Phir Neend Bhala Kab Aati Hai

by nikss on October 25, 2013, 10:35:17 PM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 3467 times)
nikss
Guest
«Reply #15 on: November 01, 2013, 11:14:18 PM »
Reply with quote


Thnax Dear  .....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Sochta hoon ussey neend bhi aati hogi by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
**Neend nahi aati** by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
neend bhi nhi aati by heena i.s in Shayri-E-Dard
Raaton ko ab neend nahi aati by Raj6331 in Shayri for Dard -e- Judai
AB BEWAFFAI MAY NEEND NAAHI AATI HAI by jeet jainam in Shayeri for Dard -e- Bewafai
suman59
Guest
«Reply #16 on: November 01, 2013, 11:23:01 PM »
Reply with quote
wah babut khoob Thumbs UP
Logged
nikss
Guest
«Reply #17 on: November 01, 2013, 11:34:42 PM »
Reply with quote

Maana ye atal hai
Kay mey tum say ruth nahi sakta
Ye bhi maana kay tum say ruth kar
Mey pal bhar bhi jee nahi sakta
Tum say ruthna meray bas ki baat hi nahi
Tumharay bin meri apni koi zaat hi nahi
Tum say ruthun to meri sansen ruk si jaen gi
Meri dharkan khamosh ho jaye gi
Maana kay tum say ruthnaa
Meray liye ek qayamat hai
Par agar kabhi ye qayamat aa jaye to
Or mera dil
Mujay tum say ruthnay par uksaaye to
Tum meray dil ki duniya andhair na karna
Or mujhay manaanay may kabhi dair na karna
Ye samajhna kay mey tum say ruth to gia hun magar
Ek jaltay huway sansaar mey hun
Ek ek lamha,ek ek pal
Tumharay mananay kay intizaar may hun
Dekho tum mujhay mana lena
Mey foran maan jaun ga
Tumhari wafaon ko jaan jaun ga
Par suno
Agar tum nay dair kar di mujhay mananay may
To mey toot jaun ga
Or tumharay saath saath
Is zindagi say bhi ruth jaun ga !!!
Logged
nikss
Guest
«Reply #18 on: November 01, 2013, 11:37:19 PM »
Reply with quote


Khud ko is dil main basanay ki ijazat day do,
Mujh ko tum apna bananay ki ijazat day do,

Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho,
Pholon say khud ko sajanay ki ijazat day do,

Mein kitna chahta hon kis tarah bataon tumhein,
Mujhey yeh batanay ki ijazat day do,

Tumhari raat si zulfon mein chand sa chahra,
Yeh jaan tum phir lutanay ki ijazat day do,

Nahin shoq Saqib ko bhool ka magar,
Mujhey yeh duniya bhool janay ki ijazat day do
Logged
nikss
Guest
«Reply #19 on: November 01, 2013, 11:38:26 PM »
Reply with quote
Gum Sum Ankhen,Sooni Saansen,Toot,ti Jurti Umeedain…
Darta hun yun kesey katay gi, Umer hai! koi raat nhi…
Logged
nikss
Guest
«Reply #20 on: November 01, 2013, 11:39:26 PM »
Reply with quote


badalaa na apane aap ko jo the vahii rahe
milate rahe sabhii se magar ajanabii rahe




duniyaa na jiit paao to haaro na Khud ko tum
Tho.rii bahut to zahan me.n naaraazagii rahe



apanii tarah sabhii ko kisii kii talaash thii
ham jisake bhii qariib rahe duur hii rahe




guzaro jo baaG se to duaa maa.Ngate chalo
jisame.n khile hai.n phuul vo Daalii harii rahe
Logged
nikss
Guest
«Reply #21 on: November 02, 2013, 10:45:12 PM »
Reply with quote
میں سبک نوش ہوں مری گلرُو



میں سبک نوش ہوں مری گلرُو
مجھ کو کافی ہے انکھڑیوں کا سبُو

ایک بےنام بےکلی سی ہے
اے دلِ زار چل گیا جادُو

صبح ِ تمثیل ہیں تیرے عارض
شام آثار ہیں تیرے گیسُو

ترے دیدارِ یک نظر کے نثار
آنکھ کا نُور اور جگر کا لہُو

آہ عہدِ شباب کے لمحے
وحشت آموز دشت کے آہُو

عشق سے بھی مفر نہیں لیکن
زیست کے اور بھی تو ہیں پہلُو

چشمِ بینا کے واسطے اختر
ان کے جلوے ہیں ہر کہیں ، ہر سُو


اختر ضیائی
• — — — — — — — — — — — — •
Logged
nikss
Guest
«Reply #22 on: November 04, 2013, 01:07:19 PM »
Reply with quote



Jigar jala deta hai ye ishq
Ghum barha deta hai ye ishq
Kabhi kabhi aisa bhi hota hai
Pagal bana deta hai ye ishq
Bikher jaty hain sehra mein taza phool
Umeedain mita deta hai ye ishq
Ujarr jaty hain aabad gharanay
Aisa barbaad karta hai ye ishq
Ik awaara mizaaj ko bhi
Qaidi bana deta hai ye ishq
Jis ne kiya wohi janta hai ‘Gul’
Kia se kia bana deta hai ye ishq.
Logged
nikss
Guest
«Reply #23 on: November 04, 2013, 09:32:33 PM »
Reply with quote
Tum Aisa Karna Keh Koi Jugnoo Koi Sitara Sambhaal Rakhna
Mere Andhero’n Ki Fikar Choro Bas Apne Ghar Ka Khayal Rakhna

Ujaar Mosam Mein Rait Dharti Pe Fasal Boi Thi Chaandni Ki
Ab Is Mein Ugnay Lagay Andhere To Kaisa Jee Mein Malaal Rakhna

Diyaar-e-Ulfat Mein Ajnabi Ko Safar hai Darpesh Zulmato’n ka
Kahi’n Woh Raahon Mein Kho Na Jaaye Zara Darechay Ujaal Rakhna

Wo Rasm-o-Raah He Nahi’n Rahe Jab To Naamay Kis Kaam Ke Tumhare
Udhar Se Guzraa Kabhi To LooN Ga Mere Khato’N Ko Nikaal Rakhna

Bicharne Wale Ne Waqt-e-Rukhsat Kuch Is Nazar Se Palat Ke Dekha
Keh Jaise Woh Bhi Yeh Keh Raha Ho Tum Apne Ghar Ka Khayal Rakhna

Yeh Dhoop Chaao’n Ka Khel Hai Ya Khizaa’n Bahaaro’n Ki Ghaat Mein Hai
Naseeb-e-Subh Ujrooj Ho To Nazar Mein Shaam-e-Zawaal Rakhna

Kisay Khabar Thi Keh Kab Ye Mosam Uraa Ke Rakh De Ga Khaak "Aazar"
Tum Ehtiyatan Zamee’n Ke Sar Pe Falak Ki Chaadar Bhi Daal Rakhna
Logged
nikss
Guest
«Reply #24 on: November 05, 2013, 10:17:45 PM »
Reply with quote


Kaho agar to bhula doon tum ko,
Sab kuch bataa kar rulaa doon tum ko,
Bohat dushwaar guzrey ga mujh per,
Kaho agar to sazaa doon khud ko,
Kyun ab roz roz ka rona rahe aakhir,
Aj hi kyun na mitaa doon dukh ko,
Kaho agar to bhulaa doon tum ko..
Logged
nikss
Guest
«Reply #25 on: November 08, 2013, 10:31:53 PM »
Reply with quote

Kisey maloom tha ishq is qadar lachaar karta hai,
Dil usey janta hai bewafa, magar pyar karta hai..
Logged
nikss
Guest
«Reply #26 on: November 11, 2013, 09:59:47 PM »
Reply with quote

Band aankh se sapney buntey buntey umar guzar gayi apni,
Tootey dil ke raizey chuntey chuntey umar guzar gayi apni,
Woh hum se bichar kar kese jeeta ho ga,
Bass yehi sochtey sochtey umar guzar gayi apni,
Us ki talaash main nikley, apna pata bhool gaye,
Phir khud ko khojtey khojtey umar guzar gayi apni,
Shamaa ban to gaye roshni ki khaatir,
Magar phir jaltey jaltey umar guzar gayi apni,
Uss ne anaa ki deewaar torr kar pukaara to sahi,
Lekin ruktey ruktey umar guzar gayi apni,
Ab yeh zindagi ussi ki amaanat hai Waqas,
Jiss ki raah taktey taktey umar gayi apni,,
Logged
nikss
Guest
«Reply #27 on: November 21, 2013, 10:40:29 PM »
Reply with quote



Junoon-e-Ishq Tha Tou Katt Jati Thi Raat Batoon Mai
Saza-e-Ishq Hai Tou Ik Lamha B Hai Sadiyon jesa
Logged
nikss
Guest
«Reply #28 on: November 21, 2013, 11:20:12 PM »
Reply with quote


Ache Lage jo Tum so Hum Ne Bata Diya...!!

Nuqsan Ye Hoa K Tum Maghror Ho Gaye...!!
sad10
Logged
nikss
Guest
«Reply #29 on: November 21, 2013, 11:24:21 PM »
Reply with quote
Wo Bilkul Zindagi K Jaisa Tha,

Khubsurat Bhi 0r Be-Aitbaar Bhi...!!!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:07:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer