PEHLI BAAR JAB UNHEN DEKHAA THHA

by surindarn on January 09, 2014, 12:19:52 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 713 times)
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
Reply with quote
Dewaali ki shab thee, jab pehli baar unhen dekhaa thha...
Unki aankhon mein sitaaron ko tamtmaate sa dekhaa thha!

Laakhon hee deepon ko ek saath ujwal hote dekhaa thha...
Aur chiraagon kee zarurat kahan thee, yeh khoob dekhaa thha!

Itne saazon ka khamosh sadaa se bajna, pehle na dekhaa thha...
Hawaaion ka ek saath jhuk salaami denaa,kabhi na dekhaa thha!

Pehle pehal main ne jab unhen aankh jhukaate dekhaa thha...
Jhuki aankhon kee putlion mein, khud ko qaid huwe dekhaa thha!

Jab bhi dekhaa unh aankhon mein, ek aisaa aqs dekhaa thha...
Kuchh main hosh mein aaon to bataaon ke kyaa dekhaa thha!

Hosh aayaa thha agleh hee roz jab doston ne bataayaa thha...
Poochte thhe phone pe, kal kyun maikhaane nahin aayaa thha!

Fakhar se keh to diyaa, maikhaane hee ko ghar bulaayaa thha...
Sab mazaak samajh yun bole, nahin theek bataa kyun na aayaa thha!

Phirse kahaa unheh, ke zakhmi thha aur chal na paayaa thha...
Poochne lage kahan, to bolaa koi khaas thekaanaa nahin thha!

----------------------------------------------------------------------

Kuchh to bataana hee hogaa aakhir, unhkaa husn kaisaa thha...
Lagtaa thha ke koi behtaa daryaa ho, jiss ka kinaaraa na thha...

Ek kashti bhi thee, aur do musaafir bhi thhe maujood wahan...
Maanjhi na thha, shayad Bhagvaan hee kinaaraa aur sahaaraa thha!!


SurindarN.                                      "MohanN"


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Woh Pehli Baar... by ishaan in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
TO PEHLI BAAR,,,,,,,,, K@HIN@@R by Kohinoor in Share: Poetry of Pain
Pehli Baar by jazbaat in Share:Love Poetry
Pehli baar hua.. by nashwani in Shayri for Khumar -e- Ishq
MERAA JANUN HAI UNHEN DEKHAA KARUN..."MohanN" by surindarn in Shayri for Khumar -e- Ishq
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #1 on: January 09, 2014, 03:02:49 AM »
Reply with quote
wha wha
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: January 09, 2014, 03:39:04 AM »
Reply with quote
bahut khub.
Logged
suman59
Guest
«Reply #3 on: January 09, 2014, 04:04:02 AM »
Reply with quote
Dewaali ki shab thee, jab pehli baar unhen dekhaa thha...
Unki aankhon mein sitaaron ko tamtmaate sa dekhaa thha!

Laakhon hee deepon ko ek saath ujwal hote dekhaa thha...
Aur chiraagon kee zarurat kahan thee, yeh khoob dekhaa thha!

Itne saazon ka khamosh sadaa se bajna, pehle na dekhaa thha...
Hawaaion ka ek saath jhuk salaami denaa,kabhi na dekhaa thha!

Pehle pehal main ne jab unhen aankh jhukaate dekhaa thha...
Jhuki aankhon kee putlion mein, khud ko qaid huwe dekhaa thha!

Jab bhi dekhaa unh aankhon mein, ek aisaa aqs dekhaa thha...
Kuchh main hosh mein aaon to bataaon ke kyaa dekhaa thha!

Hosh aayaa thha agleh hee roz jab doston ne bataayaa thha...
Poochte thhe phone pe, kal kyun maikhaane nahin aayaa thha!

Fakhar se keh to diyaa, maikhaane hee ko ghar bulaayaa thha...
Sab mazaak samajh yun bole, nahin theek bataa kyun na aayaa thha!

Phirse kahaa unheh, ke zakhmi thha aur chal na paayaa thha...
Poochne lage kahan, to bolaa koi khaas thekaanaa nahin thha!

----------------------------------------------------------------------

Kuchh to bataana hee hogaa aakhir, unhkaa husn kaisaa thha...
Lagtaa thha ke koi behtaa daryaa ho, jiss ka kinaaraa na thha...

Ek kashti bhi thee, aur do musaafir bhi thhe maujood wahan...
Maanjhi na thha, shayad Bhagvaan hee kinaaraa aur sahaaraa thha!!


SurindarN.                                      "MohanN"




bahut pyara kalam likha hai aapne surindarn jee. bahut daad Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: January 09, 2014, 09:11:43 AM »
Reply with quote
waah waah
Logged
Saman Firdaus
Guest
«Reply #5 on: January 09, 2014, 04:21:12 PM »
Reply with quote
Bahot khoob....
Logged
aqsh
Guest
«Reply #6 on: January 09, 2014, 09:48:50 PM »
Reply with quote
Bahut khooooooob...
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #7 on: January 09, 2014, 11:25:09 PM »
Reply with quote
Aap sab doston ka daad ke liye shukria.

SurindarN.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:27:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer