-----/// Pyaar bas tumse karta hoon /// ----- Hriday

by ~Hriday~ on April 11, 2012, 03:10:04 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 18854 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote

main tumhaari adaaon ko dekh ke roz kai kai baar marta hoon,
kehna to hai par kaise kahun ki main tumse pyaar karta hoon,

tum nahi hote to bas tumhaare aane ka intzaar hota hai mujhe,
dikh jaate ho to main nigaahon se tumhaara pichha karta hoon,

pee leta hoon tumhaare roop ko main apni pyaasi aankhon se,
aur dil hi dil bas tumhe paane ki chaahat main karta hoon,

tum kya samajh paaoge mera haal aur haal mere dil ka jo hai,
kaise tumhe paane ke liye main subah shaam aahen bharta hoon,

jab guzarti ho kabhi mere paas se tum to mehek jaata hoon main,
tumhaare jaane ke baad bhi tumhaari khushbu mehsoos karta hoon,

apne zulfon ko dheere se jab aankhon par se hataati ho tum,
tumhaari zulfon me main apni moujudgi ko mehsoos karta hoon,

bheege barsaaton ke nashe me aajkal bheega karta hoon main,
aaine me dekhta hoon khudko aajkal aur sajta sanwarta hoon,
 
tumse baatein karne ke liye roz naye bahaane banata hoon,
tokoge tum mujhe ye soch ke hi galtiyaan main karta hoon,

dil me jo bhi baat hai main tumse kahun par kaise bhalaa,
mujhse rooth na jaao kahin tum ye soch ke main darta hoon,

main jeeta to hoon par roz tumpe kai baar main marta hoon,
sach hai meri jaana ki main pyaar bas tumse hi karta hoon....


*****HRIDAY*****
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #1 on: April 11, 2012, 05:02:12 PM »
Reply with quote
ApplauseApplauseApplause  waah brother aapne to kamal hi kr diya.
Logged
sbechain
Guest
«Reply #2 on: April 11, 2012, 07:12:20 PM »
Reply with quote

main tumhaari adaaon ko dekh ke roz kai kai baar marta hoon,
kehna to hai par kaise kahun ki main tumse pyaar karta hoon,
roz-roz marne se acha hai ek baar mar jaao. aaj to buss kah hi daalo. aar ya paar. depends how do you propose icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
tum nahi hote to bas tumhaare aane ka intzaar hota hai mujhe,
dikh jaate ho to main nigaahon se tumhaara pichha karta hoon,
kyaa baat hai nigaah bahut mazboot hai. waise kitne km tak dekh lete ho icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
pee leta hoon tumhaare roop ko main apni pyaasi aankhon se,
aur dil hi dil bas tumhe paane ki chaahat main karta hoon,
dil ka haal dil wala hi jaane. main to sirf kahi hui baat hi sunti aur samajh ti hoon.aur waise aankho.n se peene ka hunar mujhe bhi sikhaao naa Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
tum kya samajh paaoge mera haal aur haal mere dil ka jo hai,
kaise tumhe paane ke liye main subah shaam aahen bharta hoon,
iss tarah to naukri bhi naa mile ...........! tongue3 tongue3 tongue3 tongue3
jab guzarti ho kabhi mere paas se tum to mehek jaata hoon main,
tumhaare jaane ke baad bhi tumhaari khushbu mehsoos karta hoon,
main koi phool vool nahin hoon ji ek ladki hoon aur khushbu lagaana buri baat to nahin. bataa sakte ho kaun sa perfume lagaati hoon main. Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased
apne zulfon ko dheere se jab aankhon par se hataati ho tum,
tumhaari zulfon me main apni moujudgi ko mehsoos karta hoon,

mere zulf mein tum kis shakal mein rahte ho. mere zulf mein koi dandrauff nahin hai Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard

bheege barsaaton ke nashe me aajkal bheega karta hoon main,
aaine me dekhta hoon khudko aajkal aur sajta sanwarta hoon,
 ye kya diwaana pan hai. TDH is always 1st choice icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent
tumse baatein karne ke liye roz naye bahaane banata hoon,
tokoge tum mujhe ye soch ke hi galtiyaan main karta hoon,
iss liye ab samjhi ooper jo main kah rahi hoon tum ne jaan boojh kar aisa likha hai ki main tookoo.N haan icon_geek icon_geek icon_geek icon_geek
dil me jo bhi baat hai main tumse kahun par kaise bhalaa,
mujhse rooth na jaao kahin tum ye soch ke main darta hoon,
mohabbat bhi karte ho aur darte bhi ho. ghalib ne kahaa hai. ye ishq nahin aasaan buss itna samajh ligiye ek aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
main jeeta to hoon par roz tumpe kai baar main marta hoon,
sach hai meri jaana ki main pyaar bas tumse hi karta hoon....

chalo maan liya ab khush...........! icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower


*****HRIDAY*****

nice............!
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #3 on: April 12, 2012, 03:22:08 AM »
Reply with quote
bohut khub hridhay ji
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: April 12, 2012, 03:50:29 AM »
Reply with quote
bahut khoob sheba ji ki daad ke baad hamaare paas koi daad naheen bachtee badhaai ho
Logged
dolly
Guest
«Reply #5 on: April 12, 2012, 07:40:52 AM »
Reply with quote
waaah hridayji...awesome...bahut khoob...Usual Smile
Logged
sarfira
Guest
«Reply #6 on: April 12, 2012, 08:33:54 AM »
Reply with quote
Hriday mtlb baat dil ki--
waah bhai kitna khumaar hai aapke post me--
as usual mast and sweet poetry Usual Smile
daad daad daad

janaab wo kahte hain na ki
--
sirf aanhe bhar bhar kisi ko paya nahi jata
beshumaar mohabbt ko yun dil me chupaya nhi jaata
--
to janaab ab to kah hi dijie usse--ya to wo HAAN karegi ya fir sirf HAAN hi karegi tongue3

mere dict. me NAA word hai hi nhi Usual Smile

khus rahie
Logged
sarfira
Guest
«Reply #7 on: April 12, 2012, 08:35:26 AM »
Reply with quote
Hriday mtlb baat dil ki--
waah bhai kitna khumaar hai aapke post me--
as usual mast and sweet poetry Usual Smile
daad daad daad

janaab wo kahte hain na ki
--
sirf aanhe bhar bhar kisi ko paya nahi jata
beshumaar mohabbt ko yun dil me chupaya nhi jaata
--
to janaab ab to kah hi dijie usse--ya to wo HAAN karegi ya fir sirf HAAN hi karegi tongue3

mere dict. me NAA word hai hi nhi Usual Smile

khus rahie
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: April 12, 2012, 01:24:05 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaa bhai....!!!

ApplauseApplauseApplause  waah brother aapne to kamal hi kr diya.

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: April 24, 2012, 06:09:41 PM »
Reply with quote
Thank you soooooooooooooo much Sheba ji for such sweet comments... bahut bahut achcha lagta hai jab aap is tarha comment karte ho... aapke comment karne ka ye andaaz sabse alag aur sabse niraalaa hai... main aapka tahe dil se shukriyaa adaa karta hoon jo aapne meri is koshish ko waqt diya, padha aur pasand kiya .. aur saath hi itne khoobsurat comments diye... thank you sooooo much....!!!


nice............!

roz-roz marne se acha hai ek baar mar jaao. aaj to buss kah hi daalo. aar ya paar. depends how do you propose

ji aaj tak kisi ko kaha nahi hai soch raha hoon kahaan se start karun... aap hi bata dijiye.... tongue3

kyaa baat hai nigaah bahut mazboot hai. waise kitne km tak dekh lete ho

kabhi calculate to nahi kiya distance kitna hoga par haan bahut duur tak dikh jaata hai... Usual Smile


dil ka haal dil wala hi jaane. main to sirf kahi hui baat hi sunti aur samajh ti hoon.aur waise aankho.n se peene ka hunar mujhe bhi sikhaao naa Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile

kabhi fursat se sikhaaunga aapko aankhon se peene ka hunar. filhaal to gilaas usr kar lijiye... tongue3


iss tarah to naukri bhi naa mile ...........! tongue3 tongue3 tongue3 tongue3

tabhi soch raha hoon interview pe interview diye jaa raha hoon par naukri kyun nahi mil rahi hai... aaj pata chala ki ye reason hai naukri nahi milne ka .... sad5


main koi phool vool nahin hoon ji ek ladki hoon aur khushbu lagaana buri baat to nahin. bataa sakte ho kaun sa perfume lagaati hoon main. Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased

shayad Axe....heheheeheh... tongue3

mere zulf mein tum kis shakal mein rahte ho. mere zulf mein koi dandrauff nahin hai Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard

dandauff nahi par par shayad joo hon... hahahahahahahah... please don't mind...kidding kar raha hoon

ye kya diwaana pan hai. TDH is always 1st choice icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent

Usual Smile


iss liye ab samjhi ooper jo main kah rahi hoon tum ne jaan boojh kar aisa likha hai ki main tookoo.N haan icon_geek icon_geek icon_geek icon_geek

haanji bilkul aap galtiyaan sudhaaroge yahi soch ke aisa karta hoon... Usual Smile


mohabbat bhi karte ho aur darte bhi ho. ghalib ne kahaa hai. ye ishq nahin aasaan buss itna samajh ligiye ek aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower

ab ye bataao ki aag me kaise doobun??? paani ho to thik hai doob sakta hoon kyunki mujhe tairna nahi aataa.... tongue3

chalo maan liya ab khush...........! icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower

ji bahut bahut khush.. shukar hai at last maane to sahi... Usual Smile Usual Smile Usual Smile

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: April 24, 2012, 07:57:52 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaaa Saahill ji....!!!

bohut khub hridhay ji
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: April 24, 2012, 07:58:34 PM »
Reply with quote
thank you sooooooooooo much Saini ji...!!!

bahut khoob sheba ji ki daad ke baad hamaare paas koi daad naheen bachtee badhaai ho
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #12 on: April 25, 2012, 12:37:51 AM »
Reply with quote
main tumhaari adaaon ko dekh ke roz kai kai baar marta hoon,
kehna to hai par kaise kahun ki main tumse pyaar karta hoon,

tum nahi hote to bas tumhaare aane ka intzaar hota hai mujhe,
dikh jaate ho to main nigaahon se tumhaara pichha karta hoon,

pee leta hoon tumhaare roop ko main apni pyaasi aankhon se,
aur dil hi dil bas tumhe paane ki chaahat main karta hoon,

tum kya samajh paaoge mera haal aur haal mere dil ka jo hai,
kaise tumhe paane ke liye main subah shaam aahen bharta hoon,

jab guzarti ho kabhi mere paas se tum to mehek jaata hoon main,
tumhaare jaane ke baad bhi tumhaari khushbu mehsoos karta hoon,

apne zulfon ko dheere se jab aankhon par se hataati ho tum,
tumhaari zulfon me main apni moujudgi ko mehsoos karta hoon,

bheege barsaaton ke nashe me aajkal bheega karta hoon main,
aaine me dekhta hoon khudko aajkal aur sajta sanwarta hoon,
 
tumse baatein karne ke liye roz naye bahaane banata hoon,
tokoge tum mujhe ye soch ke hi galtiyaan main karta hoon,

dil me jo bhi baat hai main tumse kahun par kaise bhalaa,
mujhse rooth na jaao kahin tum ye soch ke main darta hoon,

main jeeta to hoon par roz tumpe kai baar main marta hoon,
sach hai meri jaana ki main pyaar bas tumse hi karta hoon....


*****HRIDAY*****
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP bahut khub khumari bhari qalaam hai hriday ji daad qabool karen
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: April 30, 2012, 04:33:55 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaa Dolly ji....!!!

waaah hridayji...awesome...bahut khoob...Usual Smile
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: May 01, 2012, 07:11:05 PM »
Reply with quote
thank you sooooooooooooo much Sarfira ji.... ji pehle usey dhund loon fir keh dunga ... ye to bas ek kalpana hai... aur kuch nahi... haqeeqat me jab milegi to jarur bol dunga......!!!

Hriday mtlb baat dil ki--
waah bhai kitna khumaar hai aapke post me--
as usual mast and sweet poetry Usual Smile
daad daad daad

janaab wo kahte hain na ki
--
sirf aanhe bhar bhar kisi ko paya nahi jata
beshumaar mohabbt ko yun dil me chupaya nhi jaata
--
to janaab ab to kah hi dijie usse--ya to wo HAAN karegi ya fir sirf HAAN hi karegi tongue3

mere dict. me NAA word hai hi nhi Usual Smile

khus rahie
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 07:13:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.161 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer