pehla pyaar

by BHONDU on July 23, 2006, 03:48:58 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 6717 times)
ranjana
Guest
«Reply #15 on: July 26, 2006, 04:00:09 PM »
Reply with quote
shukriya gaurav .....good reply kavi ji....

jo chada khumar mere pyaar ka toh fir na uterega
yeh nasaha hai kuch aisa ki tujhe mere pyaar mein bebas kar dega..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pyar ka pehla pehla kadam... by dhadkan in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pehla Pyaar by shyam4u in SMS , mobile & JOKES
pehla pyaar by pankaj_pawar in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pehla Pehla Pyaar Tum ho by Alam Qazi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pehla pyaar! by salma786 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #16 on: July 26, 2006, 04:09:46 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
shukriya gaurav .....good reply kavi ji....

jo chada khumar mere pyaar ka toh fir na uterega
yeh nasaha hai kuch aisa ki tujhe mere pyaar mein bebas kar dega..


pyaar mein mere koi kasam na dhariyega.
insaaniyat bhi bhool jaau itna bebas na kariyega.
raah humari aap kayamat tak takiyega
jitni bhi aaye muskil humko dil mein rakhiyega
Logged
ranjana
Guest
«Reply #17 on: July 26, 2006, 04:17:12 PM »
Reply with quote
hamne aapko apne dil mein basa rakha hai
har jagah bas is dil mein naam aapka hi likha hai

dekthe rahe hun  yugo se bas aapki hi raha
ek milan ki  aas mein  deep hamne dil mein jala rakha hai
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #18 on: July 26, 2006, 04:23:56 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"

hamne aapko apne dil mein basa rakha hai
har jagah bas is dil mein naam aapka hi likha hai

dekthe rahe hun  yugo se bas aapki hi raha
ek milan ki  aas mein  deep hamne dil mein jala rakha hai


deep jalana humare liye kabhi ye dil na jalana
aapne pyaar mein kabhi ashq na bahana
pyar hai kitna aapse keh nahi paate hai
per aapke ashq bhi seh nhi paate hai.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #19 on: July 26, 2006, 04:37:14 PM »
Reply with quote
hamne apni in aankho mein tujhko basa rakha hai
kahi beh na jaaye teri tasveer in aankho se meri
 is liye ashqo ko palko mein chhipa rakha hai
hai yakeen hame aapki mohabbat per A sanam  
tere liye hi maine har dua ko khuda se maang rakha hai
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #20 on: July 27, 2006, 12:27:27 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
hamne apni in aankho mein tujhko basa rakha hai
kahi beh na jaaye teri tasveer in aankho se meri
 is liye ashqo ko palko mein chhipa rakha hai
hai yakeen hame aapki mohabbat per A sanam  
tere liye hi maine har dua ko khuda se maang rakha hai


aaj kisi ne humare liye khuda se dua mang rakhi hai,
dushman zamane se humne ye baat chipa rakhi hai.
naam nhi lunga aapka kahi kisi ko baa naa jaaye,
ek pyaar mila hai aap mein wo bhi koi chura na jaaye.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #21 on: July 27, 2006, 03:27:38 PM »
Reply with quote
dil mein hamko yun hi  chupa ke rakhana
apni nazar mein  hame yun hi basa ke rakhna
jab tum ho saath  mere toh kya dar hai zamaane ka
bas hame apna yun hi bana ke rakhana
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #22 on: July 28, 2006, 05:31:52 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"

dil mein hamko yun hi  chupa ke rakhana
apni nazar mein  hame yun hi basa ke rakhna
jab tum ho saath  mere toh kya dar hai zamaane ka
bas hame apna yun hi bana ke rakhana


khuda galat na kare koi karam mera
mere dil mein hasta rahe sanam mera
zindgi mein aayi hai khusiyon ke sitare liye
khuda ne bheji hai ye hoor humare liye.
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #23 on: July 28, 2006, 07:39:22 AM »
Reply with quote
Quote from: "BHONDU"
TUM MERA PEHLA PYAAR HO,
TUM CHETNA KA VISTAAR HO,
TUM DHAMANIYOON KA PRAVAAH HO,
TUM MERA PREM AATHA HO,

TUM SAANSO KI RAHAT HO,
TUM MERI PEHLI CHAHAT HO,
TUM JEEVAN KE SRINGAAR HO
TUM MERA PEHLA PYAAR HO.

TUM DIL KE DEEP HO,
TUM MERE MAN MEET HO,
TUM DHADKAN KE TAAR HO
TUM MERA PEHLA PYAAR HO.

TUM MERI MENKA HO
TUM DIL KE YAAR HO
TUM MERI JEET YA HAAR HO
TUM MERA PEHLA PYAR HO.

YEH PYAAR KI PARIBHASHA
JO DIL KE GEHRAAI SE NIKLI HAI,
SHAYED TUM DIL KI PUKAAR HO
TUM MERA PEHLA PYAAR HO

ITNI RUSWAAYIYAAN SEHKER
DIL JO TUMHE AAPNANE KO HAI,
KYN TUM HI MERA SANSAAR HO
TUM MERA PEHLA PYAAR HO.


wah wah kya likha hai bahut khoob bhondu ji.....
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #24 on: July 28, 2006, 07:41:51 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"


jo chada khumar mere pyaar ka toh fir na uterega
yeh nasaha hai kuch aisa ki tujhe mere pyaar mein bebas kar dega..


ranju ji apka ek ek sher ek ek lavz seedha dil mein utarta hai bahut hi khoob likhti hain aap samajh nahi aaata harr sher ki taarif hum kaise karein.... bahut khoob.....
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #25 on: July 28, 2006, 08:30:03 AM »
Reply with quote
gesu ji plzz aap bhi kuch likh jaaya karo. accha lagta hai.
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #26 on: July 28, 2006, 10:14:07 AM »
Reply with quote
Pehle pyar ka ehsaas kya kahiye,
Rome rome mein jo bus gaye unke andaaz-e-aashiqui kya kahiye,
Diya hai sakoon rooh ko meri bayaan hota nahi humse,
Paakh rooh, farishton sa jism mere mehboob ki fitratt ke baare mein kya kahiye,
Paigam woh dete hain ishaaron se unke izhaar-e-mohabbat ki daastaan ko kya kahiye,
Ghull gayi hai mehak unki saanson mein aisi madhoshi ka kya kahiye...

gesu's pehla pyar!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #27 on: July 28, 2006, 05:00:53 PM »
Reply with quote
Quote from: "BHONDU"
Quote from: "ranjana"

dil mein hamko yun hi  chupa ke rakhana
apni nazar mein  hame yun hi basa ke rakhna
jab tum ho saath  mere toh kya dar hai zamaane ka
bas hame apna yun hi bana ke rakhana


khuda galat na kare koi karam mera
mere dil mein hasta rahe sanam mera
zindgi mein aayi hai khusiyon ke sitare liye
khuda ne bheji hai ye hoor humare liye.



yeh tere pyaar ki mehekti si raat fir aayi hai
mere dil ki dharkano se bas teri hi pukaar aayi hai
palko per saje hue hain na jaane kitne hi armaan
aaj yeh tamana ke aanchal per sittre taange muraado ki raat aayi hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #28 on: July 28, 2006, 05:05:52 PM »
Reply with quote
Quote from: "Gesu"
Pehle pyar ka ehsaas kya kahiye,
Rome rome mein jo bus gaye unke andaaz-e-aashiqui kya kahiye,
Diya hai sakoon rooh ko meri bayaan hota nahi humse,
Paakh rooh, farishton sa jism mere mehboob ki fitratt ke baare mein kya kahiye,
Paigam woh dete hain ishaaron se unke izhaar-e-mohabbat ki daastaan ko kya kahiye,
Ghull gayi hai mehak unki saanson mein aisi madhoshi ka kya kahiye...

gesu's pehla pyar!!!!!!!!


shukriya Gesu .....bahut khoob........


hum tere pyaar ke ehasas ko bhula sakate nahi
kyu dharak jaata hai dil tere hi naam se yeh bata sakate nahi

chhaaya hai tu mere dil per ek meethe khawab ki tarah
hai yeh pelhe pyaar ki pyaari si chubhan hai jise hum tumko dikha sakte nahi
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #29 on: July 30, 2006, 04:40:02 AM »
Reply with quote
Quote from: "Gesu"

Pehle pyar ka ehsaas kya kahiye,
Rome rome mein jo bus gaye unke andaaz-e-aashiqui kya kahiye,
Diya hai sakoon rooh ko meri bayaan hota nahi humse,
Paakh rooh, farishton sa jism mere mehboob ki fitratt ke baare mein kya kahiye,
Paigam woh dete hain ishaaron se unke izhaar-e-mohabbat ki daastaan ko kya kahiye,
Ghull gayi hai mehak unki saanson mein aisi madhoshi ka kya kahiye...

gesu's pehla pyar!!!!!!!!


aapke pyaar ko padha to aankho mein cha gaya aapna pyaar,
sach poochiye to humko bhi bha gay aapka pehla pyaar
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:42:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer