paraayaa ho jata hai

by anmolarora on February 24, 2013, 03:44:37 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 801 times)
anmolarora
Guest
Reply with quote
Vivah hota hai har ladki kaa sapnaa,
jisse usko milta hai jeevansathi apnaa.
Vivaah ki belaa bahut mangal hoti hai,
Jisme ashruon se aankhein sajal hoti hai.
Jeevan ke pranaysootra mein bandhkar,
Dono ban jaate hain ek dooje ke hamsafar.
Jahaan khushiyon ki manjil pane ke liye,
Chalnee padti hai gamon ki dagar.
Vivaah naa  kewal do dilon kaa,
balki do parivaaron ka milan hota hai.
Jisme pyaaraa saa piyaa paakar,
har vivaahita ka jeevan safal hota hai.
Ye jindagi kaa wo haseen pal hai,
jab aap ek dooje ke dil mein bas jaate hain.
Ek dooje se jaraa si bhi dooree hone par,
Wo milne ke liye tadap jaate hain.
 vadhoo saat janmon ke liye ho jaatee hai var ki,
chutkeebhar sindoor ke maang mein padte hi.
Beti ho jaati hai sadaa ke liye paraayee,
Mata pita ke kanyaadaan karte hi.
Saaton pheron ke hote hain saat vachan,
jo var vadhu ko jeevanbhar nibhaane padte hain.
Vadhu ko janmdata se door rahkar,
Jeevan ke dukh uthaane padte hain.
Jab aatee hai bidaaee ki ghadi,
tab aankhein aansuon se bhar jati hain.
Phat jata hai maan kaa kalegaa,
Babul ki aankhein bhi bhar aati hain.
Bhaiyaa bahan ke ujval bhavishy ki kaamnaa karte hain.
Bhabhi dulhan ke gale lagkar use saantvana deti hain ki,
Agar tu jaa rahi hai sasuraal,
to tere maan baap kaa main,
pooraa pooraa rakhoongee khayaal.
Ishwar ne kaisee reet banaayee hai ki,
vivaah ke baad ladki kaa ghar uske liye paraayaa ho jata hai.
Jis ajnabee ke saath usne phere liye,
uska ghar uskaa apnaa ho jaataa hai.
Ek taraf agar maan baap se bichhadne kaa dukh hota hai to,
Doosri taraf salone piyaa se milne ki umang aur badh jati hai.
Mahak uthtaa hai uskaa jeevan khushiyon se,
aur uske chehre ki aabhaa nikhar jaati hai.
Vivaah ek pyaaraa saa rishta hota hai,
jise pyaar se nibhaayaa jaata hai.
Apne hamsafar ke ki khushiyon ke liye jeekar,
apna vaivaahik jeevan safal banayaa jaataa hai.  

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khud Hee Ho Jata Hai... by Amit Janglan in Shayri for Khumar -e- Ishq
dil taras jata hai by husain52 in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2  All »
pyar kiya nahi jata ho jata hai.... by punam in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Jab dil mil jata hai.... by punam in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
ZAKHM APNA DARD PARAAYAA !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! by qalb in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #1 on: February 24, 2013, 04:35:02 PM »
Reply with quote
 icon_salut icon_salut Clapping Smiley Clapping Smiley bhut achi kavita likhi ha ap nea ji
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: February 24, 2013, 05:26:14 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
anmolarora
Guest
«Reply #3 on: February 25, 2013, 10:09:33 PM »
Reply with quote
icon_salut icon_salut Clapping Smiley Clapping Smiley bhut achi kavita likhi ha ap nea ji
sukriya rajan ji
Logged
anmolarora
Guest
«Reply #4 on: February 25, 2013, 10:09:58 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley
tah dil se sukriya sk saini ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:25:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer