purani_jeans_aur_guitar
Guest
|
«Reply #60 on: June 22, 2006, 07:27:10 AM » |
|
sukriya ji..............
dhadkane bad gayi hai,ek nasha sa chaaya hai ki raat mai mera chand badlo se nikal aaya hai
................@fahi@..................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #61 on: June 22, 2006, 11:52:03 AM » |
|
nice one chaand pe parda rahne do tumne dekha kaafi hai sab dekhenge achcha lagega kuchh to parda rahne do phir na kahna ham jo jaaen sharm hame bhi aati hai chaand pe parda rahne hi do tumne dekha kaafi hai........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
purani_jeans_aur_guitar
Guest
|
|
«Reply #62 on: June 22, 2006, 12:10:50 PM » |
|
chand se parde ko uthana ka to mehaz ek bahana ha apni tarsi aankhon ko uske husn ka deedar jo karana haii .................@fahi@...............
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #63 on: June 22, 2006, 12:13:18 PM » |
|
ye teri aankhon ne rakhli meri haya varna mera naqaab kab tere liye naqaab raha
meri nigaahon ki shokhi hai bas tere dam se tujhe jo dekh likh liya ik nasha sharab raha
ye kaise maan liya tumne ki main nahi hun teri yahi to ek sila hai jo lajwaab raha
saath jo tu hai mere manzil hai paon ke neeche kise hai hosh kahaan rasta kharaab raha
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #64 on: June 22, 2006, 12:14:38 PM » |
|
good going tabassum ,fahi............... :D
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Shikha12
Guest
|
|
«Reply #65 on: June 22, 2006, 12:16:20 PM » |
|
Very Nice all of U.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #66 on: June 22, 2006, 12:27:33 PM » |
|
thanx ranju and shikha
|
|
|
Logged
|
|
|
|
purani_jeans_aur_guitar
Guest
|
|
«Reply #67 on: June 22, 2006, 12:47:51 PM » |
|
sukriya ranjana,shikha ji & very nice tabassum ji........
jehan mai mere ishq ka shola bhadak gaya hai teri baaton se phir dil mera dhadak gaya hai
teri shokh ankhein aur hontho ki tapish ko dekhkar dhadkano ka saaz atak gaya hai
sharmo-haya ke aaj parde tum hata do tere sine mai utarne ko deewana bhatak gaya hai
..............@fahi@................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #68 on: June 22, 2006, 12:51:38 PM » |
|
thanx fahi aur bahut khoob aapne likha hai arz kiya hai ki aise sare khwab likhugi jo na poore ho pae zindagi me na sahi kagaz par rang bikherungi apna apna badla hai ye likhna koi likhna hai kuchh hain tumhari yaaden bas kuchh dard bas apna hai sare din vo likhna hai jab tumko maine yaad kiya par nahi tumhara naam liya sari baaten likhnaa hai jo tum se main na kah paai sari raaten likhni hain jab sari raat na so paai par jo likhdun to kya hoga tum to isko padhte nahi sare log hi padhte hain bas ik tumko maaloom nahi ik din vo himmat bhi karungi tumko yahan bulaaungi sara likha phir tum bhi padhna main door kahin chhup jaaungi tum jab tak aawaz na doge paas nahi main aaungi kagaz par likhte likhte ab dil hai mera bhar sa gaya tum aao to rang bharenge ham kaagaz ke bahar bhi...........................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
purani_jeans_aur_guitar
Guest
|
|
«Reply #69 on: June 23, 2006, 05:39:38 AM » |
|
very nice tabassum ............
tere kagzo per likhi syahi ko padne ki nahi hai zaroorat tere aankhein dekhkar hi dikhti hai teri beintaah chahat
phir bhi tere har lafz ko sine se apne lagayenge hum tujhe saath leker saari duniya ko ye ishq dhikayenge hum
ki janega sangdil zamana phir tere ki hui ishq-e-ibadat ko salam karega jhukkar khuda bhi teri is pak mohabbat ko
....................@fahi@................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #70 on: June 23, 2006, 06:05:34 AM » |
|
bahut khoob fahi
meri ye taqdeer kahan teri aankhon ka khwab banu ye naam faqat ik naam hi hai isme koi muskaan nahi
main tumse kahna chahti hun tum is naam ko mat likhna ye mujh ko raas nahi aaya saara jeevan tha bas rona
ik naam ki hi main tabassum hun dil me koi arman nahi na koi achcha sapna hai ki tujhko main vo hi de dun
|
|
|
Logged
|
|
|
|
purani_jeans_aur_guitar
Guest
|
|
«Reply #71 on: June 23, 2006, 06:53:52 AM » |
|
bahut khub tabassum ji..........
tere naam ki lakeero se kab maine apna naata tha joda maine jo jaana hai sirf tujhe,apna maana hai sirf tujhe
kyun aaj tu apne dard ko apne hi dil mai dabakar,meri aankhon se chipakar ,andhere kone mai baha rahi hai tere har sukh ka saathi bana hoon mai phir kaise tere gum mai tujhe chod du tanha. kyun tu aaj nahi pakdna chahti sanam meri ye chahat ki baah
kyun aaj tu apne hi naam per is qadar gumnaami ka ahsaas kar rahi hai kyun? kyun?.......jab mai tere saath hi hu phir tu kisse dar rahi hai .
aaja tham le haath mera aur zamane ko ye batane de tu sirf meri hai ...haan sirf meri ,mujhe dil mai apne samane de.
...................@fahi@.................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #72 on: June 23, 2006, 07:02:08 AM » |
|
nice one faahi
bichhati apni palaken tere pairon ke tale bhi main jo tera saath milta doosari hi ban ke rahti main
tere darwaze pe main khud diya ban ke jala karti jo ye hota to hamdam baat koi aur hi hoti
tu mujhse roothne ka ek bhi pal chhant na pata main teri har khushi pe is tarah qurban ho jaati
hamara ghar hi phir ek bagh hota apni chahat ka jahaan ke har ik phool ka khwab hota usme rahne ka na deewaren hi hotin ham indradhanush ko bula lete vo dauda dauda aata dekhne is ghar ki khushiyon ko
meri nzmon hi me na tum jo meri zindagi me hote to main ek doosari hoti zindagi khushnuma hoti
magar tum khwab the mera to bas khwabo tak rah pae na tum tak main pahunch paai na mujh tak tum pahunch paae
|
|
|
Logged
|
|
|
|
purani_jeans_aur_guitar
Guest
|
|
«Reply #73 on: June 23, 2006, 11:52:23 AM » |
|
very nice tabassum ji..............
main tujhe apne sine se laga kar rakhta tera har naaz ankhon pe utha ke rakhta
sajate hum apne pyar ka aisa ashiyana jo bhi dekhta hota hamare ishq ka deewana fizaye bhi mangti usme aane ki izazat humse sansso ki sargam per hota khusiyo ka aisa tarana
mehkate aangan per mai tujhko lita kar rakhta apne pyar ki khusboo se tujhe mehka kar rakhta
har roz suraj ki pehli kiran se khusiyo ki suruaat hoti rang ghul jaate hawao mai ,indradhanush ki bisaat hoti khil uttha har phool sunkar woh madhur aawaze jab vaadiya mai teri muskurahato ki barsaat hoti
kaliyo ki sez per main tujhko saza ke rakhta dil ki dhadkan mai apni basa kar rakhta duniya is qadar haseen hoti,tu jo meri raah mai hoti na koi chahat gamgeen hoti,gar tu jo meri panaah mai hoti
..................@fahi@.....................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #74 on: June 23, 2006, 11:59:15 AM » |
|
bahut khub fahi aur tabassum...........
aaj dekaha hamne na jaane kab se mere saath jaag raha hai chand mere sapno se ,mere khayaalo ke saath saath chal raha hai chand
jhilmil taaro ke chhawn mein beetati rahi pyaar ki raat dekh ke yeh sama suhana badali mein chipne laga hai chand
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|