriya...likhne ka kissi ne aapse tax hai le liya?

pal bhar ka saath de kar chal diye
humein zamane bhar ke gamon ki saugat dekar chal diye
kabhi ek pal ke liye mud kar to dekha hota
hamare dil mein aapke naam ki roshni hai
humne khud ko aapke naam se sawara hai
abb to jaan aapke naam kar chuke hain
abb to kuch bhi nahi hamara hai
Logged
nadeem1992
Guest
«Reply #12 on: September 03, 2006, 01:05:41 PM »
Reply with quote
Quote from: "nadeem1992"
yehi to baat hai nikki ji... waqt hi saath hanin deta...

Baad muddat mulaqaat ka silsila shuru ho raha hai...
khiza-o mein jaise haseen koi phool khil raha hai...

Aaye ho ab to phir na jaane ka koi vaada to kar lo..
hum bhi kasam uthaye tum bhi irada to kar lo...

khuda kare qayamat tak ab tumhara saath rahe...
mere jeene ka ab bas tu hi ek bahana rahe....



Shayad aap majid bhai se farma rahi hai..??
Logged
nikki
Guest
«Reply #13 on: September 03, 2006, 01:13:31 PM »
Reply with quote
ji haan kuch likha nahi na iss liye..aapne bahut khoob kaha hai Nadeem ji....
Logged
nadeem1992
Guest
«Reply #14 on: September 03, 2006, 01:26:54 PM »
Reply with quote
Koi kis tarah raaz-e-ulfat chhupayeh...
nigahen mili aur qadam dagmagayeh...
woh majbooriyan pe meri muskurayeh..
yahan tak to pohche yahan tak to aayeh...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:50:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer