preet ke geet......................

by ranjana on May 14, 2006, 02:27:43 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 7273 times)
ranjana
Guest
Reply with quote
meri yah kavitaa prem ke do naam Radha Aur Krishna ko samprit hain .upar ki do lines maine Virndavan mein ek dewaar par padi thee , unhi lines ne mujhe yah kavitaa likhne ki prerna di.........aur is tarah yah payari si lines meri kavitaa ko apne prem ke rang mein rang gayi...........aap bhi pade aur is prem ke rang mein rang jaye...........



man se man ka mele yahi hai ,preet aise hi dil mein pale
Radha ne jab Krishan ko dekha ,aankho mein sou{100} deep jale

fir jawan ho jaye dil ki hasrate aa sajan ham kuch aisa kare
mere dil ki laharo se ab tere dil ki lahar mile.......
Radha ne jab Krishana ko dekha dil mein sou deep jale

hotho per tahari baato ko, nayano ki bhasha mile
yun hi aankho aankho mein pyar ki dasatan bade
Radha ne jab Krishana ko dekha dil mein preet ke kamal khile

sun bansi ki laye Krishna ki, Radha ke dil ka phool khile
tere mere pyar ka geet , bas waise preet ki dagar chale
Radha ne jab Krishna ko dekha sangeet pyar ka dil mein pale

jis ek raag ko jal uthate dono dilo ke deepak
aaj apne madhur milan mein usi raag ka daur chale
pyas jo dekhi thee maine us din tere meethe labo par
wahi meethee meethee pyas ab mere dil mein bhi pale
Radha ne jab Krishna ko dekha man mein sou deep jale........................


------------
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #1 on: May 14, 2006, 02:34:39 AM »
Reply with quote
ranjana.... yeh kahan aa gaye tum... good... very good...

radha madhav vinod haas
kabhi na bhool paoge yeh prem vilas...

radha ko dekhne aayi
vrindavan se mukund govind...

vrindavan mein thandi pawan mein
intezar mein thi radha krishna ke

mohan murali ko bajate mann ko chedte...
choron ke chor krishna aaya, moh ke parda daalte...

radha madhav vinod haas...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: May 14, 2006, 03:04:43 AM »
Reply with quote
Quote from: "mrkotians"
ranjana.... yeh kahan aa gaye tum... good... very good...

radha madhav vinod haas
kabhi na bhool paoge yeh prem vilas...

radha ko dekhne aayi
vrindavan se mukund govind...

vrindavan mein thandi pawan mein
intezar mein thi radha krishna ke

mohan murali ko bajate mann ko chedte...
choron ke chor krishna aaya, moh ke parda daalte...

radha madhav vinod haas...



bahut khub MK JI.......................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: May 14, 2006, 03:08:22 AM »
Reply with quote
Radha Krishna ko pal pal puakre
yaado ke pal woh lagate hain bahut pyare
jhuki jhuki yah palake. ab kyu hai chalke.
jab Krishna bhi Radha- Radha pukare............
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: May 14, 2006, 05:49:40 AM »
Reply with quote
wah ranju kaya baat hai!!!! bahoot khoob!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: May 14, 2006, 06:43:51 AM »
Reply with quote
shukriya Pooja .................... Usual Smile
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #6 on: May 15, 2006, 01:57:29 PM »
Reply with quote
radha krishna aur aradhana geet...
ranjana... aur kuch...

kaise geet gaaoon krishna main...
tu hi meri murli ho aur saans bhi..
tu mann kiye bina,
ungliyon se bajaye bina...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: May 15, 2006, 02:07:29 PM »
Reply with quote
nice MK ji

geet preet ka mein ga rahi
apne krishana ko rijha rahi
chahat ki veena bajane lagi
yaado se main sajane lagi
apne dard ko bhula ke .
pass mein tere aa rahi...........
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #8 on: May 15, 2006, 02:14:01 PM »
Reply with quote
wah bahut hi pyara likha ranju ji, mrk ji...
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #9 on: May 15, 2006, 02:16:52 PM »
Reply with quote
good reply ranjana...


aajaa priya paas mere ek baat batana hain...
di mein chupi hazar bhavanaon ko jatana hain...
yun na main kehti ki sirf ek baat batana hain...
baat jo batana hain woh in hazaron mein sirf ek hain...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: May 15, 2006, 02:30:54 PM »
Reply with quote
shukriya Gesu .....dear yeh JI  ko kahi dur mars per fenk do  na.........plz :D


teri chahhat mein hi sajan jal raha hai yeh jeevan deep
ho tumse madhaur milan , vishwas mera yahi hai, mere meet
rup dekho rupasi ka , kar rahi hai jo singaar.
jhumati si main feeru,baj uthe jab tere taar
uth rahi hai mehak teri  shaayam mere baar baar.n/m
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:57:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer